♥ ♥ ♥ ╔╦╦╦═╦╗╔═╦═╦══╦═╗♥ ♥ ♥
♥ ♥ ♥ ║║║║╩╣╚╣═╣║║║║║╩╣♥ ♥ ♥
♥ ♥ ♥ ╚══╩═╩═╩═╩═╩╩╩╩═╝♥ ♥ ♥
(¯`v´¯)
`*.¸ .*´
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸ .•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•.
~♥~Usman Is Here~♥~
(¯`♥´¯) (¯`♥´¯)
*`•.¸(¯`♥´¯)¸.•´ * *
♫ ♥ *`•.¸.•´*♥ ♫.¸¸.•´¯`♥
…….♥#########♥
…..♥#############♥
…♥###############♥
..♥#################♥………………♥###♥
..♥##################♥……….♥#########♥
….♥#################♥……♥#############♥
…….♥################♥..♥###############♥
………♥################♥################♥
………..♥###############################♥
…………..♥############################♥
…………….♥#########################♥
………………♥######################♥
………………..♥###################♥
………………….♥#################♥
……………………♥##############♥
………………………♥###########♥
………………………..♥#########♥
………………………….♥#######♥
……………………………♥#####♥
……………………………..♥###♥
……………………………….♥#♥
…………………………………♥
…………………………………♥
……………………………….♥
……………………………..♥
……………………………♥
…………………………♥
……………………….♥
…………………….♥
………………….♥
………………♥
………….♥
………♥
……♥
…..♥
……♥………………….♥…♥
……….♥………….♥…………♥
…………..♥…..♥………………♥
……………….♥………………..♥
…………….♥……♥…………..♥
…………..♥………….♥….♥
………….♥
………..♥
……….♥
………♥
………♥
……….♥
…………..♥
……………….♥
……………………..♥
………………………….♥
……………………………♥
……………………………♥
…………………………♥
…………………….♥
………………♥
………….♥
…….♥
…♥
.♥………………………..♥….♥
♥……………………..♥………..♥
.♥………………….♥…………….♥
..♥……………….♥………………♥
…♥………………………………♥
…..♥…………………………..♥
……..♥…………………….♥
………..♥……………….♥
…………..♥…………..♥
………………♥…….♥
…………………♥..♥
……………………♥
♥ ♥ ♥ ║║║║╩╣╚╣═╣║║║║║╩╣♥ ♥ ♥
♥ ♥ ♥ ╚══╩═╩═╩═╩═╩╩╩╩═╝♥ ♥ ♥
(¯`v´¯)
`*.¸ .*´
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸ .•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•.
~♥~Usman Is Here~♥~
(¯`♥´¯) (¯`♥´¯)
*`•.¸(¯`♥´¯)¸.•´ * *
♫ ♥ *`•.¸.•´*♥ ♫.¸¸.•´¯`♥
…….♥#########♥
…..♥#############♥
…♥###############♥
..♥#################♥………………♥###♥
..♥##################♥……….♥#########♥
….♥#################♥……♥#############♥
…….♥################♥..♥###############♥
………♥################♥################♥
………..♥###############################♥
…………..♥############################♥
…………….♥#########################♥
………………♥######################♥
………………..♥###################♥
………………….♥#################♥
……………………♥##############♥
………………………♥###########♥
………………………..♥#########♥
………………………….♥#######♥
……………………………♥#####♥
……………………………..♥###♥
……………………………….♥#♥
…………………………………♥
…………………………………♥
……………………………….♥
……………………………..♥
……………………………♥
…………………………♥
……………………….♥
…………………….♥
………………….♥
………………♥
………….♥
………♥
……♥
…..♥
……♥………………….♥…♥
……….♥………….♥…………♥
…………..♥…..♥………………♥
……………….♥………………..♥
…………….♥……♥…………..♥
…………..♥………….♥….♥
………….♥
………..♥
……….♥
………♥
………♥
……….♥
…………..♥
……………….♥
……………………..♥
………………………….♥
……………………………♥
……………………………♥
…………………………♥
…………………….♥
………………♥
………….♥
…….♥
…♥
.♥………………………..♥….♥
♥……………………..♥………..♥
.♥………………….♥…………….♥
..♥……………….♥………………♥
…♥………………………………♥
…..♥…………………………..♥
……..♥…………………….♥
………..♥……………….♥
…………..♥…………..♥
………………♥…….♥
…………………♥..♥
……………………♥
~Bewafai say pareshan be ho jaaty hain~.........,~Narm jhonkay kabbi toufan be ho jaaty hain~.........,~Humara mehboob jo badla tu taajub kessa~.........,~Loogh kafir say musalmaan be tu ho jaaty hain~.........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Subha ko baagh main shabnam parti hai faqat iss liye~........,~Ke patta patta kary zikar-e-Khuda ba wuzu ho kar~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kabhi jazbon kabhi khawaboon ki tijarrat kar ke~........,~Dil nay dukh dard kamaaye hain muhabbat kar ke~........,~Tum jab aao gay tu mehfooz milien gay tum ko~........,~Hum ne dafnaaye hain kuch khawaab amanat kar ke~........,~Ik zara bhool hui aur khoo baithay~........,~Hum nay paya tha jissay barson ibadat kar ke~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kabhi tu milay pehli mulaqaat ki tarhan~........,~Bighra hi rehta hai kyun halaat ki tarhan~........,~Woh ik dost jo lagy jaan say pyaara~........,~Mujhy waqt tu deta hai maghar khairaat ki tarhan~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Biknay waly aur hain ja kar khareed lo aye ajnabi~........,~Hum loogh qeemat say nahi qismat say mila karty hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Tumhien yaad na karoon tu ulajh jata hoon sansoon say Faraz~........,~Samjh nahi aata zindagi sanson say hai yaan teri yaad say~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Sub ki khushi ki chah karty hain~........,~Bus hum itna sa gunah karty hain~........,~Aaj phir unn ke intizar main baithay hain~........,~Dekhna hai kab woh humien yaad karty hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Ranj day kar malaal karty ho~........,~Tum be kia kamaal karty ho~........,~Dekh kar pooch liya haal mera~........,~Chalo kuch tu khiyal karty ho~........,~Shehar-e-dil main ye udaasiyan kessien~........,~Ye be mujh say sawal karty ho~........,~Marna chahien tu mar nahi sakty~........,~Tum be jeena muhaal karty ho~........,~Abb kiss kiss ki misaal don tum ko~........,~Tum har sitam bay misaal karty ho~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Aaj toot kar usski yaad aayi tu ehsaas hua Sagar~........,~Uttar jayien jo loogh dil main woh bhulaye nahi jaaty~.......,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Bay aietbaar sa shaks tha so waar kar gaya~........,~Lekin mere shaoor ko bedaar kar gaya~........,~Kuch main ne ishtiyaal main shikway ghilay kiye~........,~Kuch woh shikayatien sar-e-bazaar kar gaya~........,~Pehly woh meri zaat ki tameer main raha~........,~Phir mujh ko apny haath say mismaar kar gaya~........,~Woh aa mila tha tu faaslay kat tay chaly gaye~........,~Bichraa tu rasty mery be dushwaar kar gaya~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Umar bhar tanhai ka hissa rahy~........,~Ye na poch ke kessy zinda rahy~........,~Uss say keh do ke har ik sa na mila karay~........,~Woh aghar mera hai tu sirf mera rahy~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kuch khud be thay afsoda se~........,~Kuch loogh be hum se rooth gaye~........,~Kuch khud hi zakham ke aadi thy~........,~Kuch sheshay haath main toot gaye~........,~Kuch unn ko such se nafrat thi~........,~Kuch hum se na bolay jhooth gaye~........,~Kuch khud itny muhtaat na thy~........,~Kuch loog be hum ko loot gaye~........,~Kuch hum ko sabar ki aadat thi~........,~Kuch unn ke sabar toot gaye~........,~Kuch hum ko unn se tha pyar bohat~........,~Kuch iss liye be woh choot gaye~........,~Kuch unn ko chahat thi auron se~........,~Kuch iss liye be woh door gaye~........,~Kuch unn ko tha husan se pyar bohat~........,~Kuch hum be husan se rooth gaye~........,~Kuch talkh haqeeqatien thien itni~........,~Ke khawaab hi saary toot gaye~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Maktab-e ishq main pesh aayien sawalon ki tarhan~........,~Hum pareshan hi rahy apny khiyalon ki tarhan~........,~Jab be anjam-e-muhabat ne pukara khud ko~........,~Waqt ne paish kia hum ko misaloon ki tarhan~........,~Zikar jab be ho ga muhhabat main tabahi ka kahien~........,~Yaad hum aayien gay dunya ko hawaloon ki tarhan~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Basa hai aankhon main chehra tera kuch iss tarhan~........,~Gulab say khushboo wabasta ho jiss tarhan~........,~Namaz parh li aur dua na maangi ho~........,~Teri kami mehsoos hoti hai mujhy kuch iss tarhan~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Bohat kuch tujh say barh kar muyassar tha muyassar hai~........,~Na jaany phir be kyun teri zaroorat kam nahi hoti~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kiss liye itni saza dety ho~........,~Kabhi karty ho yaad tu kabhi bhulla dety ho~........,~Ajeeb teri muhhabat ka silsila dekha~........,~Kabhi khushi aur kabhi dil jala dety ho~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Muddat say door thy hum aur uss say~........,~Ik zamany ke baad milna acha laga~........,~Sagar si gehrien thien unn ki aankhien~........,~Tairna tu aata tha par doob jana acha laga~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Phoolon say rakho gay dosti tu kuch pa na sako gay~........,~Kantoon say rakho gay chahat tu daman choora na sako gay~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Aye kaash baras jaaye yahan be noor ki barish ke~........,~Emaan ke sheeshon pay bari gard jaami hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Mery dil main mohhabat bohat thi~........,~Maghar phir be uss ko shikayat bohat thi~........,~Mera dard khulta be kyun kisi par~........,~Mujhy muskurany ki aadat bohat thi~........,~Meri zindagi main woh lamhay be aaye~........,~Jahan teri har kadam par zaroorat bohat thi~........,~Mananay ka mujh main hunar nahi tha~........,~Par uss ko rooth jaany ki aadat bohat thi~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Abb kia kahoon ke tujhy muhhabat nahi rahi~........,~Teri talab main pehli si shidat nahi rahi~........,~Wafaoon ka mausam guzar gaya~........,~Yan ye ke tujh ko meri zaroorat nahi rahi~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Rothna khafa rehna ye wafa nahi hoti~........,~Chahaton me logon se kya khata nahi hoti~........,~Sub ko ik jaisa kyun tum samjhny lagty ho~........,~Jana sari dunya tu bewafa nahi hoti~........,~Har kisi say pyar har kisi se waady~........,~Pyar karny walon main ye ada nahi hoti~........,~Be naqaab chehry be ik hijaab rakhty hain~........,~Sirf saat pardon me tu haya nhi hoti~........,~Sub kuch kho diya hum ne uss ke pyar main~........,~Kya ye be chahat ki intiha nahi hoti~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Apnon ka sitam unn ki jafa yaad karien gay~........,~Hum jurm-e-muhabat ki saza yaad karien gay~........,~Main ne dam-e-rukhsat jo kaha bhool na jana~........,~Ye sun kar ruka aur kaha yaad karien gay~........,~Abb sirf tasalli ka takaluf na karien woh~........,~Jo dil say bhulla baithay hoon kia yaad karien gay~........,~Hum bhool ke aab naam be nahi lien gay wafa ka~........,~Woh chott lagi hai ke sada yaad karien gay~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Dil ke jalty hoye zakhamon ko hawa mat dena~........,~Beety lamhon ke kisi pal ko sada mat dena~........,~Teri aankhon ke aansoo tu anmool mooti hain~........,~Apni nadani main tum inn ko ganwa mat dena~........,~Aab maza deny laga hai dard-e-muhhabat mujh ko~........,~Mujh ko iss dard ki aab koi dawa mat dena~........,~Youn na ho ke loogh muhhabat hi say tauba kar lien~........,~Iss tarhan jurm-e-muhhbat ki saza mat dena~........,~Loogh aksar youn hi bin pochay chaly aaty hain~........,~Koi poochay be tu dil ka pata mat dena~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Chand ki simt nazar jaye tu kia hota hai~........,~Raat kuch yunhi guzar jaye tu kia hota hai~........,~Kitni masoom ada se wo mujhse pochta hai~........,~Jab koi dil main uttar jaye tu kia hota hai~........,~Mery molla tu faqat itna bata de mujhko~........,~Admi jeety ge mar jaye tu kia hota hai~........,~Kisi anjaan pari wesh ka pechly pehar~........,~Aks aankhoon main thehar jaye tu kia hota hai~........,~Dard de ke woh mujhko hansta raha aur bola~........,~Dard jab had se guzar jaye tu kia hota hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Aino ki ada na apnao ainy tu khafa be hoty hain~........,~Dard ki intiha na batao dard tu be intiha be hoty hain~........,~Khud ko shamil na karo looghon main~........,~Loogh tu bewafa be hoty hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Log har mor pe ruk ruk ke sambhaltay kyun hain~........,~Itna dartay hain tu phir ghar se nikalty kyun hain~........,~Main na koi jugnu hoon na koi diya na chand~........,~Phir roshni waly mery naam se jalty kyun hain~........,~Jab neend se mera taluuq hi nahi barson se~........,~Tu khawaab aa aa ke meri palkon pe tehalty kyun hain~........,~Iss main mausam ka kasoor hai yan logon ka~........,~Log mausam ki tarhan pal bhar main badalty kyun hain???????????~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Hum tu kabhi be unn ke ru ba ru na thay~........,~Sirf mehsoos kia unn ko aur tabiyat badal gai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Bheegi hui shaam ki dhehleez par betha~........,~Main dil ke sulagny ka sabab soch raha hoon~........,~Dunya ki tu aadat hai badal leti hai aankhien~........,~Main tery badalnay ka sabab sooch raha hoon~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Tum mat do humien khush rehny ki dua~........,~Hum khushiyan rakhty nahi baant diya karty hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Humari saadgi ki inteha kia pochtay ho~........,~Be libaas aaye thay ik kafan main chaly jayien gay~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Main khud zameen hoon mera zarf aasman ka hai~........,~Ke toot ke be mera honsala chataan ka hai~........,~Bichar ke uss say main iss liye nahi roya~........,~Woh keh gaya tha ye waqt imtehan ka hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kabhi aa ke tu dekho~........,~Meri tanhai ka manzar~........,~Meri gum naam si dunya~........,~Meri anjaan si raahien~........,~Meri thori si khushiyan~........,~Kabhi aa kar dekho~........,~Tum se haar jana acha lagta hai~........,~Main tumhien baar baar iss liye tang karta hoon~........,~Tum rooth jao tu mujhy manana acha lagta hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Bhool jaany ka tujhy koi irada na tha~........,~Tery siwa kisi say kia wada na tha~........,~Nikaal dety dil say shayad tumhien~........,~Par iss kambakht dil main koi darwaza na tha~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Safar muhhabat ka dushwaar kitna hai~........,~Maghar dekhna hai ke woh wafadar kitna hai~........,~Yehi such hai ke ussy kabhi maanga nahi Khuda say~........,~Ussay parakhna hai ke woh mera talabghar kitna hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Khushk tinkon say ghar banaya raha hoon Wasi~........,~Ye jaanta hoon mizaaj-e-yaar aagh jessa hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Woh jo peeny pilaany ki baatien karty hain~........,~Unhien keh do hum be piya kartay hain~........,~Jitni pi kar woh behaak jaaty hain~........,~Utni tu hum jaam main choor diya karty hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Har sapna khushi paany say pura nahi hota~........,~Koi kisi ke bin adhora nahi hota~........,~Jo chand roshan karta hai raat bhar sub ko~........,~Har raat woh be tu pura nahi hota~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Khayal aaye tu soch lety hain~.........,~Aankhon main dard ho tu ro lety hain~.........,~Neend wessy tu nahi aati humien~.........,~Khawabon main aap aao gay yu soch kar so lety hain~.........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Ye dunya hai yahan pe tamasha ho be sakta hai~........,~Abhi jo ghum humara hai tumhara ho be sakta hai~........,~Tum apny aap ko hargiz koi ilzaam mat dena~........,~Ye soda hai muhhabat ka hasara ho be sakta hai~........,~Na ye samjho ke hum hi akhri ulfat tumhari thay~........,~Muhhabat jurm hai tum say dobara ho be sakta hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kar na dunya-e-ghum k hawaly mujhko~........,~Main tabassum hon tu honton pe sajale mujhko~........,~Tu mila hai tu yehi khof laga rehta hai~........,~Mera milna kisi uljhan main na daly tujhko~........,~Iss yaqeen par hi andheron main safar jari hai~........,~Mill hi jayien gay kisi roz ujaly mujhko~........,~Teri nafrat ne tu majboor kia jeeny par~........,~Abb kahien tera pyar maar na daly mujhko~........,~Be niyaazi ka ye andaz nahi kuch be Mohsin~........,~Baat tu tab hai ke tu dil say nikaly mujhko~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kaash chahny waly hamesha chahny waaly hi rehty~........,~Par loogh aksar badal jaaty hain muhhabat ho jaany ke baad~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Main chahaton ka hisaab likh don~........,~Aa tujh pay koi kitaab likh don~........,~Kabhi kisi say kia na jiss nay~........,~Main woh pyar be misaal likh don~........,~Meri nazron main jo bus gaya hai~........,~Woh dilkashi woh jamaal likh don~........,~Bohat dinon say sochata hoon~........,~Har shaam tere naam likh don~........,~Aghar gawara ho tujh ko tu~........,~Ye zindagi tery naam likh don~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Fana itna ho jaoon main teri zaat main~.......,~Ke jo mujh ko dekhy ussy tera deedar ho jaye~.......,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~(Bhool)~........,~Mujhy maaf kar mere humsafar~........,~Tujhy chahana meri bhool thi~........,~Kisi raah par jo uthi nazar~........,~Tujhy dekhna meri bhool thi~........,~Koi nazm ho ya koi gazal~........,~Kahien raat ho ya sehar~........,~Wo gali gali wo shehar shehar~........,~Tujhy dhondna meri bhool thi~........,~Mere ghum ki koi dawa nahi~........,~Mujhy tujh say koi gilla nahi~........,~Mera koi tere siwa nahi~........,~Yehi sochana meri bhool thi~........,~Bus yehi bhool thi meri~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Pyar karta hai wo yun jessy saza deta hai~........,~Jab hansi aaye labon pe wo rula deta hai~........,~Kabi seeny se laga leta hai tehreer meri~........,~Kabi jhothla ke wo kagaz ko jala deta hai~........,~Kabi woh dil se laga leta hai tasveer meri~........,~Kabi barham ho tu har naqsh mita deta hai~........,~Kyun dekhaty ho zamany ko har ik choot apni~........,~Ye zamana tu zakhmon ko hawa deta hai~........,~Toor de ehad-e-wafa bhool ja chahat ko meri~........,~Kon iss dunya main chahat ka silla deta hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Tarap rahi hai har aik tamana~........,~Na tum se milty na essy hoty~........,~Bhuji bhuji si hai dil ki dunya~........,~Na tum se milty na essy hoty~........,~Hum essi mehfil main kessy jayien~........,~Jahan ke manzar humien jalayien~........,~Agar hai jalna tu jalien gay tanha~........,~Na tum se milty na essy hoty~........,~Na chain aaye na maut aaye~........,~Na gee rahy hain na mar rahy hain~........,~Kahan tha pehly ye haal apna~........,~Na tum se milty na essy hoty~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Lafzoon ki tamheed mujhy baandhni nahi aati~........,~Tum ko yaad karty hain seedhi si baat hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Woh tu deewana tha mujhy tanha choor gaya~........,~Khud na ruk saka tu apna saya choor gaya~........,~Dukh nahi ghum iss baat ka hai~........,~Aankhon say kar ke wada baatoon say toor gaya~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Takat nahi mujh main ke ussy dunya say cheen loon Faraz~........,~Lekin khuda say maangnay ka haq tu hai mujhy~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Mila hoon main ik dost se tere jany ke baad~........,~Ki uss ne mere saath wafa tere jaany ke baad~........,~Meri tarhan tha woh be udaas tere jany ke baad~........,~Par jo be tha mera saath diya tere jany ke baad~........,~Ik ajnaabi sa tha par saath diya tere jany ke baad~........,~Darta hon kahien wo be na bichar jaye tere jany ke baad~........,~Ik wohi tu samjhta hai mere dil ko tere jany ke baad~........,~Pocho gay nahi kiss ne diya saath mera tere jany ke baad~........,~Bus tanhai thi aur main tha tere jany ke baad~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Andaz apna dekhta hai aainy main woh~........,~Aur ye be dekhta hai koi dekhta na ho~........,~Apni dua main bus mujhy maangta hai~........,~Aur ye be maangta hai koi maangta na ho~........,~Mujh ko pata hai mujh say pyar kar raha hai woh~........,~Phir be najany kehnay say kyun dar raha hai woh~........,~Har lamha mere bary main soochata hai woh~........,~Aur ye be soochata hai koi soochata na ho~........,~Bus mujh ko hi dil-o-jaan say chahata hai woh~........,~Aur ye be chahata hai hai koi chahata na ho~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Uss fiza main be jaltay rahy kisi ke liye~.......,~Jahan chiraagh tarasty thay roshni ke liye~.......,~Yaad rahay ga ye daur-e-hayaat mujh ko~.......,~Ke tarasty thay zindagi main aik zindagi ke liye~.......,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Tere baad tere khawabon main ghir gaye~........,~Ye kin jaan lewa azabon main ghir gaye~........,~Mulaqaton ki taseer mili na thi ke~........,~Judai ke azaabon main ghir gaye~........,~Zindagi say tu bohat onchay thay lekin~........,~Maut ka akabon main ghir gaye~........,~Zindagi main tu kisi ne ik phool na diya~........,~Jab mar gaye tu ghulabon main ghir gaye~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Abhi raat ke diye jaly hain~........,~Abhi taron ke karwan chaly hain~........,~Abhi hawa ne anchal lehraya hai~........,~Abhi chand ne chehra dekhaya hai~........,~Kuch wusul ki baat honay do~........,~Chalo aadhi raat honay do~........,~Phir dil ko be qaraar hona hai~........,~Tab aankh ko meri sona hai~........,~Phir raat chaly gi baat chaly gi~........,~Phir yaadon ki baraat chaly gi~........,~Phir khawab naghar main basera hoga~........,~Phir subha tak tu mera hoga~........,~Phir subha tak tu mera hoga~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Karti hai sawalaat musalsal teri nigah~........,~Ye tarz-e-takaluf mujhy acha nahi lagta~........,~Kehty hain mujhy dekh kar aksar mere ehbaab~........,~Ye shaks akela hain par tanha nahi lagta~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Aye shab-e-tanhai ussy kehna~........,~Humari neend lauta day~........,~Ke uss ki yaad main behaad aziyat hai~........,~Ya apna naqsh dho jaye~........,~Ya phir mera hi ho jaye~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Tujhy chahtay hain be inteha~.........,~Par chahna nahi aata~.........,~Ye kessi muhabbat hai ke~.........,~Humien kehna nahi aata~.........,~Zindagi main aa jao humari~.........,~Zindagi ban kar ke~.........,~Tere bin humien rehna nahi aata~.........,~Har pal tujhy bus tujhy~.........,~Duaoon main maangtay hain~.........,~Kya karien ke tumhary siwa~.........,~Humien kuch maangna nahi aata~.........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Uss ne ye soch kar alvida keh diya humien~........,~Ye ghareeb loogh hain muhabat ke siwa kia dien gay~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Jab tak woh mera tha anmol tha~........,~Jab say juda hua mujh se tu aam ho gaya~........,~Dukh tu hai ke woh shaks kisi ka be na ho saka~........,~Bus shohraton ke shook main badnaam ho gaya~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kal raat chand hu-ba-hu tujh sa tha Mohsin~........,~Wohi husn wohi ghuroor aur wohi doori~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kuch iss liye be doston say raabta kam rakhta hoon main~........,~Ke kal mar be jaoon tu kisi ki aankh num na ho~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Thukra ke uss ne mujh ko kaha ke muskorao~........,~Main hans diya akhir sawal uss khusi ka tha~........,~Main ne khoya woh jo mera tha hi nahi~........,~Uss ne khoya woh jo sirf ussi ka tha~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Khatam hoga zindgi ka ye safar dekh lena~........,~Tanha chaly jayenge hum dekh lena~........,~Zindgi me nhi koi mukam apna~........,~Bad marny k hogi kadar dekh lena~........,~Mujhy ab koi kali b nhi deta par~........,~Pholon se mehke gi kabar meri dekh lena~........,~Tanha hi zindgi main chal raha hoon~........,~Janazy me hoga sara shehar dekh lena~........,~Jo abb halaat pe mere muskuraty hain~........,~Pareshan hongay inn ke chehry dekh lena~........,~Kuch k sachy kuch k jhothy aansu hongay~........,~Kitna ajeeb hoga wo manzar dekh lena~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Bohat aasan hai kehna~........,~Muhabat tumse karta hon~........,~Magar matlab muhabat ka~........,~Samjh lena nahi aasan~........,~Muhabat paa ke kho dena~........,~Muhabat kho ke pa lena~........,~Ye unn logon ke qissy hain~........,~Muhabat ke jo mujrim hain~........,~Jo mil jany pe hansty hain~........,~Bichar jany pe roty hain~........,~Suno~........,~Muhabat karny waly tu bohat khamosh hoty hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kagazon pe mera dil banaty hain woh~........,~Phir unhi kagazon ko jalaty hain woh~........,~Hashar karty hain essa mere dil ka woh~........,~Dil jo roye tu mukuraty hain woh~........,~Naam likh kar kabhi kagazon pe mera~........,~Phir unko hawa main uraty hain woh~........,~Main ne iss kaam say roka unn ko bohat~........,~Bewafa hain kahan baaz aaty hain woh~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kaash ke unn ko aaye khayal humari iss bezaar haalat ka~.........,~Woh loogh jo apna bana ke bekhabar say rehty hain~.........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kabi daman kabi palkien bhigona kis ko kehty han~........,~Kisi mazlom se pocho k rona kis ko kehty han~........,~Kabi meri jaga khud ko rakho jaan jao gay~........,~Ke dunya bhar k dukh dil me simona kis ko kehty han~........,~Meri ankhon mery chehry ko ik din ghor se dekho~........,~Magar mat pochna weeran hona kis ko kehty han~........,~Tumhara dil kabi pigly agar ghum ki hararat se~........,~Tumhien maloom ho jaye ga khona kis ko kehty han~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Uss ada se be hoon aashna tujhy jis pe gharor hai~........,~Main jiyon ga tere bagair be mujhy zindagi ka shaoor hai~........,~Na hawas mujh main janab ki na talab saba-o-shabab ki~........,~Tere chashm-e-naaz ki khair ho mujhy bin piye hi saroor hai~........,~Jo samjh le tujhy bewafa tu iss main teri kia khata~........,~Ye khalal hai mere dimagh ka ye meri nazar ka qasoor hai~........,~Main nikal ke be tere naam se na giron ga apny maqam se~........,~Main qatil-e-joro sitam sahi mujhy tum se ishq zaroor hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Misl-e-sheesha hain humien thaam ke rakhna aye Dost~........,~Hum tere haath say choot'tay tu bikhar jaayien gay~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Waqt-e-rukhsat uss ki aankhien mujh say keh rahien thien Mohsin~........,~Ke main laut ke aaon ga tujhy phir say choor jaany ke liye~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Na samjh saki uss ka koi be bahana~........,~Kabhi palkon pe bithana kabhi nazron say girnana~........,~Saqi tere maikhany ka dastoor hai kessa?~........,~Pehly gee bhar ke pilana phir qatry qatry pe tarsana~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Konsa zakhm tha jo tar-o-taza na tha~........,~Zindagi main itny ghum thay ke andaza na tha~........,~Unn ki jheel si aankhon ka iss main kia qasoor~........,~Doobnay walon ko gehrai ka andaza na tha~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Woh kehta rehta hai bari majbooriyan hain waqt ki Mohsin~........,~Saaf lafzoon main khud ko bewafa nahi kehta~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Dhoop main saya-e-dewar zaroori tu nahi~........,~Ab tere baad koi pyar zaroori tu nahi~........,~Hum tere ik ishary pe sar kata dien~........,~Ho tere haath main talwaar zaroori tu nahi~........,~Mere elan-e-baghawat se salaamat reh jaye~........,~Teri badshahi tera darbar zaroori tu nahi~........,~Nafratien phenk ka aa phir se galay lag jaiyen~........,~Aisa moqa milay har baar zaroori tu nahi~........,~Jeet lien gay tujhy dunya se mera wada hai~........,~Har baar ho meri haar zaroori tu nahi~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kya karo ehtraam sheeshy ka~........,~Tumhara chehra Hai ghulam sheeshy ka~........,~Sub khamiyan khoobiyan hai bata deta~........,~Kon samjhy mokaam sheeshy ka~........,~Kitnay haseenon ke hoonth choomta hai~........,~Saaqi ke dar pe jaam sheeshy ka~........,~Sahib-e-zar ke paas pathar hain~........,~Mere shehar main nahi nizaam sheeshy ka~........,~Bhool kar be paoon ke neechy na rondh dena~........,~Bara sakht hai intikaam sheeshy ka~........,~Suno ik thokar say toot jaye ga~........,~Mera dil hai tamaam sheeshy ka~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
Be nishaan manzilon ke safar par niklo gay tu jaano gay Moshin
Dilon ke musafir kyun ghar ka rasta bhool jaty hain.........
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Baaton baaton main bicharnay ka ishara kar ke~........,~Khud be roya bohat woh hum say kinara kar ke~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Essay dekhai dena hazaron ke darmayan~........,~Sajta hai chand jessy sitaron ke darmayan~........,~Logon ke beech main reh kar be yun rehna munfarid~........,~Jessy gulab hota hai kanton ke darmayan~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Wafa iss ko nahi kehty wafa kuch aur hoti hai~........,~Muhabat karny walon ki ada kuch aur hoti hai~........,~Tumhien dekha tumhien chaha tumhi se pyar kar bethay~........,~Suno pathar ke dil walo muhabat essi hoti hai~........,~Agharche ghum ka mara hon magar tumko na bholon ga~........,~Ke dewanon ke honton par dua kuch aur hoti hai~........,~Tarap uthy gi ye dunya aghar roye ga mera dil~........,~Ke dil se jo nikalti hai woh sada kuch aur hoti hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Bheegi aankhon say muskurany ka maza aur hai~.........,~Hanstay hanstay palkien bhegonay ka maza aur hai~.........,~Baat keh ke tu koi be samjh jata hai~.........,~Khamooshi koi samjhy tu maza aur hai~.........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Hua kya hai mujh ko woh kya jaanta hai~........,~Woh aik shakhs mujh ko juda jaanta hai~........,~Woh mumkin hai mujh ko bhoola de ga~........,~Kya beety gi mujh pe Khuda jaanta hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Nigah azal say pyaasi hai aur kuch be nahi~........,~Sari dunya hi khafa si hai aur kuch be nahi~........,~Ghum-e-jana hai ghum-e-dunya Ghalib~........,~Ik be naam si udaasi hai aur kuch be nahi~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Jissy muhabat na ho ussy ehsaas nahi hota~........,~Ik chehra har aik ke liye khaas nahi hota~........,~Koi aghar nazron say door ho tu woh door nahi~........,~Door tu woh hai jo dil ke paas nahi hota~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Tamaam umar lafzon ke sahary talaash karty rahy~........,~Jab umar na rahi logon ne kandhon pe utha liya~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Dil ke veerany aa kar sajaye ga~........,~Sacha pyar hi ussy meri dehleez par laye ga~........,~Ussy khabar karo ke main shehar main aaya hoon~........,~Khush tu bohat hoga par mere paas na aaye ga~........,~Kafan main kuch dair mera chehra khula hi rakhna~........,~Meri be baasi dekhny woh zaroor aaye ga~........,~Woh aaye tu ussy mere janazy say door hi rakhna~........,~Uss ka udaas chehra mujhse dekha na jaye ga~........,~Meri qabar par naam ki takhti mat lagana Mohsin~........,~Aaty jaaty ussy mera ghum sataye ga~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Sapny ki taran aap ko saja ke rakhon~........,~Chandni raat ki nazron say chupa ke rakhoon~........,~Meri taqdeer ne saath nahi diya warna~........,~Zindagi bhar tujhy apna bana ke rakhon~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Para na farq aanookhi zuban likhnay say~........,~Zameen zameen hi rahi aasman likhnay say~........,~Raha jiss say taluq har ghari mera~........,~Woh ban saka na meri jaan, jaan likhnay say~........,~Panah mill na saki kabhi ik pal mujh ko~........,~Kisi ujaar jaga ko makaan likhnay say~........,~Karri tapish say jhulsta raha badan mera~........,~Ke dhoop dhoop hi rahi saaiban likhnay say~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Itni shiddat se main ne tumhien paany ki koshish ki hai~........,~Ke har zarry ne mujhy tumse milanay ki koshish ki hai~........,~Teri nazron ko gilla na ho kabhi mujh say~........,~Itna toot ke main ne tujh say muhabat ki hai~........,~Tere ehsaas ki kabhi kami na mujh main~........,~Tere dil ne mere dil se kuch essi chahat ki hai~........,~Har pal tera naam lon iss gustaakh zamany main~........,~Meri rooh ne meri zuban ko itni tu ijaazat di hai~........,~Koi faryad meri pohanch jaye aarsh tak Wasi~........,~Kuch pal ke liye main ne be teri ibadat ki hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Yehi wafa ka sila hai tu koi baat nahi~........,~Ye dard uss ne diya hai tu koi baat nahi~........,~Itna bohat hai ke woh dekhta hai sahil se~........,~Main doob raha hoon tu koi baat nahi~........,~Kisi ki majaal koi mujhko kahay dewana~........,~Agar ye uss ne kaha hai tu koi baat nahi~........,~Ye mery bus main kahan ke ussy bhool sakon~........,~Woh mujhko bhool chuka hai tu koi baat nahi~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Mujhse gily hain mujh pe barosa nahi ussy~........,~Ye soch kar be tu humne roka nahi ussy~........,~Woh shaks kabhi chand sitaron se pochy~........,~Hai kon si woh raat jab socha nahi ussy~........,~Alfaz teer ban ke utarty rahy dil main~........,~Sunty rahy chup chap hi toka nahi ussy~........,~Dost ye muhabat nahi asul-e-wafa hai~........,~Hum jaan tu de dien gay magar dokha nahi ussy~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Hazaar baar marna chaha nigahon main doob ke hum ne~........,~Woh nigahien jhuka leta hai humien marny nahi deta~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Faaslay ghatta dety hain dilon main nafraton ko~........,~Woh jo door hoye tu kuch mohabbat si honay lagi~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kisi ke liye zindagi thi koi zindagi ke liye tha~........,~Kisi ki andheron me guzri koi sirf roshni ke liye tha~........,~Kisi ne kiye hukam sadir koi sirf bandagi ke liye tha~........,~Kisi se muhabat hai itni koi sirf dushmani ke liye tha~........,~Kisi se hoye logh sairab koi sirf tishnagi ke liye tha~........,~Wo phir dunya main tha masrof koi sirf usi ke liye tha~........,~Hua kya agar toor dala usne ye dil sirf usi ke liye tha~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Sahil~........,~Rait~........,~Samandar~........,~Lehrain~........,~Basti~........,~Jungal~........,~Sehra~........,~Darya~........,~Khsuboo~........,~Mausam~........,~Phool~........,~Dareechay~........,~Badal~........,~Suraj~........,~Chand~........,~Sitary~........,~Aaj ye sub kuch naam tumhary~........,~Khawab ke qissy~........,~Sock ke pehlu~........,~Neend ke lamhy~........,~Dard ke Aansoo~........,~Chain ke naghmay~........,~Urtay waqt ke behtay dharay~........,~Aaj ye sub kuch naam tumhary~........,~Rooh ki aahat~........,~Jism ki junbash~........,~Khoon ki wehshat~........,~Sans ki larzish~........,~Aankh ka paani~........,~Hont ki rangat~........,~Chahat ka unwan ye sary~........,~Aaj ye sub kuch naam tumhary~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kuch zakham sadiyon baad be taaza rehty hain Dost~........,~Waqt ke paas be har marz ki dawa nahi hoti~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Ussy talab thi koi toot kar ussy chahay~........,~Woh haath joor ke ulfat hazaar maangta tha~........,~Mere khaloosh pe tha shaid shak ussy~........,~Wafa ki rah main aitbaar maanta tha~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Meri muhabat mere jazbat sirf tumse hain~........,~Dekho meri kainat sirf tumse hai~........,~Auron se pochnay ka haq main nahi rakhta~........,~Mere sawalaat mere jawabaat sirf tumse hain~........,~Tujhko maloom hi nahi meri tanahai ka dukh~........,~Meri sochien mere khayalaat sirf tumse hain~........,~Tu saath hai tu muqadar pe hakumat apni~........,~Mere har rishty ki soghaat sirf tumse hai~........,~Agar kabhi bikhar jaon tu sametna mujhko~........,~Hai mukamal jo meri zaat sirf tumse hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Jab ussy yaad karon kitna badal jaoon main~........,~Dekhty dekhty ik khawab main dhal jaoon main~........,~Dil tu karta hai kabi haath chora ke sub se~........,~Teri aankhon main kahien door nikal jaoon main~........,~Usski ulfat hai ke nafrat se dekhy mujhko~........,~Woh kabhi pyar se dekhy tu pighal jaoon main~........,~Faisla ho nahi paya ye barson se~........,~Aaj jaoon tere shehar se yan kal jaoon main~........,~Saadgi raas nahi aai muhabat main Dosto~........,~Abb munasib hai koi chaal hi chal jaoon main~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Woh hai auroon ki mehfil main masroof~........,~Yahan main hoon aur aalam-e-tanhai~........,~Aab loog mujhy uss ke naam se jaanty hain~........,~Pata nahi ye meri shohrat hai yan ruswai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Main muhabat hon mujhy pyar kar ke dekh~........,~Main muhabat na don tu kehna~........,~Main kitab hon mujhy parh kar dekh~........,~Main samjh na aaon tu kehna~........,~Main muskurahat hon mujhy hans kar dekh~........,~Main ne sajoon tere honton par tu kehna~........,~Main khushboo hon mujhy mehsoos kar ke dekh~........,~Na mehkoon teri zindagi main tu kehna~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Jeeny ki nai ada di hai~........,~Kush rehny ki uss ne Dua di hai~........,~Aye Khuda ussy sara jahan day day~........,~Jiss nay mujhy apny dil main thoori si jagah di hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Main ne faaslon ko mitaya woh judai kar gaya~........,~Kitna masoom tha wo lekin bewafai kar gaya~........,~Woh sikha gaya kisi pe aitbaar na karna~........,~Kitni buraai kar ke aik achaai kar gaya~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Zamany bhar ne loota hai faraib-e-dosti day kar~........,~Aghar tum saath do tu sub say dushmani kar lon~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kabhi shama kabhi anchal ka kinara dena~........,~Main agar doob kar ubhron tu sahara dena~........,~Teri ulfat main mukamal hoon har pehlu say~........,~Mujhy dard be dena tu sara dena~........,~Main tujh shum ke samandar main kinara don ga~........,~Tu mujhy hijar ke toufan main sitara dena~........,~Main teri yaad ke sehra main kahien rehta hoon~........,~Kabhi aana tu halka sa ishara dena~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Main iss khayal say ussy aaj tak dil ki baat na keh saka Dost~........,~Ke woh dard-e-dil say hai be khabar kahien muskura ke na taal day~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Aab main samjha uss ki chamakti aankhoon ka raaz~........,~Woh rooti nahi aansuoon ko qaid kar leti hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Ye aainay tujhy teri khabar kia dien gay Aye Humnasheen~........,~Aa dekh meri aankhon main ke tu kitna haseen hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Pholon ko khilna sikhaya nahi jaata~........,~Kanton ko chubna bataya nahi jaata~........,~Koi ban jata hai khud say apna~........,~Warna har kisi ko apna banaya nahi jaata~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Yon mere khaloos ko ruswa na kar~........,~Yan mera bary main socha na kar~........,~Mujjh ko dil ki dharkanon ke saath rakh~........,~Yan mere seenay main tu dharka na kar~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kab tak raho ge aakhir yon door humse~........,~Milna pary ga aakhir ik din zaroor humse~........,~Daman bachany wali ye be rukhi hai kessi~........,~Keh do aghar hua hai koi kasoor humse~........,~Hum cheen lien gay tum se ye shan-e-beniyaazi~........,~Tum mangtay phiroo gay apna gharoor humse~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Doobo day apni kashiti ko kinara dhoondhnay waly~........,~Ye darya-e-muhhabat hai yahan sahil nahi hota~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Bohat khamosh reh kar jo sazaien mujhko deta tha~.........,~Bary sundar say jazbon ki wafaien mujhko deta tha~.........,~Kabhi jo dard ki aatish sulagany mujhko lagti thi~.........,~Woh apni saans ki mehakti hawaien mujhko deta tha~.........,~Ussy main ajnabi samjha magar har moor par woh~.........,~Apny naam ki sari duaien mujhko deta tha~.........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Be chain umangon ko behla k chaly jana~........,~Hm tm ko na rokien gay bus aa k chaly jana~........,~Milny jo na aye thy kisi majboori~........,~Jhotha koi afsana dohra k chaly jana~........,~Jo aag lagi dil me wo sard ho rahi hai~........,~Bhujty hoye sholon ko bharka k chaly jana~........,~Ujhri nazar aati hai jazbaat ki haryali
Tum iss pe koi badal barsa k chaly jana~........,~Furqat ki aziat me kuch sabar be lazim hai~........,~Ye baat mere dil ko samjha k chaly jana~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kal thaky hary parindon ne naseehat ki mujhy~.........,~Jab shaam ho jaye tu apny be saath choor dety hain~.........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kuch unki adaon ka talabgar bht tha~........,~Kuch apni anaon se muje pyar bht tha~........,~Socha tha usy pa lon ga ik na ik din~........,~Pehli si muhabat pe aitbaar bht tha~........,~Manzil kesy naseeb ho tere diyar ki~........,~Rasta tu tere ghar ka purisraar bht tha~........,~Usne kuch iss andaz me iqrar kia tha~........,~Ke iqrar kam iqrar me inkar bht tha~........,~Faraz ko faqat pyar me ruswaiyan hi milien~........,~Shayad ke wo muhabat ka gunahgaar bht tha~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Shehar mera magar waqar uska tha~........,~Meri har sham ko intizar uska tha~........,~Mere khwabon pe jo qabz hau ik shaks~........,~Meri ankhon me sara khumar uska tha~........,~Mere wajod se jo ban chuka he anjan~........,~Meri har sans me qarar uska tha~........,~Jab be mangi hai us se sham-e-wasal~........,~Meri har dalel par inkar uska tha~........,~Jo shamil thay mere qatal ki sazish main~........,~Unn logon main shumar uska tha~........,~Mere jewan main ye manzar be dekh liya Sagar~........,~Pehlu mera khanjar mera war uska tha~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Jin rahoon pe ik umar tere saath raha hoon~........,~Kuch roz say woh raasty sunsaan hain bohat~........,~Mill jao kabhi lout ke phir aaon na shayad~........,~Kamzor hoon main raah main tufaan hain bohat~........,~Ik tum hi nahi meri judai main pareshan~........,~Hum be to teri chah main viraan hain bohat~........,~Ik tark-e-wafa pe main ussy kessy bhulla doon~........,~Mujh par abhi uss shaks ke ehsaan hain bohat~........,~Bhar aayien na aankhien tu ik baat kahoon~........,~Abb tujh se bichar jaany ke imkaan hain bohat~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Raton ko uth kar khyalon se ho kar tumhien kya khabar hai~........,~Main apnay Khuda se kya mangta hoon~........,~Virano main ja kar daman phela kar ansoo baha kar tumhien kya khabar hai~........,~Main apnay Khuda se kya mangta hoon~........,~Tum tu kaho gay Sanam mangta hoon tum tu kaho gay kisi dil ruba ki kisi dil nashin ki~........,~Wafa mangta hoon ye be galat hai woh be galat hai~........,~Main apnay Khuda se Adam ki beti ki ankhon se jati Haya mangta hoon~........,~Hawa ki beti ke sar se utri Rida mangta hoon~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Agar kaho tu haal-e-dil sunaon tum ko~........,~Tamam umar samny bithaoon tum ko~........,~Mere zakhmon ka haal pochoo agar jaan-e-jaan~........,~Tu ik ik zakham ki tafseel sunaoon tum ko~........,~Khawabon ki neend say be gehri ik neend hoti hai~........,~Tere baazuon ka ho takya tu dekhaoon tum ko~........,~Yehi dua hai ke woh waqt aaye ik baar phir~........,~Tum jo rootho tu haath joor kar manaoon tum ko~........,~Har shaks main mujhy ik raqeeb nazar aata hai~........,~Bool aye mere humnawa kiss kiss ki nazar say bachaoon tum ko~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Hota kessy unhien ghum humari ruswai ka~........,~Jab farq para hi nahi unhien hum say judai ka~........,~Khamooshi say saha hum ne jab har ghum~........,~Tu ik ilzaam lag gaya bewafai ka~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Mohhabat tu baarish hai~........,~Jissy choonay ki khawahish main~........,~Hatheeli tu geeli ho jaati hai~........,~Magar haath khaali hi rehty hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Mutassir hum be nahi hoty itni jaldi kissi say Magar~........,~Kuch logoon ko dil main uttar jaany ka honar aata hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Masoom muhhabat ka bus itna fasana hai~........,~Kagaz ki haweeli hai barish ka zamana hai~........,~Kya shart-e-muhahbat hai kia shart-e-zamana hai~........,~Awaaz be zakhmi hai aur geet be gaana hai~........,~Uss paar utarnay ki umeed bohat kam hai~........,~Kashti be purani hai toufaan ko be aana hai~........,~Samjhy yan na samjhy wo andaz-e-muhhabat ko~........,~Ik shaks ko aankhon say ik shair sunana hai~........,~Bhooli si ada koi phir ishq ki zid par hai~........,~Ik aag ka darya hai aur doob kar jaana hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Meri chahat tha woh meri aana be tha~.........,~Mere khamoosh lehjon ki woh ik sada be tha~.........,~Rehta tha sobh-o-shaam woh mere wajood main~.........,~Meri awaaz mera lehja woh meri ada be tha~.........,~Deta tha mujh ko zakham wo be hisaab magar~.........,~Humdard be tha mera woh meri wafa be tha~.........,~Abb uss ke zikar par aksar main khamoosh hi rehta hoon~.........,~Kabhi meri muhhabat ki woh inteha be tha~.........,~Ajab kash-ma-kash thi meri zindagi main~.........,~Poojna ussy be tha aur dil main Khuda be tha~.........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Teri yadoon say dil hamkalam rehta hai~........,~Laboon par tera naam subha aur shaam rehta hai~........,~Jiss tarhan chand rehta hai aasmanon main~........,~Nazron main meri tera woh muqaam rehta hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Meri wafa ke taqazay tu qalb-o-jaan tak hain~........,~Mujhy bata ke iraday tere kahan tak hain~........,~Tere khayal ki khushboo ke saath jiyien gay~........,~Hajoom-e-dard ke raasty jahaan tak hain~........,~Humary baad Khuda jaany kessa manzir ho~........,~Hum aaftaab hain aur shaam ki azaan tak hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Woh paani ki lehroon pe kya likh raha tha~........,~Khuda jaany harf-e-dua likh raha tha~........,~Likha tha jiss ne wafa ka maani adhora~........,~Woh shaks pyar ki inteha likh raha tha~........,~Zara uss ki aankh say aansoo na nikly~........,~Woh jiss waqt lafz-e-saza likha raha tha~........,~Muhhabat main nafrat hi milli thi ussy~........,~Woh har shaks ko bewafa likh raha tha~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Dukh dard ki barsat ne pagal kar diya~........,~Tanha samkh ke raat ne pagal kar diya~........,~Shikway nahi kisi say kisi sar gilla nahi~........,~Mujh ko mere halaat ne pagal kar diya~........,~Ye be nahi ke unn say milien baar baar~........,~Bus ik mulaqat ne pagal kar diya~........,~Kehty hain wo har baat pe pagal to nahi aap~........,~Bus mujh ko issi baat ne pagal kar diya~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Meri ghazal ka unwaan pochaty hain loog~........,~Dil main kon rehta hai naam pochaty hain loog~........,~Choor kar chala gaya mujh ko akela shehar main~........,~Kitny main bik gaye woh daam pochaty hain loog~........,~Main sung dil tha yan woh harjaai~........,~Ik yehi baat sar-e-aam pochaty hain loog~........,~Kal kia ho ga mujhy khud khabar nahi~........,~Meri muhhabat ka anjaam pochaty hain loog~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Narazgi be teri gawara na kar saky~........,~Aur teri muhhabat say kinara be na kar saky~........,~Mere tamaam khawab adhoray hi reh gaye~........,~Hum khawab main be khud ko tumhara na kar saky~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Yon rah-e-wafa ki saleeb par do qadam uthany ka shukriya~........,~Bara pur khatar tha ye raasta tere laut jaany ka shukriya~........,~Jo udaas hain tere hijar main jinhien boojh lagti hai zindagi~........,~Sar-e-bazm yon unhien dekh kar tere muskurany ka shukriya~........,~Teri yaad kiss kiss bhais main mere sher-o-nagma main dhal gai~........,~Ye kamaal tha teri yaad ka mujhy yaad aany ka shukriya~........,~Jo zamany bhar ka asool tha woh asool tu ne nibha diya~........,~Yehi rasm thehri hai motabar mujhy bhool jany ka shukriya~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Garoor-e-jaan ko mere yaar baich dety hain~........,~Qaba ki hirs main dastaar baich dety hain~........,~Ye loog kya hain ke do chaar khawahishon ke liye~........,~Tamaam umar ka pindaar baich dety hain~........,~Junoon-e-zeenat-o-aarayesh-e-makaan ke liye~........,~Kaien makeen dar-o-deewar baich dety hain~........,~Zara be nirkh ho baala tu taajraan-e-harm~........,~Qalam-o-jubba-o-dastaar baich dety hain~........,~Bus itna farq hai Yousuf main aur mujh main~........,~Ke uss ko bhai aur mujh ko yaar baich dety hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Humari qadar ho gi unhien tanhaiyon main Sagar~........,~Abhi tu bohat loogh hain gird unn ke dil lagi ke liye~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Main ne kab dard ki zakhmoon say shikayat ki hai~........,~Haan mera jurm hai ke main ne muhhabat ki hai~........,~Chalti phirti laashon ko gilla hai mujh say~........,~Shehar main reh kar main ne jeenay ki hasrat ki hai~........,~Aaj pehchana nahi jaata chehra uss ka~........,~Ik umar mere dil pe jiss ne hukumat ki hai~........,~Aaj phir dekha hai ussy mehfil main pathar ban kar~........,~Main ne aansoon say nahi dil say baghawat ki hai~........,~Uss ko bhool jaany ki ghalti be nahi kar sakta~........,~Toot kar ki hai tu sirf muhhabat ki hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Har simt ghum-e-hijar ke toufan hain saqi~........,~Mat poch ke hum kitny pareshan hain saqi~........,~Har chehra nazar aata hai tasveer ki soorat~........,~Hum shehar ke logon say be anjaan hain saqi~........,~Jiss shehar-e-muhhabat ne humien loot liya hai~........,~Uss shehar say aab kooch ka saman hain saqi~........,~Kashti abhi umeed ki doobi tu nahi hai~........,~Phir kyun teri aankhon main toufan hain saqi~........,~Kar inn ka adab rakh inhien seenay say laga kar~........,~Ye dard ye tanhaiyan mehmaan hain saqi~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Main choom leta aghar tu gulab hota~........,~Main jawab deta aghar tu sawal hota~........,~Sub jaanty hain main nasha nahi karta~........,~Phir be pi leta aghar tu sharab hota~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Ik hijar-e-musalsal hai aansoo hain mere saathi~........,~Kuch khawab purany hain kuch paas nahi baqi~........,~Tere paas chala aaon teri neend chura loon~........,~Mere dil say na jaany kyun ye khawahish nahi jaati~........,~Tere lams ki hidaat ko jab paas nahi pata~........,~Lagta hai ke jeewan main koi rang nahi baqi~........,~Din raat tumhien dekhoon aur pyar kiye jaoon~........,~Meri aankhon say mere honton say teri pyaas nahi jaati~........,~Ik doje say donon ko ye kessi adaawat hai~........,~Teri yaad jo aa jaye tu neend nahi aati~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Uth uth ke kisi ka intizar kar ke dekhna~........,~Kabhi kisi se pyar kar ke dekhna~........,~Kessy tooty hain muhabat ke rishty~........,~Ghaltiyan do char kar ke dekhna~........,~Zindagi ka falsafa samjhna ho tu~........,~Barish main kachi deewar kharri kar ke dekhna~........,~Nafrat ho jaye gi tum ko be dunya se~........,~Muhabat kisi se beshumaar kar ke dekhna~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kabhi tum khud be aa ke dekho ye manzar shaam se pehly~........,~Ye lab kessy chamakty hain tumhary naam se pehly~........,~Nahi mumkin main raah-e-shooq se wapis palat jaoon~........,~Parindy tu nahi loot tay kabhi ghar shaam se pehly~........,~Nahi maloom kab se hai taluq istawaar apna~........,~Tumhara aks tha dil main tumhary naam se pehly~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Yaadon ko bhulany main kuch dair tu lagti hai~........,~Aankhon ko sulany main kuch dair tu lagti hai~........,~Kisi shaks ko bhula dena itna asaan nahi hota~........,~Dil ko samjhany main kuch dair tu lagti hai~........,~Bhari mehfil main jab koi achanak yaad aa jaye~........,~Phir ashq chupanay main kuch dair tu lagti hai~........,~Jaan se be pyara shaks achanak door ho jaye tu~........,~Dil ko yaqeen dilany main kuch dair tu lagti hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Mana ke bura hoon maghar itna be nahi~........,~Kuch nazroon say ghira hoon maghar itna be nahi~........,~Koi koshish tu kary mujhy sametnay ki~........,~Main toot ke bikhra hoon maghar itna be nahi~........,~Kon kehta hai hum waqif nahi aadab-e-muhhabat say~........,~Thora bewafa hoon maghar itna be nahi~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Aghar tum khool bethay ho ye safah shaam se pehly~........,~Maqam-e-sabar se pehly had-e-ilzaam se pehly~........,~Kahani khatam hi karni hai aghar anjaam se pehly~........,~Tu ye be faisla kar do ke hum likhien be tu kya likhien tumhary naam se pehly~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Mausam-e-gul main aghar shaakh say tootay hoty~........,~Kuch shagoofy be ussi shaakh se phootay hoty~........,~Dil bara sakht tha har sang-e-balaa jhail gaya~........,~Warna hum shiddat-e-ehsaas say tootay hoty~........,~Tum ko jaana tha tu pehly hi juda ho jaaty~........,~Iss tarhan rooz ke marnay say tu chhotay hoty~........,~Honth chup chaap sahi aankh hi kuch keh jaati~........,~Roothnay waly saleeqy say tu roothay hoty~........,~Hum ne hans hans ke bharam ahel-e-wafa ka rakha~........,~Hum be ro detay aghar ishq main jhoothay hoty~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kuch aur sochnay ki zaroorat nahi mujhy~........,~Tere siwa kisi se muhabat nai mujhy~........,~Rehta hai bus tera hi mujhy raat din khayal~........,~Main tujh ko bhool jaoon ye taqat nahi mujhy~........,~Kal shab tumhari yaad main aansoo chhalak pary~........,~Abb kuch be aur kehny ki hajat nahi mujhy~........,~Kiss ko sunaoon ja ke main haal-e-dil~........,~Tum ne tu keh diya fursat nahi mujhy~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Pyaas darya ki nigahon say chuppa rakhi hai~........,~Ik badal say bari aas laga rakhi hai~........,~Teri aankhoon ki kashish kessy tujhy samjhaoon~........,~In chiraghon ne meri neend urra rakhi hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kabhi abaad karta tha kabhi barbaad karta tha~........,~Sitam har rooz woh ik naya ijaad karta tha~........,~Zamana ho gaya lekin khabar lenay nahi aaya~........,~Jo panchi rooz mere naam par azaad karta tha~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Main tu bik jaata tere naam pay Yousaf ki tarhan~........,~Tu kabhi khareedar tu ban ke aa missar ke bazar main~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Aankhon main teri kuch armaan choor jayien gay~........,~Zindagi main teri kuch nishan choor jayien gay~........,~Lay jayien gay bus ik kafan teri dunya say~........,
~Tere liye sara jahaan choor jayien gay~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Tamaan umar barabar yehi malaal raha~........,~Uss ka jawab mere liye hamesha sawal raha~........,~Jo ik pal ke bicharnay ko maut kehta tha~........,~Mere baghair zinda be hazaroon saal raha~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Saath na rehny say rishtay nahi toota karty~........,~Waqt ke haath say lamhy nahi choota karty~........,~Loog kehty hain mera sapna toot gaya~........,~Tooti neend hai sapny nahi toota karty~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Koi aa kar mera haath thaam le~........,~Mujhy tanhaiyon say dar lagta hai~........,~Koi apna keh kar mera naam le~........,~Mujhy harjaiyon say dar lagta hai~........,~Sama jaye koi mere wajood main~........,~Mujhy judaiyon say dar lagta hai~........,~Muhhabat main doob jaoon main be magar~........,~Mujhy gehraiyon say dar lagta hai~........,~Kar lon barbad zindagi apni magar~........,~Mujhy tabahiyon say dar lagta hai~........,~Tu kahay tu ho jaoon tera magar~........,~Mujhy bewafaiyon say dar lagta hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kisi ki khatir waqar khona koi sunay ga tu kya kahy ga~........,~Ye raton ko uth uth ke tera rona ko sunay ga tu kia kahy ga~........,~Bhanwar main kashiti koi choor aaty tu aap par na aati baat~........,~Ye sahil par mujh ko la dabona koi sunay ga tu kia kahy ga~........,~Jo ge main aaya tu khoob khailay nazar say utara tu toor dala~........,~Ye mera dil be hai kia khiloona koi sunay ga tu kia kahy ga~........,~Main ne kaha ke dar Khuda say ke tujhy Khuda ka dar nahi~........,~Woh hans ke bolay chup raho na koi sunay ga tu kia kahy ga~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Mujhy mitti ka ghar banany ka shook tha~.........,~Ussy ashiyanay girany ka shook tha~.........,~Main khud say rooth jata hon aksar iss liye~.........,~Ussy rothy hoye logon ko mananay ka shook tha~.........,~Ussy wadon ki paasdari pasand na thi~.........,~Lekin mujhy waaday nibhany ka shook tha~.........,~Main masroof tha tanhaiyon main~.........,~Ussy logon say milny milany ka shook tha~.........,~Woh bewafa tha iss main hairat ki baat kya hai~.........,~Mujhy be bewafa logon say dil laganay ka shook tha~.........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Be nishan manzilon ke safar par nikloo gay tu jaano gay Murtaza~........,~Dilon ke musafir kyun ghar ka rasta bhool jaaty hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Miltay hain ajnabi mujh ko bary shook say Faraz~........,~Par dekh kar haal mera har koi mujhy choor deta hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Hum nay waqt say bohat wafa ki lekin~........,~Waqt hum say bewafai kar gaya~........,~Kuch tu humary naseeb buray thay~........,~Kuch logon ka hum say gee bhar gaya~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Chandani ban kar barsati hain teri yaadien mujh par~........,~Kitna dilkash hota hai meri tanhai ka manzar~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Dil main kuch nahi aaj dard ke siwa~........,~Aankhon main kuch nahi aaj teri yaad ke siwa~........,~Tum chorna mat kabhi saath mera~........,~Zindagi main kuch nahi tere saath ke siwa~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~100(So) baatien suni main ne ik baat ki khatir~........,~Har baat gawara hai teri zaat ki khatir~........,~Ta-hayaat rahy tere honton pay tabassum~........,~Hazir hain meri aankhien barsaat ki khatir~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Sookhay darakhton ke nichy sula kar chala gaya~........,~Ajab shaks tha sapnay dikha ke chala gaya~........,~Ye ujhra dil tu ussi shaks ki nishani hai~........,~Jo apnay naam ki takhti laga ke chala gaya~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Itni shidaat aansuoon main pehlay kabhi na thi~........,~Dekha apnay naseeb ko tu sar-e-aam ro diye~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Haqeeqaton pe hai dunya ko aitraaz bohat~........,~Ke hai mizaj-e-zamana fasana saaz bohat~........,~Tera ghuroor-e-ibadat tujhy na le doobay~........,~Suna hai parhta tha iblees be namaz bohat~........,~Ye keh rahay thay kal awaargaan-e-koocha-e-yaar~........,~Adayien aaj be hain uss ki dilnawaaz bohat~........,~Unhien shaoor-e-muhhabat nahi Murtaza~........,~Jo loogh hain teri mehfil main sarfaraaz bohat~........,~Meri khushi ka zamana tu hawa ka jhonka tha Murtaza~........,~Mere ghamoon ki rahi umar daraaz bohat~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~(Udaas Raat)~........,~Badan takan say choor hai~........,~Par neend hum say door hai~........,~Tera khayal saath hai~........,~Bari udaas raat hai~........,~Hawa-e-ghum ka zoor hai~........,~Samandaron ka shoor hai~........,~Judaiyun ki baat hai~........,~Bari udaas raat hai~........,~Har nazar sharab hai~........,~Tere milnay ka khawab hai~........,~Ye kon sa azaab hai~........,~Bari udaas raat hai~........,~Gaaye dinon ki yaad hai~........,~Thaka thaka sa chand hai~........,~Dukhi dukhi si baat hai~........,~Bari udaas raat hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Dil ki dunya kuch iss tarhaan ujhri Aarzuu~........,~Tu ne dard ka aadi bana kar dard dena choor diya~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Ye dekha hai hum nay azmaa kar~........,~Dookha dety hain loogh aksar qareeb aa kar~........,~Kehty hain dunya par dil nahi manta hai~........,~Ke choor jao gay tum be ik din apna bana kar~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Mery ghum ko kiss ne dekha hai~........,~Jiss ne dekha hai sirf mujhy dekha hai~........,~Aksar aansoo nikalty hain tanhai main~........,~Logon ne mujhy muskuraty hi dekha hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Hum mitti ke aashiyaanay banatay gaye~........,~Bana bana ke unhien mitatay gaye~........,~Hum ko koi na apna bana saka~........,~Hum har kisi ko apna banatay gaye~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Rait par naam kabhi likha nahi karty~........,~Rait par likhy naam kabhi tika nahi karty~........,~Loog humien pathar dil kehty hain Lekin~........,~Pathron par likhy naam kabhi mita nahi karty~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Dilon say khailnay ka hunar humien nahi aata~........,~Issi liye ishq ki baazi hum haar gaye~........,~Meri zindagi say shayad unhien bohat pyar tha~........,~Issi liye woh mujhy zinda hi maar gaye~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Tabeer jo mill jaati tu ik khawab bohat tha~........,~Jo shaks juda ho gaya woh nayaab bohat tha~........,~Main kessy bacha leta kashti-e-dil ko~........,~Darya-e-muhhabat main sailaab bohat tha~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Dil wohi rehty hain jazbaat badal jaaty hain~........,~Sochnay waloon ke andaaz badal jaaty hain~........,~Woh jo detay thay har baat pe hawala mera~........,~Abb mere zikar pe woh baat badal jaaty hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Na jaanay kyun humien aansoo bahana nahi aata~........,~Na jaanay kyun haal-e-dil batana nahi aata~........,~Kyun saathi bichar jaaty hain hamesha hum say~........,~Shayad humien saath nibhana nahi aata~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Pathar ki hai dunya jazbaat nahi samjhti~........,~Dil main kya hai baat woh baat nahi samjhti~........,~Tanha tu chand be hai sitaron ke darmiyan~........,~Par chand ka dard ye raat nahi samjhti~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Ik aadat si ho gai hai choot khanay ki~........,~Bheegi hui palkoon ke sang muskuranay ki~........,~Kaash anjaam-e-wafa hum pehly hi jaantay~........,~Tu koshish be na karty dil laganay ki~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Muhabat ki zanjeer say dar lagta hai~........,~Kuch apni taqdeer say dar lagta hai~........,~Jo mujhy tum say juda karti hai~........,~Haath ki uss lakeer say dar lagta hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Woh hum ko pathar aur khud ko phool keh kar muskuraya karty hain~........,~Unhien kya pata pathar to pathar hi rehty hain phool hi murjaya karty hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Tanhaiyon ke shehar main ik ghar bana liya~........,~Ruswaiyon ko apna mukkadar bana liya~........,~Dekha hai yahan patharon ko pojtay hain loogh~........,~Bus issi liye apna dil ko pathar bana liya~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Dil maanta nahi tha mera woh bichar jayien gay~........,~Yoon weeranay main mujh ko choor ke kidhar jayien gay~........,~Aye hawa toon tu na mery zakhmoon say na takra~........,~Inn main kuch taza hain jo phir say nikhar jayien gay~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kisi ne pocha dosti kya hai main ne kanton pe chal ke dekha diya~........,~Kitna pyar karo gay dost ko main ne pura aasman dikha diya~........,~Kessy rakho gay dost ko main ne halkey say phoolon sehla diya~........,~Kisi ki nazar lag gai tu main ne palkon main ussay chupa liya~........,~Jaan say pyara dost kissay kehty ho main ne tera naam bata diya~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Bina dost dil lagta nahi~........,~Zindagi ka haseen waqt guzarta nahi~........,~Hotay hain kuch bewafa dost Magar~........,~Bina kanton ke tu phool be khilta nahi~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Dost ka pyar kisi dua say kam nahi hota~........,~Woh chahy door be ho tu ghum nahi hota~........,~Pyar main aksar dosti kam ho jaati hai~........,~Par dosti main pyar kabhi kam nahi hota~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Humari dosti dil main basaye rakhna~........,~Humari yaadon ke chiraagh jalaye rakhna~........,~Bohat lamba hai safar zindagi ka aye Dost~........,~Ik hissa humien be banaye rakhna~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~I value my friends more than i value my life~........,~So when i say you are my friend its just as good as saying you are my life~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kuch rishtay Rab banata hai~........,~Kuch rishtay loogh banatay hain~........,~Par kuch loogh bina rishton ke hi rishtay nibhaty hain~........,~Shayad wohi loogh dost kehlatay hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Hum raat ke sitaray hain~........,~Tanhaiyon ke maary hain~........,~Tum hum ko thokra do beshak~........,~Magar phir be hum dost tumhary hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Dard ko dard say na dekho~.........,~Dard ko be dard hota hai~.........,~Har dard ko zaroorat hai Dosti ki~.........,~Akhir dost hi hai jo dard main hum dard hota hai~.........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Humari muhhabat ke sary ehsaas le lo~........,~Dil say pyar ke sary jazbaat le lo~........,~Nahi choorien gay tufaan main be akela aap ko~........,~Iss dost ke tum chaho sary imtihaan le lo~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Phir na simtay gi aghar dosti bikhar jaye gi~........,~Zindagi zulf nahi jo phir say sanwar jaye gi~........,~Jo khushi de aap ko thaam lo haath uss ka~........,~Phir zindagi ro ke nahi hans ke guzar jaye gi~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Aghar woh waja na pochien tu ik baat kahoon Mohsin~........,~Bin uss ke be abb hum say jiya nahi jaata~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Woh keh gaya ke mera intizaar mat karna~........,~Main kahoon be tu mujh pe aitbaar mat karna~........,~Woh kehta hai ke mujhy muhhabat nahi tum say~........,~Par tum kisi aur say be pyar mat karna~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Pyar aur baarish dono aik jessay hain~........,~Jo hamesha yaadghaar hotay hain~........,~Farq sirf itna hai baarish jism bhighoti hai~........,~Aur pyar aankhien bhighota hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Tumhary baad baaqi tu sub theek hai Lekin~........,~Jahaan dil tha kabhi wahan abb dard rehta hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Mohaabbat wahid essa khail hai aye dil-e-nadaan~........,~Jo seekh jaata hai wohi haar jaata hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Uss ne aik baar bataya tha mujhy~........,~Barasti barish say ishq hai uss ko~........,~So uss ka ishq apnanay ke liye~........,~Meri aankhien har raat barasti hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Aye jaan tera haseen mizaaj acha lagta hai~........,~Teri nisbat say ye chand acha lagta hai~........,~Loogh kehty hain tere pyar main pagal mujh ko~........,~Aur mujhy ye ilzaam acha lagta hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Zooq-e-deed main hai taqleef sara sar~........,~Achay hain woh loogh jo muhhabat nahi karty~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Darguzar uss ki main ne har khata kar di~........,~Uss ke haq main aaj phir main ne dua kar di~........,~Ik lamhy main kho diya main ne uss ko~........,~Jiss ko paany main ne inteha kar di~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Dil say roye maghar honton say muskura baithay~........,~Younhi hum kisi say wafa nibha baithay~........,~Woh humien ik lamha be na day saky~........,~
Jin ke liye hum apni zindagi ganwa baithay~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Uss ne pocha tum kiss ko ziada chahaty ho~........,~Zindagi ko yan mujhy ko main ne kaha zindagi ko~........,~Woh chup chaap palat gaye bina ye pochy~........,~Ke meri zindagi kon hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Nafrat aur pyar say pehly ki baat hai~........,~Ye tujh pe aitbaar say pehly ki baat hai~........,~Dil mere ikhtiyar main hota tu tha magar~........,~Ye tere ikhtiyar say pehly ki baat hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Itny khudaar thay hum ke kabhi ghar say nikaltay na thay Ghalib~........,~Tere ik zooq-e-deedar ne mujhy awara bana diya~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Mang kabhi ulfat main jaan be hum say~........,~Hum teri kisi baat ko taala nahi karty~........,~Tasdeeq jo karni ho tu aa jao kisi shab~........,~Hum tere bin ghar main ujala nahi karty~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Har baar na kaha kar ke tujhy choor dien gay hum~........,~Na hum itnay aam hain ne ye tere bus ki baat hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Teri muhhabat main ajeeb ajeeb say kaam karty hain~........,~Tere naam ke har shaks ko salaam karty hain~........,~Aur guzar hota hai chaman say jab~........,~Tere dhokay main phoolon ko salam karty hain~........,~Ye baat nahi ke darty hain tere shehar walon say~........,~Bus teri waja say har shaks ka ehtraam karty hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Hum ne tanhaiyon main tujh say guftugo ki hai~........,~Har pal teri chahat ki justuju ki hai~........,~Khali gaya na koi lamha teri yaad say~........,~Hum ne har dua main teri aarzoo ki hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Aaj phir aansoun ke fasany nikly~........,~Tooty jaam ke pemany nikly~........,~Tum kabhi dil ki baat samjha hi na saky~........,~Aur hum tumhien dil ka haal sunany nikly~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Main ne har roz dua main tujhy manga hai~........,~Hoon bewafa magar wafa say tujhy manga hai~........,~Kabhi sajdy main ja kar poch apnay Rab say~........,~Main ne kiss kiss adaa say tujhy maanga hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Zinda rahy tu tera saath be nibhayien gay~........,~Dil say tumhien kabhi na bhulayien gay~........,~Mar gaye tu humien bhool zaroor jana~........,~Kyun ke phir hum kabhi wapis na aayien gay~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Rona be chahon tu ronay nahi deta~........,~Woh shaks tu palkien bhigonay nahi deta~........,~Aata hai khayalon main mere kon ye aksar~........,~Jo mujh ko kisi aur ka honay nahi deta~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Woh tu nadaan hai mera kya imtehaan le ga~........,~Nazar say nazar mila ke nazar jhuka de ga~........,~Mat kaho ussay charaagh bhujanay ko~........,~Woh na samjh hai ungliyan jala le ga~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kabhi lafz bhool jaoon kabhi baat bhool jaoon~........,~Tere saath rahoon tu apna aap bhool jaoon~........,~Uth kar kabhi jo tere paas say chal doon~........,~Jaaty hoye khud ko tere paas bhool jaoon~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Woh mujh say bichar kar aab tak roya nahi Faraz~........,~Koi tu hai hamdard jo ussy ronay nahi deta~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Jiss kashti ke muqadar main ho doob jana Faraz~........,~Tofaan say bach be nikly tu kinary rooth jaaty hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Ghum sunanay ke liye kiss kiss ka haath thaamta phiroon Faraz~........,~Logon ko apni khushiyon say fursat nahi milti~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Phir kisi pyaas ke sehra main mujhy neend aaye Faraz~........,~Aur main khawab main maangon tujhy paani ki tarhan~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Khawab be shayad kaanch say kamzoor hoty hain Faraz~........,~Har rooz bikhar jaaty hain faqat ik aankh ke kholnay say~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Hum be biknay gaye thay ik din bazar-e-muhhbat main Faraz~........,~Kya pata tha dil walon ko loogh khareeda nahi karty~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Jab mere dil ki masjid main teri yadoon ki azaan hoti hai Faraz~........,~Tu apny hi aansuon say wazoo kar ke teri muhhabat ki ebadat karta hoon~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Woh bewafa na tha yunhi badnaam ho gaya Faraz~........,~Hazaroon chahnay waly thay kiss kiss say wafa karta~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kyun na garoor karta main apny aap pe Faraz~........,~Mujhy chaha uss ne jiss ke chanay waly hazaroon thay~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Lamha lamha mera iss dukh main basar hota hai Faraz~........,~Ke zindagi bohat kam hai tujhy chahnay ke liye~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Naraz kyun hotay ho chaly jaaty hain teri mehfil say Faraz~........,~Apny tootay hoye dil ke tokray tu utha leny do~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Ajeeb bandeshien hain muhhbat main Faraz~........,~Na uss ne qaid main rakha na hum faraar hoye~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Lagta hai apni uljhanien kuch aur barh jayien gi Faraz~........,~Aaj humien phir kisi ki saadgi achi lagi~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Mujhy sulany ki khatir jab raat aati hai~........,~Main so nahi pata raat khud so jaati hai~........,~Pochnay par dil say awaaz aati hai Faraz~........,~Aaj unhien yaad karlo raat tu rooz aati hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Hum woh pat'tay nahi jo shakhon say gir jayien Faraz~........,~Inn aandiyon say keh do ke zara aukaat main rahien~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Hum apni rooh tere jism main hi choor aaye Faraz~........,~Tujhy galay say lagana tu ik bahana tha~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Humien tu muhhabat ke liye zindagi be kam lagti hai Faraz~........,~Magar loogh tu yahan nafrat ke liye be waqt nikaal lety hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Itna na yaad aaya karo ke raat bhar so na sakien Faraz~........,~Subah ko surkh aankhoon ka sabab poochaty hain loog~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Choom lon uss zameen ko jahan rakhay hain yaar ne qadam Faraz~.........,~Phir soochta hoon zalim dunya kahien kafir na keh day~.........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Apni tamana say kabhi kuch nahi chaha tha hum nay Faraz~........,~Uss ki khushi dhondhtay rahy tu badnaam ho gaye~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Meri khushi ki muddat itni hai Faraz~........,~Ke guzar jaati hain mere muskurany say pehly~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Woh be ro de ga ussy haal sunaien kessy~........,~Moom ka ghar hai charaghon ko jalaien kessy~........,~Door hota tu ussy dhoondh be lety Faraz~........,~Rooh main chhup ke jo baitha hai ussy payien kessy~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Na jaanay kya hai uss ki udaas aankhon main Faraz~........,~Woh nazarien chura ke be guzray tu bewafa nahi lagta~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Uss rooz kisi pal mujhy araam na aaya~........,~Jiss rooz mere lab pe tera naam na aaya~........,~Hum ne uss shaam ko shaam na kaha~........,~Jiss shaam tu yaad sar-e-shaam na aaya~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Aaj bichra hua shaks bohat yaad aaya~........,~Acha guzra hua waqt bohat yaad aaya~........,~Jo mere dard ko seene main chhupa leta tha~........,~Aaj jab dard hua tu bohat yaad aaya~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Jab kabi wo hoga apni zaat main tanha tu yad aounga~........,~Na chala qadam se qadam mila ke koi tu yad aounga~........,~Main uski aankhon ka ishara be samjh leta hon~........,~Na samjh saka koi dil ki baat tu yad aounga~........,~Din ka har ik pal guzrega jab us pe kathhin~........,~Aur tanha katte gi raat tu yad aounga~........,~Har baazi jan kar uss se haat jata hoon~........,~Jab de ga koi uss haar tu yad aounga~........,~Hansnay ko tu dunya be hansti hai sath sath~........,~Na roya koi dukh main sath tu yad aounga~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Ye hum tasleem karty hain humien fursat nahi milti~........,~Magar ye be zara socho tumhien jab yaad karty hain zamana bhool jaaty hain~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Teri aankhon ke isharon ki bohat yaad aayi~........,~Aaj patt jhar main baharon ki bohat yaad aayi~........,~Jab larkahraye nikal kar maykhany say qadam~........,~Teri banhon ke saharon ki bohat yaad aayi~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Kisi ko dosti ki sachai maar deti hai~........,~Kisi ko dard ki gehrai maar deti hai~........,~Baghair kisi dost ke koi gee nahi sakta~........,~Aur jo gee jaye ussy tanhai maar deti hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Chahata be hai mujh ko par baat nahi karta~........,~Woh shaks mujh say mulaqaat nahi karta~........,~Khoya sa rehta hai khayalon main har waqt~........,~Kessy kahon ke woh mujhy yaad nahi karta~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Ye aarzu nahi ke kisi ko bhulaiyien hum~........,~Na ye tamana hai kisi ko rulayien hum~........,~Par dua hai uss Rab say itni si~........,~Jiss ko jitna yaad karty hain usko utna yaad aayien hum~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Hum yaad rahy tu theek warna bhula dena~........,~Ho koi khata hum say tu humien saza dena~........,~Wessy tu hain hum geelay kagaz ki manind~........,~Likha jaye tu theek warna jala dena~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Ye yaad hi tu yaad hai ke har yaad main tu yaad hai~........,~Jiss yaad main tu yaad nahi woh yaad be koi yaad hai~........,~Ye jo yaad yaad ka hai silsila~........,~Iss silsila-e-yaad main faqat ton hi tu yaad hai~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Pee kar raat ko hum unko bhulane lagay~........,~Sharab main ghum ko milany lagay~........,~Ye sharab be uss ki tarhaan bewafa nikli yaaro~........,~Nashay main tu woh aur be yaad aanay lagay~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Phir chand khila phir raat thaami mere dil ne kaha hai teri kami~........,~Phir yaad ke jhonkay mehak gaye phir pagal armaan behak gaye~........,~Phir jannat si lagti hai zameen phir dil ne kaha hai teri kami~........,~Phir guzray lamhon ki baatien phir jaagi jaagi si raatien~........,~Phir thehar gai palkon pe naami phir dil ne kaha hai teri kami~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Ek raat hui barsaat bohat~........,~Main roya sari raat bohat~........,~Har ghum tha zamanay ka lekin~........,~Main tanha tha uas raat bohat~........,~Phir ankh say ek sawan barsa~........,~Jab sahar hui to kya dekha~........,~Woh badal kitna tanha tha~........,~Jo barsa sari raat bohat~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<
~Aanay Laga Jab Woh Chhor Ke Daman Mera~........,~Tootay Hoye Dil Ne Himakat Kardi~........,~Socha Tha Ke Chupa Lien Gay Gham Apna~........,~Par Kambakht Aankon Ne Baghawat Kardi~........,
<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<