Poetry Page 11

♥ ♥ ♥ ╔╦╦╦═╦╗╔═╦═╦══╦═╗♥ ♥ ♥
♥ ♥ ♥ ║║║║╩╣╚╣═╣║║║║║╩╣♥ ♥ ♥
♥ ♥ ♥ ╚══╩═╩═╩═╩═╩╩╩╩═╝♥ ♥ ♥

(¯`v´¯)
`*.¸ .*´
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸ .•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•.
~♥~Usman Is Here~♥~
(¯`♥´¯) (¯`♥´¯)
*`•.¸(¯`♥´¯)¸.•´ * *
♫ ♥ *`•.¸.•´*♥ ♫.¸¸.•´¯`♥









…….♥#########♥
…..♥#############♥
…♥###############♥
..♥#################♥………………♥###♥
..♥##################♥……….♥#########♥
….♥#################♥……♥#############♥
…….♥################♥..♥###############♥
………♥################♥################♥
………..♥###############################♥
…………..♥############################♥
…………….♥#########################♥
………………♥######################♥
………………..♥###################♥
………………….♥#################♥
……………………♥##############♥
………………………♥###########♥
………………………..♥#########♥
………………………….♥#######♥
……………………………♥#####♥
……………………………..♥###♥
……………………………….♥#♥
…………………………………♥
…………………………………♥
……………………………….♥
……………………………..♥
……………………………♥
…………………………♥
……………………….♥
…………………….♥
………………….♥
………………♥
………….♥
………♥
……♥
…..♥
……♥………………….♥…♥
……….♥………….♥…………♥
…………..♥…..♥………………♥
……………….♥………………..♥
…………….♥……♥…………..♥
…………..♥………….♥….♥
………….♥
………..♥
……….♥
………♥
………♥
……….♥
…………..♥
……………….♥
……………………..♥
………………………….♥
……………………………♥
……………………………♥
…………………………♥
…………………….♥
………………♥
………….♥
…….♥
…♥
.♥………………………..♥….♥
♥……………………..♥………..♥
.♥………………….♥…………….♥
..♥……………….♥………………♥
…♥………………………………♥
…..♥…………………………..♥
……..♥…………………….♥
………..♥……………….♥
…………..♥…………..♥
………………♥…….♥
…………………♥..♥
……………………♥




 


~December So Gaya Hai Ussay Kehna Kitabo Main Rakhay Sookhay Kuch Phool Uss Ke Lout Aanay Ka Yaqeen Dilatay Hain~.........,~Ussay Kehna Uss Ki Jheel Si Aankhien Kisi Manzar Pay Chaa Jayien Tu Sab Manzar Yoon Hi Bheeg Jatay Hain~.........,~Ussay Kehna Ke Thandi Baraf Par Koi Saath Chalta Hai Tu Qadmo Ke Nishaan Phir Say Ussi Ke Lout Aanay Ke Nishaan Dil Pay Banatay Hain~.........,~Ussay Kehna Ke Uss Ki Bheegi Aankhon Ke Woh Aansoo Sitaaron Ki Tarhan Abb Tak Shab Main Hum Ko Jagata Hain~.........,~Ussay Kehna Ke Baarish Khirkiyon Par Uss Ke Aansoo Paint Karti Hain Ussi Ka Naam Likhti Hain Ussay Hi Gungonati Hain~.........,~Ussay Kehna Ke Khushboo, Chaandni , Taaray, Saba, Raastay, Ghata, Kajal, Mohabbat, Chaandni, Shabnam, Hawayein, Raat , Din, Badal Sab Hi Naraz Hain Hum Say~.........,~Ussay Kehna Ke Judai Ke Darakhton Par Jo Sokhi Tehniyaan Hain Baraf Ki Chaadar Ki Zadd Main Hain Aur Unn Shaakon Pay Yaadon Ke Jo Pattay Thay Sunehri Ho Gaye Hain~.........,~Ussay Kehna December So Gaya Hai Aur Yakh-Bakhta January Lout Aai Hai~.........,~Ussay Kehna Ke Abb Lout Aaye~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Rafaqaton Ki Haseen Rut Main Mohabbaton Ke Gulab Saray~........,~Wafa Ki Dori Se Bandh Rakhna Ke Raston Main Bikhar Na Jayien~........,~Ek Rasty Ke Do Musafir Khayal Rakhna Bichar Na Jayien~........,~Ye Jhilmilaty Se Chaand Taaray Ye Muskurate Se Phool Saray~........,~Neelgun Se Ye Rung-E-Fitrat Shafaq Ki Laali Subah Ka Aanchal~........,~Gulabi Mausam Ye Utarta Badal Gawah Hain Humari Mohabbaton Ke~........,~Faqat Hai Itna Hi Tum Se Kehna Mujhe Wafa Ki Saza Na Dena~........,~Yaad Rakhna Hamesha Mujhko Kabhi Be Mujhko Bhula Na Dena~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Tanha December ki thandi khanak raat main ~..........,~Bohat door jati hai apni nazar~........,~Sitaron ke uss par woh rahguzar~........,~Jahan hum ne paya tha ik hamsafar~........,~Bohat bay kali thi, tha lamba safar~........,~Jahan kitni sadiyan thien bas ik pehar~........,~Nazar ko jo palta kar dekha idhar~........,~Wohi sard raatien jo thien muntazir~........,~Main apnay hi kamray main betha hoon abb~........,~Na woh kahkishan hai na woh hamsafar~........,~Bas apnay hi jaisay hain kuch chara gar~........,~Mera dard-e-dil aur wafa bay samar~........,~Mery dil ki dunya gai hai ujarh~........,~Tumharay bina hai ye khali dagar~........,~Ye kessa december hai aye hamsafar~........,~Na dunya ke gham na hi apni fikar~........,~Bhool jata ho jessay koi apna hi ghar~........,~Aa ja ke tujh bin hai soona nagar~........,~Hai sab kuch yahan, nahi kuch be magar~........,~Goya apnay hi jessa hai sara shehar~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dekh December Ab Mat Aana~........,~Dekh December Mere Andar~........,~Kitnay Sehra Phail Chukay Hain~........,~Tanhayi Ki Rait Ne Mere~........,~Saaray Darya Paat Diye Hain~........,~Ab Main Hoon Aur Mere Banjar Pun Ki Bojhalta Hai~........,~Dekh December Teri Barfaab Shaboon Main~........,~Teri Bekhuwab Shaboon Main~........,~Khuwab Sweater Kon Bunay Ga~........,~Rooh Ke Andar Girti Barfein Kon Chunay Ga~........,~Dekh December Ab Mat Aana~........,~Aur Agar Tu Aye Be To~........,~Apnay Dukh Ki Baraf Pehan Kar~........,~Dhoop Diyaroon Tak Mat Jana~........,~Mere Pyaroon Tak Mat Jana~........,~Dekh December Ab Mat Aana~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Suno december tum mat aaya karo suno ke jab be tum aatay ho~........,~Udasiyon ki undekhi BARISHON MEIN DIL KO BHIGHO DETAY HO~........,~Tum aatay ho to barfeeli si tanhaiyon ki Sard hawa kantton ki tarhan~........,~Rag-e-jaan main chubhnay lagti hai aur akele pan main~........,~Dukh jaag kar neendon ko nigal jatay hain~........,~Aur jo apnay judaai ki dhund main kho gaye hain~........,~Hum se bohat door ho gaye hain unki yaad phir se aanay lagti hai~........,~Suno december tum mat aaya karo~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~(December ki aas)~........,~December jab be ata hai woh pagli phir se beetay mausam ki talkhiyoun ko yaad karti hai purana card parhti hai ke jiss main uss ne likha tha main louton ga december main~........,~Naye kapray banati hai woh sara ghar sajati hai december ke har ik din ko woh gin gin kar bitati hai jounhi 15 guzarti hai woh kuch kuch toot jati hai magar phir be purani albamo ko khol kar mazi bulati hai nahi maloom hai ye uss ko ke beetay waqat ki khushiyan bohat taqleef deti hain mahaz dil ko jalati hain younhi din beet jaty hain december lout jata hai magar woh khush faham larki dobara se calander main december ke maheenay ke safhay ko morr kar phir se december ki sahar main doob jati hai ke akhir uss ne likha tha main louton ga december main~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Jab be sochoon tujhe dard apna barha leta hoon~........,~Phir har naye saal ka suraj dekh kar muskura leta hoon~........,~Mah December ki sard raatoon ke waaday yaad kar ke~........,~Thoray thoray ashk ankhoon se apni baha leta hoon~........,~Kabhi jo ankhoon main tery ashk dekhoon~........,~Khuwab ban ke woh tamam ashk chura leta hoon~........,~Ye aadat to husn-o-wafa ke qayal jante hain meri~........,~Ke pyar milay jahan be sir apna jhuka leta hoon~........,~Jab be koi ghazal tery naam likhoon~........,~Baatien likhta hoon tamam magar tera naam chupa leta hoon~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Bohat asaan hai kehna mohabbat tum say karta hoon~........,~Maghar matlab mohabbat ka samjh lena nahi asaan~........,~Mohabbat pa ke kho dena mohabbat kho ke pa lena~........,~Ye unn logo ke qissay hain mohabbat ke jo mujrim hain~........,~Jo mil janay pe hanstay hain bichar janay pe rotay hain~........,~Suno mohabbat karnay walay tu bohat khamoosh hotay hain~........,~Jo qurbat main be jeetay hain jo furqat main be jeetay hain~........,~Na woh faryad kartay hai na woh ashkhon ko peetay hain~........,~Mohabbat ke kisi be lafz ka charcha nahi kartay~........,~Woh mar ke be mohabbat ko kabhi ruswa nahi kartay~........,~Suno mohabbat karnay walay tu bohat khamoosh hotay hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Abb tery mery beech zara faasla be ho~.........,~Hum log jab milien to koi dosra be ho~.........,~Tu janta nahi meri chahat ajeeb hai~.........,~Mujh ko mana raha hai kabhi khud khafa be ho~.........,~Tu bewafa nahi magar be-wafai kar~.........,~Uss ki nazar main rahnay ka koch silsala be ho~.........,~Chup chaap uss ko baith ke dekhon tamaam raat~.........,~Jaga howa be ho koi soya howa be ho~.........,~Uss ke liye tu main nay yahan tak duaien maangi hain~.........,~Meri tarhan say kisi ne ussay chaha be ho~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Mujhy to yaad thay sab ghum shumar karta raha~........,~Khazan ne aa liya mujhy jab bahaar karta raha~........,~Mujhy maloom tha aab nahi aaye ga woh~........,~Main be-waja uss ka inthizaar karta raha~........,~Woh mujhy khoob dekha karta tha~........,~Main be pagal tha ke bus aitbaar karta raha~........,~Iss say bhar kar be bhala aur sitam kia ho ga Shaam~........,~Main yahan rota raha woh sanghar karta raha~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Haqeeqat ashna mere tujhy shayad khabar ho gi?~........,~Mujhe teri mohabbat ne bohat buzdil bana dala~........,~Main har uss shay se darta hoon tujhy jo cheen sakti hai~........,~Main unn lamhon se darta hoon judai jin main rehti hai~........,~Main unn ashkon se darta hoon jo ban kar yaad behtay hain~........,~Main unn lafzon se darta hoon jo khamoshi main rehtay hain~........,~Bicharnay ki mere ham-dam main har surat se darta hoon~........,~Tujhe shayad khabar ho gi? mujhy teri mohabbat ne bohat buzdil bana dala~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Yun sitamghar nahi hotay jana~........,~Phool pathar nahi hotay jana~........,~Kyun mere dil se kahien jatay ho~........,~Ghar se be-ghar nahi hotay jana~........,~Visaal ki shab jo karam tum ne kiye~........,~Kyun mukarar nahi hotay jana~........,~Hum tumhien bot ki tarhan poojtay hain~........,~Phir be kafir nahi hotay jana~........,~Gham ke deepak nahi jaltay jab tak~........,~Dil munawar nahi hotay jana~........,~Aik jessay hain khushi ke lamhay~........,~Dukh aik jessay nahi hotay jana~........,~Iss qadar khoon na bahana dil ka~........,~Dil samandar nahi hotay jana~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kyun mohabbat ka kaam kaaj kia~........,~Apna dushman yunhi samaaj kia~........,~Tu ne so baar dil ko toor diya~........,~Hum ne phir be na ehtijaaj kia~........,~Tujh se mil kar be ro parhay hain hum~........,~Kaam kal ka be hum ne aaj kia~........,~Khaak hai essi baadshahat par~........,~Tere dil par aghar na raaj kia~........,~Tujh ko dekha to ban gaye shayar~........,~Aur apna gazal mizaaj kia~........,~Hum ne essi gazal kahi Mohsin~........,~Paish phir sab ne humien khiraaj kia~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Abb Teri Yaad Se Wehshat Nahi Hoti Mujh Ko~........,~Zakham Khultay Hain Abb Aziyat Nahi Hoti Mujh Ko~........,~Ab Koi Aaye Chala Jaye Main Khush Rehta Hoon~........,~Ab Kisi Shakhs Ki Aadat Nahi Hoti Mujh Ko~........,~Aisa Badla Hoon Tere Sheher Ka Paani Pi Kar~........,~Jhoot Boloon To Nidaamat Nahi Hoti Mujh Ko~........,~Hai Amaanat Main Khyaanat So Kisi Ki Khatir~........,~Koi Marta Hai To Hairat Nahi Hoti Mujh Ko~........,~Itna Masroof Hoon Jeenay Ki Hawas Main Aye Dost~........,~Saans Lenay Ki Be Fursat Nahi Hoti Mujh Ko~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dil ko virana kaho gay mujhe maloom na tha~........,~Phir be dil hi main raho gay mujhe maloom na tha~........,~Saath dunya ka main choorh don ga tumhari khaatir~........,~Aur tum saath na ho gay mujhe maloom na tha~........,~Chup jo hoon koi buri baat hai mere dil main~........,~Tum be ye baat kaho gay mujhe maloom na tha~........,~Log rotay hain meri bad nazri ka rona~........,~Tum be iss ro main baho gay mujhe maloom na tha~........,~Tum to be-sabar thay aagaaz-e-mohabbat main "Mohsin"~........,~Iss qadar jabar saho gay mujhe maloom na tha~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Yahan jal gaya mera aashian~........,~Abhi badlon ko pata nahi~........,~Tere dar pe dastak de sakoon~........,~Ye haq to tu ne diya nahi~........,~Main raahi hoon raah-e-umeed ka~........,~Mujhay manzilon ka pata nahi~........,~Bebas hoon jahan main itna ke~........,~Jessay mera koi "APNA" nahi~........,~Meri saadgi mera jurm hai~........,~Koi aur meri khata nahi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Woh tera rothna mujh se~........,~Mera tujh ko mana lena~........,~Muhabbat ki nishani hai~........,~Galay mujhko laga lena~........,~Muhabbat jiss say hoti hai~........,~Ussi pe maan hota hai~........,~Abhi main roth jaon to mujhy tum mana lena~........,~Anna say door hi rehna ke~........,~Ye sab kuch mita day gi~........,~Muhabbat ke samandar main kabhi tofaan be uthta hai~........,~Iss tofan main jaanam mujhy kashti bana lena~........,~Aghar doobien gay hum dono tu aik sath hi doobien gay~........,~Mera tumsay ye wada hai maghar tum be nibha lena~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Main hosh main tha to uss pay mar gaya kesay~........,~Ye zehar mere laho main utar gaya kesay~........,~Kuch uss ke dil main lagawat zaror thi warna~........,~Woh mera haath daba ke guzar gaya kesay~........,~Zaror uski tawajjo ki milawat thi warna~........,~Nashay main tha to main apne hi ghar gaya kesay~........,~Jissay bhulaye kaien saal ho gaye Dost~........,~Main aaj usski gali say guzar gaya kesay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~KABHI YAAD AO TO ISS TARHAN~........,~KABHI GUNGUNAO TO ISS TARHAN~........,~Mera dard phir se ghazal banay~........,~KABHI DIL DUKHAO TO ISS TARHAN~........,~Meri dharkanien be laraz uthien~........,~KABHI BHOOL JAO TO ISS TARHAN~........,~Na sisak sakien na bilak sakien~........,~KABHI CHOR JAO TO ISS TARHAN~........,~Na ujarr sakien na sanwar sakien~........,~KABHI YAAD AO TO ISS TARHAN~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Baton baton main bichharnay ka ishara kar ke~.........,~Khud be roya bohat woh hum say kinara kar ke~.........,~Sochta rehta hoon tanhai main anjaam-e-khaloos~.........,~Phir ussi jurm-e-mohabat ko dobara kar ke~.........,~Jagmaga di hain tery shehar ki galiyan main ne~.........,~Apnay har ashk ko palkon pay sitara kar ke~.........,~Dekh letay hain chalo honsla apnay dil ka~.........,~Aur kuch roz uss ke saath guzara kar ke~.........,~Ik hi shehar main rehna magar milna nahi Dost~.........,~Dekhtay hain ye aziyat be kuch din aur gawara kar ke~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kisi se besabab uljha nahi tha~.........,~Woh pehly to kabhi essa nahi tha~.........,~Woh phir be yaad rehna chahta tha~.........,~Agarchay main ussay bhola nahi tha~.........,~Ussay be raston ka sab pata tha~.........,~Safar mera be ye pehla nahi tha~.........,~Bohat aala tha uss ka zarf lekin~.........,~Woh meri zaat ko samjha nahi tha~.........,~Main ussko dost rakhna chahta tha~.........,~Magar woh aap hi mana nahi tha~.........,~Woh jessay be-rukhi se chal para tha~.........,~Main itna be gaya guzra nahi tha~.........,~Ussay main kyun bura thehraon yaaro~.........,~Woh acha tha faqt mera nahi tha~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Humari anaa ko gawara hi na tha ke mohabbat maang kar letay~........,~Aur unn main itna zarf na tha ke bin mangay luta detay~........,~Aik mudat tak iss dil ki beqarariyan na gayien~........,~Har roz ussay khat likhtay har roz jala detay~........,~Khud ko uss ki mohabbat ke qabil hi na samjha warna~........,~Toot ke ussay essa chahtay ke khud ko bhula detay~........,~Kabhi aazma ke dekhta uss ki khawahishon ki khatir~........,~Uss ke qadmon main bikhr jatay uss ki rahon ko saja detay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Rog essay be gham-e-yaar say lag jatay hain~........,~Darr say uthtay hain tu dewaar say lag jatay hain~........,~Be-basi be kabhi qurbat ka sabab banti hai~........,~Ro na payien tu galay yaar ke lag jatay hain~........,~Daagh daaman ke hoon dil ke hoon yan chehray ke 'Mohsin'~........,~Kuch nishaan umar ki raftaar say lag jatay hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Tu kehta hai ishq jhoth hai~.........,~Tujhy ishq ho Khuda karay~.........,~Koi tujh ko uss se juda karay~.........,~Tery honth hansna bhol jayien~.........,~Teri ankh purnam raha karay~.........,~Tu gali gali phira karay~.........,~Tu gali gali sada karay~.........,~Tu uski baatien suna karay~.........,~Tu uski baatien kia karay~.........,~Tujy hijhar ki woh jhari lagay~.........,~Tu milnay ki har pal dua karay~.........,~Tery khawab bikhrien toot kar~.........,~Tu kirchi kirchi chuna karay~.........,~Phir main kahon ke ishq jhoth hai~.........,~Tu nahi nahi kia karay~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Khawaab khodhay to teri yaadon ke khanddar niklay~..........,~Khud main doobay to teri zaat ke andar niklay~..........,~Bay waja na thi bay jaan baaton ki chahat~..........,~Dil jo toota to tery piyaar ke mandar niklay~..........,~Hum to samjhay thay ke hongay do chaar aansoo~..........,~Ronay baithay to samandar ke samandar niklay~..........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Phir kisi yaad ne shab bhar hai jagaya mujh ko~.........,~Kya saza di hai mohabat ne Khudaya mujh ko~.........,~Din ko aaram hai na raat ko hai chain kabhi~.........,~Janay kis khaak say qudrat ne banaya mujh ko~.........,~Dukh to ye hai ke zamanay main milay ghair sabhi~.........,~Jo mila hai woh mila ban ke paraya mujh ko~.........,~Jab koi be na raha kandha mery ronay ko~.........,~Ghar ki deewaron ne seenay say lagaya mujh ko~.........,~Youn to umeed-e-wafa tum say nahi hai koi~.........,~Phir charaghon ki tarhan kis ne jalaya mujh ko~.........,~Bewafa zindagi ne jab chorh diya hai tanha~.........,~Maut ne pyaar say pehloo main bithaya mujh ko~.........,~Woh diya hoon jo mohabat ne jalaya tha kabhi~.........,~Gham ki andhi ne sar-e-sham bujhaya mujh ko~.........,~Kessay bhoolon ga wohi wasl ke lamhay~.........,~Yaad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Bana gulab to kantay chubha gaya aik shakhs~........,~Hua chiragh to ghar hi jala gaya aik shakhs~........,~Tamaam rang mery aur saray khuwab mery~........,~Fasanay thay ke fasana bana gaya aik shakhs~........,~Main kis hawa main uron kis fiza main lehraon~........,~Dukhon ke jaal har su bicha gaya aik shakhs~........,~Mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha issay~........,~Millay woh zakhm ke phir yaad aa gaya aik shakhs~........,~Khula ye raaz ke aina khana hai dunya~........,~Aur iss main mujhay tamasha bana gaya aik shakhs~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dil main abb dard-e-mohabbat ke siwa kuch be nahi~.........,~Zindagi meri ibadat ke siwa kuch be nahi~.........,~Main teri baat bargah-e-naaz mqin kya paish karon~.........,~Meri jhooli main mohabbat ke siwa kuch be nahi~.........,~Aye Khuda mujh say na lay mery gunahon ka hisaab~.........,~Mery paas ashk-e-nidamat ke siwa kuch be nahi~.........,~Woh tu mit kar mujhay mil hi gayi rahat warna~.........,~Zindagi ranj-o-museebat ke siwa kuch be nahi~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilanay laga hai tu~.........,~Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu~.........,~Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar~.........,~Har pal har jagah nazar aane laga hai tu~.........,~Veeraan thi ye zindgi tere aane se pehle~.........,~Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu~.........,~Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas” Is qadar meri saansoN main samaane laga hai tu~.........,~Ek pal ki be doori seh nahi paata hoon main~.........,~Ho ke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu~.........,~Raah chalte hoye aksar hota hai ye gumaan~.........,~Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu~.........,~Naam koi be looN to naam aaye tera labooN pe~.........,~Ban ke jadu meri rooh main samaane laga hai tu~.........,~Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera~.........,~Ghul ke saath lahoo ke nas nas main samaane laga hai tu~.........,~Jaane kon si dor hai teri aur kheench le jaati hai~.........,~Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu~.........,~Tasvvur main aksar hota hai ye mehsoos mujhy~.........,~Chorr ke dunya meri baNhooN main samaane laga hai tu~.........,~Ye to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko~.........,~Bechain kar ke har lamha mujhy tarpaane laga hai tu~.........,~Tere khayalooN se mehakne lagti hai zindagi meri~.........,~Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu~.........,~Ye masoomiyat ye bholapan ye saadgi teri~.........,~Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu~.........,~Zeest ki rahooN main dhoop thi har taraf~.........,~Apnay pyaar ki baarish ko barsane laga hai tu~.........,~Kya iss baat ka tujhy “Ehsaas” hai “Jaan”~.........,~Mere har shair main har Gazal main aane laga hai tu~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya~........,~Uss ki hansi ne to aaj mujhe rula diya~........,~Lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan~........,~Chehra bata raha tha ke kuch ganwa diya~........,~Aawaz main thehrao tha aankhoon main nami thi~........,~Aur keh raha tha ke main ne sab kuch bhula diya~........,~Janay kya uss ko logon say thien shikayatien~........,~Tanhaiyon ke daish main khud ko basa diya~........,~Khud be woh hum say bichar kar adhura sa ho gaya~........,~Mujh ko bhi itnay logon main tanha bana diya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~(Kisi roz tum ko be meri bohat yaad aaye gi)~........,~Magar us din bohat dair ho jay gi~........,~Tum milna chaho gay magar mujh ko daikh na pao gay~........,~Tum dhoondo gay mujhe magar daikh na pao gay~........,~Tum tarpo gay meri yaad main aur aansoo bahao gay~........,~Mujhe dekhay bina ik pal be na reh pao gay~........,~Meri yaad main tum gum sum ho jao gay~........,~Khud apni gali ka pata be bhool jao gay~........,~Mere tasauwur main tum aise kho jao gay~........,~Koi pukare ga tum meri hi baatien dohrao gay~........,~Aur main door khara teri baychaini ko dekhta rahoon ga~........,~Aur tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jao gay~........,~Aur main teri bikhri zulfoon ko sanwaroon ga~........,~Aur tum sharma kar mere gale se lag jao gay~........,~Aur phir jab tum rooth kar kahien door chalay jao gay~........,~Uss din main phir tum se yehi baat kahoon ga~........,~Kisi roz tum ko be meri bohot yaad aaye gi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Baaton say be ye gham kyun kam nahi hotay~........,~Aansuon say dil ke konay nam nahi hotay~........,~Thi bohat umeed to apnon say is dil ko kabhi~........,~Par hameshaa saath ye hamdam nahi hotay~........,~Bebasi hansnay lagi khaamoshi abb hai goonjti~........,~Band kamron mainn koi mausam nahi hotay~........,~Jab khushi hai naachti gaati hai mann ki har kali~........,~Unn gharon mainn kya kabhi maatam nahi hotay~........,~Pyaar miltaa hai jinhien ranjish nahi koi kabhi~........,~Kya kabhi essay dilon main ghum nahi hotay~........,~Yaad to kartay hain unko hum sadaa hi raat din~........,~Khwaab main unn ke kabhi kyaa hum nahi hotay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kuch adhuri khawahishon ka silsila hai zindagi~........,~Manzilon se ik musalsal fasala hai zindagi~........,~Mere darwazay pe dastak de ke chup janay ka khail~........,~Kab talak khailegi ye kya bachpana hai zindagi~........,~Tere afsanay to main sunta raha hoon baray~........,~Naam kya tu ne kabhi mera suna hai zindagi~........,~Zinda hoon doston ki duaaon ke bawajood~........,~Roshan hai kitni taiz hawaon main zindagi~........,~Apni tamaam shokh adaaon ke bawajood~........,~Bhula saki na gee mera ik pal be zindagi~........,~Bojhil hai raat chand sitaron ke bawajood~........,~Suraj ke bawajood andhera hai zindagi~........,~Barbaad humko hona tha barbaad hum hoye~........,~Dunya hai sari naik gunahghaar hai zindagi~........,~Qaatil thay jitanay mere sabhi ho gaye bari~........,~Aur chup khari thi chasmadeed gawahon ki zindagi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Jo be iss dil pe guzarti hai woh sab janta hai~........,~Koi janay ke na janay mera Rab sab janta hai~........,~Janay kab usko faqeeron pe taras aa jaye~........,~Kuch milay ga mera dast-e-talab janta hai~........,~Hazaar baar ussay toor ke aajaon main mohsin~........,~Magar woh hum ko bulanay ka hunar janta hai~........,~Main uss ko bhool ke zinda rahoon ga kessay Saqi~........,~Woh meri sanso ki talab ki waja janta hai~........,~Mera hasna ussay acha nahi lagta shayad~........,~Warna woh meri udaasi ka sabab janta hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Jo khusboo ban ke dil main bas gaya hai~........,~Khuda jaanay woh mujhse kyun khafa hai~........,~Woh chehra ghum se ubharanay na paye~........,~Mere honthon pay abb be ye dua hai~........,~Tabassum hai labon pe dil main nafarat~........,~Yehi iss daur ka naks-e-wafa hai~........,~Judaa ho kar be sabk e saath hoon main~........,~Nahi maloom hai kessi ye saza hai~........,~Zamana chup hai aur boltay hain zakhm~........,~Ye uss ki bezubaani ka sila hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kisi ke kaam na aaye woh zindagi kya hai~........,~Adab jis main na ho shamil woh bandagi kya hai~........,~Mahaj tarkon se daleelon say baat banti nahi~........,~Wazan jis main na shagufta woh baat hi kya hai~........,~Unchay mahaalon main guzar kartay hai jo jahaan roshan~........,~Woh kya samjhay ga muflison ki muflisi kya hai~........,~Sukhay adhnangzy badan faakon ko majboor hai~........,~Jo ghaur se socho zara ye be zindagi kya hai~........,~Mauj masti ko hongay dost hazaaron lekin~........,~Buray din main na aaye kaam woh dosti kya hai~........,~Karay jo darj apna naam safahon main~........,~Makaam jis ka martaba na woh hasti kya hai~........,~Amann aur chain sakon ka jahan na dhera ho~........,~Baseera khaak hai “Saqi” woh basti kya hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Jo mausam beet jata hai dobara kyun nahi ata~........,~Kahien se laut kar bachpan humara kyun nahi ata~........,~Yahan anay ko to har din kisi ke saath ata hai~........,~Jessay iss dil ne reh reh kar pukara kyun nahi ata~........,~Woh jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi~........,~Tu phir rastay main humary woh roshan sitara kyun nahi ata~........,~Bohat khoob hai ab bagon main jab kaliyan chataktien hain~........,~Humary dehaan main abb lehja tumhara kyun nahi ata~........,~Kabhi phailay hoye pairon se jab kirnien jhalakti hain~........,~Tasawur main un ankhoon ka ishara kyun nahi ata~........,~Bhatakta phir raha hoon din ke iss weran jangal main~........,~Mehakti shaam ka rangeen kinara kyun nahi ata~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Waday kartay hain woh aur kar ke badal jatay hain~........,~Jessa mausam ho wesi hi tarz main dhal jatay hain~........,~Main tu moom hoon phir itni dafa aazmaya kyun~........,~Teri baaton say tu pathar be pighal jatay hain~........,~Humien aag ki tapish aur tezi say na dara~........,~Hum tu parwanaay hain teri yaad main hi jal jatay hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Tu to ainay ki tarhan bewafa nikla Dost~........,~Jo samnay aya usi ka ho gaya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Waqt-e-doran zamanay ki nazar ankhoon ki neend~........,~Kitnay dushman aik rasm-e-dosti se ho gaye~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ek Lafz Mohabbat Ka Ek Harf-E-Wafadaari~........,~Khud Apnay Liye Main Ne Likha Tu Bohat Roya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Udassi tum pe beety gi to tum b jan jao gay~........,~Koi nazar andaaz karta hai to kitna dard hota hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Uss ke dil main thori si jaga mangi thi musafiron ki tarhan~........,~Uss ne tanhaiyon ka ik shehar mere naam kar diya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Teri yaadon ki baarish barasti hai jab be~........,~Main bheegta zaroor hoon magar palkoon ki had talak~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Jurty howay dekha nahi tootay howay dil ko~........,~Ghir jayien jo ansoo tu uthaye nahi jatay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Uss ne mujhse pocha kya had hai teri mohabbat ki~........,~Main ne kaha sun mere humnawa~........,~Mohabbat ki koi had nahi hoti~........,~Jo hadon main reh ke ki jaye woh mohabat nahi hoti~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Woh AjNaAbI tHA Tu RoZ mIlTa Tha~..........,~UsSay ApNa HoNaY Ka EHsAs DiLAyA tU tAnHa Hi Kar GaYa~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Tera Zikar Be Karna Chor Diya~........,~Ab Hum Ne Rona Chor Diya~........,~Jub Rona Nahi To Hasna Kya~........,~Ab Hasna Hasana Chor Diya~........,~Har Shakhs Ne Hum Ko Zakham Diye~........,~Ab Dil Ko Lagaana Chor Diya~........,~Tum Rootha Kartay Thay Hum Se~........,~Ab Hum Ne Manaana Chor Diya~........,~Teri Yaad Bohat Aati Thi Humien~........,~Tujhe Yaad Be Karna Chor Diya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~AAJ USS KI MOHABBAT MAIN KUCH KAMI DEKHI~........,~CHAND KI CHANDNI MAIN BE KUCH NAMI DEKHI~........,~UDAAS HO KAR LAOT AYE HUM APNAY GHAR~........,~JAB MEHFIL USS KI GHERON SE JAMI DEKHI~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ye dard mit gaya to phir?~........,~Ye zakhm sil gaya to phir?~........,~Bichhar kar sochta hoon main~........,~Woh phir se mil gaya to phir?~........,~Main titliyon ke shehar main~........,~Rahoon to mujh ko fikar hai~........,~Woh phool jo khila nahi~........,~Woh phool khil gaya to phir?~........,~Tujhe be kuch nahi mila~........,~Mujhe be kuch nahi mila~........,~Tamaam umar ke liye~........,~Ye dard mil gaya to phir?~........,~Main iss liye to aaj tak~........,~Sawal be na kar saka~........,~Aghar mere sawal ka~........,~Jawab mil gaya to phir?~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne?~........,~Khud bula kar phir sataya hai kisi ne?~........,~Jab tak jali hai shama jalta raha parwana~........,~Kya iss tarhan saath nibhaya hai kisi ne?~........,~Armaan mere raiza raiza ho gaye hain~........,~Yun kil ke aangan say giraya hai kisi ne?~........,~Aag lagi hai dasht main koi kya bhujaye ga~........,~Dil iss tarah say aaj jalaya hai kisi ne?~........,~Dil rota hai raat bhar yaad kar ke kisi ko~........,~Iss tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne?~........,~Sangdil jo tha aaj woh be ro para~........,~Uss ko be aaj tarpaya hai kisi ne?~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dafan hain uss ke ghar ke saath qabristan main maghar phir be woh roota hai Saqi~.........,~Khud hi tu kaha karta tha ke bana lo qareeb koi thikana ke milna asaan ho jaye~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Abb yoon dil ko saza di hum nay~........,~Uski har baat bhula di hum nay~........,~Aaj phir bohat roya ye dil uski yaad main~........,~Shaakh-e-gul jab jala di hum nay~........,~Aaj phir yaad aya woh shakhs~........,~Aaj phir usko dua di hum nay~........,~Koi to baat hai uss main~........,~Har khoshi jis pe luta di hum nay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Gham-O-Dukh Ke Ye Isharay Tum Na Samjho Gay~.......,~Jo Din Hum Ne Tumhare Bin Guzaray Hain Tum Na Samjho Gay~.......,~Tumhien Kesay Bataein Tum Hamaray Waste Kya Ho~.......,~Samandar Ki Kahani Main Kinaray Tum Na Samjho Gay~.......,~Bus Itna Jaan Lo Ek Shakhs Se Hum Ne Mohabbat Ki~.......,~Hamaray Tootnay Ka Khail Piyaray Tum Na Samjho Gay~.......,~Hazaron Mushkilon Se Khail Kar Be Jeetnay Walay~.......,~Ye Aakhir Kis Jaga Par Aa Ke Haaray Tum Na Samjho Gay~.......,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


Khud ko mujh se juda kia uss ne~.......,~Jo na karna tha woh kia uss ne~.......,~Yaad karnay se be na yaad aaon~.......,~Essa mujh ko bhula diya uss ne~.......,~Tum tu bus waqt ki zarorat ho~.......,~Mujh ko aakhir ye bata diya uss ne~.......,~Apnay hathon se wafa likh ke mujhe~.......,~Janay phir kyun mita diya uss ne~.......,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Barh gai uljhanien rabta karnay ke baad~.......,~Khud se be shikwa raha uss se gila karnay ke baad~.......,~Iss se barh kar aur kya hum par sitam hoga yahan~.......,~Mashwara manga hai uss ne faisla karnay ke baad~.......,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Suno JANA Judai maut hoti hai~.......,~Kabhi fursat millay to dekhna patoon ka ghirna tum~.......,~Ke jab ye shajhar say ghir kar zameen pay aan partay hain~.......,~Tu kesay rondhay jatay hain~.......,~Tharthartay raat ke khamoosh lamhoon main~.......,~Kisi bay bas akali bawafa khamoosh larki ki~.......,~Kabhi tum siskiyaan son-na~.......,~Kabhi qataar say bachri hoi konjoon ke nohay par nagah karna~.......,~Ke kesay aik dojay ki judai par~.......,~Tarap kar baan karti hain~.......,~Kabhi rikhsit ke lamhoon main kisi ki ankh say~.......,~Laraktay howay Ansoon ko dekhoo gay~.......,~To shayad jaan paaoo gay~.......,~Judai maut hoti hai~.......,~Abhi tum nay mohabit ke baaristay bheegaty mausam nahin dekhay~.......,~Abhi tum tatliyoon ke rang mothi main chupatay ho~.......,~Abhi tum muskratay ho~.......,~Soono JANA Kabhi jo zindgi nay ajnabi waraan rahoon pay~.......,~Tumhari ye hansi cheeni~.......,~Tu phir ansoon bahaoo gay~.......,~Tum itna jaan jao gay~.......,~Judai Maut hoti hai~.......,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


Tumhari Ik Nigah Se Qatal Hotay Hain Log Faraz~.......,~Ik Nazar Humko Be Dekh Lo Ke Zindagi Abb Achi Nahi Lagti~.......,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Main chahta be tha woh bewafa niklay~........,~Ussay samjhnay ka koi tu silsala niklay~........,~Kitab-e-maazi ke oraaq ulat ke dekh zara~........,~Na janay kon sa safa mora howa niklay~........,~Jo dekhnay main bohat hi qareeb lagta hai~........,~Ussi ke baray main sochon tu faasla niklay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aye Neend Tu Be Abb Hum Say Zid Choor Day Tu Achi Hai~........,~Jiss Ki Khatir Hum Jaga Kartay Thay Woh Abb Humara Nahi Raha~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aghar ho sakay to meri gardishoon ko salaam karna~........,~Ke main kitna ghir gaya hoon tery urooj ke liye~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kessay bayaan karon alfaaz nahi hain~........,~Dard ka mere tujhe ehsaas nahi hai~........,~Poochtay ho mujh se kya dard hai mujhe~........,~Dard ye hai ke tu mere pass nahi hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Tumhari yaad main jo hum pe guzarti hai~........,~Aghar din pe guzaray tu raat ho jaye~.......,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dard na ban sakay jiss ke nashay main~........,~Pila de mujh ko aaj wohi jaam zindagi~........,~Abb doston ke haath mere haath main nahi~........,~Girnay laga hoon main aaj mujhe thaam zindagi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Mohhabat ke dhokhay main koi na aye~.........,~Ye ik din hansaye tu sau din rulaye~.........,~Mujhe jab kisi se mohhabat nahi thi~.........,~Tu ankhon ko ronay ki adat nahi thi~.........,~Mohhabat ne ankhon main ansoo basaye~.........,~Ye ik din hansaye tu sau din rulaye~........,~Mere dil ko dekho jo dhokhay main aaya~........,~Mohhabat ka ik geet bhoolay se gaya~.......,~Magar raat din abb karay haye haye~........,~Mohhabat ke dhokhay main koi na aye~.........,~Ye ik din hansaye tu sau din rulaye~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Phir wafaien be karo gay to koi na poochay ga FARAZ~........,~Ye tery saray sitam faqat mery marr janay tak hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Inn Udaas Raahon Par Is Akelay Dil Ke Saath~........,~Kar Liya Safar Kitna Aur Kitna Baaqi Hai~........,~Woh Jo Aik Tara Sa Door Jhilmilata Hai~........,~Raasta Dikhata Hai Aur Doob Jata Hai~........,~Tab Akeley Pan Say Dil Ye Sawaal Karta Hai~........,~Jugnooun Ki Khwaahish Main Titliyon Ki Chahat Main~........,~Kar Liya Saffar Kitna Aur Kitna Baaqi Hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Main to toota hua patta hoon meri baat hi kya~........,~Phool pairoon se masaltay hain tere shehar ke loog~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Woh Aye Haìn Mehfìl Maìn Magar Khushì Se Nahì~........,~ Woh Baithay Haìn Humaray Paas Magar Dìl Se Nahì~........,~Kon Kehta Haì Woh Pyar Nahì Kartay~........,~Kartay Tu Haìn Magar Hum Se Nahì~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ye zaroori nahi ke soraj sawa nayzay pe aaye~........,~Koi apna badal jaye tu qayamat aa hi jati hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aaj kuch kami hai tere baghair~........,~Na rang na roshni hai tere baghair~........,~Waqt apni raftar say chal raha hai~........,~Bus dharkan thami hai tere baghair~........,~Na baarish hai na dhuaan hai~........,~Phir be dil main tapish si hai tere baghair~........,~Bohat roka hai baadal ko barsnay say~........,~Phir be aankhon main nami si hai tere baghair~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Tarastay thay jo milnay ko kabhi~.........,~Aaj woh kyun mere saaye se katratay hain~.........,~Hum be wohi DIL be wohi~.........,~Na janay kyun log badal jatay hain~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Woh apna aks sabhi aieno main chor gaya~........,~Bichrnay wala jo yaadien dilo main chor gaya~........,~Woh le raha tha mohabbat ka imtehan~........,~Chiragh de ke mujhy andhiyon main chor gaya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Karien gay tark-e-ta'alluq ye tum se wada raha~.........,~Badan se saans ka rishta tu toot janay do~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Jab be tanhai ne unn ko sataya hoga~........,~Tab tab unn ko mera khayal aaya hoga~........,~Ghum ye nahi hai ke woh bhool gaye hum ko~........,~Ghum ye hai ke janay kis ke liye bhoolaya hoga~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Iss qadar na har baat yaron se pocho~.........,~Jo baat raaz ki ho isharon se pocho~.........,~Lehron se khailna tu samandar ka shooq hai~.........,~Lagti hai chhot kessay kinaron se pocho~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Muskurati palkon se ashk ghir jate hain~........,~Aap kya jano kahan se humaray ghum atay hain~........,~Aaj be hum ussi mor par kharay hain~........,~Jahan aap ne kaha tha ruko hum abhi atay hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Darr Badar Ki Saza Se Dartay Hain~........,~Khushk Patay Hain Hawa Se Dartay Hain~........,~Aandhiyon Se Kabhi Mohabbat Thi Humien~........,~Abb Tu Baad-E-Saba Se Dartay Hain~........,~Nafraton Ne Woh Lazzatien Bakhshi Hain~........,~Chahat Jesi Bala Se Dartay Hain~........,~Logon Ke Karam Hain Itnay Faraz~........,~Zindagi Ki Dua Se Dartay Hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~(~*Teray Baghair Eid*~ )~........,~Koi Be Mosam Ho~........,~Koi Be Rut Ho~........,~Apni Tu Aaadat Hai~........,~Tumhien Yaad Barabar Karna~........,~Teri Justaju~........,~Teri Umeed Karna~........,~Tumharay Aanay Pe~........,~Khushi Mazeed Karna~........,~Abb Tu Mumkin Hi Nahi~........,~Tery Baghair Eid Karna~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Zara sa muskara dena tum abb ke EID say pehly~.........,~Har ik ghum ko bhula dena tum abb ke EID say pehly~.........,~Kitabon main saja lena zara do chaar phoolon ko~.........,~Hawaon ko saza dena tum abb ke EID say pehly~.........,~Mery sab shair sab nazmien kisi ko abb sunana mat~.........,~Mery sab khat jala dena tum abb ke EID say pehly~.........,~Hazaron meel ki doori sahi par laut aaonga~.........,~Mujhy dil say sada dena tum abb ke EID say pehly~.........,~Aghar milna humara aur tumhara kuch mumkin ho~.........,~Tu kuch aanso baha dena tum abb ke EID say pehly~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kehna Ye Chahta Tha Ke Dunya Hai Bewafa Mohsin~........,~Sharminda Hoon Ke Lab Pe Tera Naam Aa Gaya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Naye Deewano Ko Dekhtay Hain To Khushi Hoti Hai Saqi~........,~Hum Be Essay Thay Jab Naye Aaye Thay Tere May-Khanay Main~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ye Sheesha Shouq Hai Aadat Nahi~........,~Ye Jazbaat Mitati Hai To Pita Hoon~........,~Adhi Raat Ke Waqt Main Pagal Tu Nahi~........,~Teri Yaad Satati Hai To Pita Hoon~........,~Iss Sheeshay Main Fazeelat Koi Nahi~........,~Ye Fiqar Mitati Hai To Pita Hoon~........,~Mujhay Pata Hai Iss Say Mujh Ko Milna Kuch Nahi~........,~Ye Umar Ghatati Hai To Pita Hoon~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Suraj Pighal Ke Raat Ki Waadi Main Beh Gaya~........,~Iss Haadsay Ka Naam Shab-E-Intizar Hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ye Thora Sa Jeevan Adhura Sa Mausam~........,~Ye Rangon Ki Chahat Ghulabon Ki Hasrat~........,~Ye Roshan Sawerey Ye Madham Andherey~........,~Kisi Roz Tanha Milo Tu Batayien~........,~Khayalon Ki Rahien Chamakti Nigahien~........,~Wafaien Nibhana Adaien Dekhana~........,~Ye Ek Silsila Hai Magar Faasla Hai~........,~Jawaan Hain Umeedien Uri Hain Jo Neendien~........,~Kisi Roz Tanha Milo Tu Batayien~........,~Agar Jaan Jao Tu Ehsas Rakhna Issay Raaz Rakhna~........,~Karo Ek Wada Bana Lo Irada Mulaqat Kar Lo Wohi Baat Kar Lo~........,~Kisi Roz Tanha Milo Tu Batayien~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Suna Hoga Tum Ne Ke Dard Ki Hadd Be Hoti Hai~.........,~Milo Hum Se Aye Dost Ke Hum Uss Hadd Ke Paar Rehtay Hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Meri Surkh Surkh Aankhien Mujhy Bata Rahi Hain Mohsin~........,~Phir Subha Kar Di Main Ne Tujhy Yaad Karty Karty~..........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Woh apni mohabbat ka alam sunaty rahe~........,~Aur hum dheere dheere hosh main aaty rahe~........,~Woh aane wale daur ki baatien batate rahy~........,~Hum puraani yaadon se apna jee behlaty rahe~........,~Honton par kisi aur ka naam le kar woh apni aarzu jataty rahe~........,~Hum kabhi un ko tu kabhi apne dil ko samjhaty rahe~........,~Woh khud ko kisi aur ki amanat batate rahe~........,~Aur hum apna sab kuch unn pe lutatay rahe~........,~Woh itna muskuraye ke unki aankhon se aansoo beh gaye~........,~Humari aankhon se aansoo behty rahy aur hum muskurate rahe~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Mujhay hukum huwa kuch aur maang uss ke siwa Mohsin~........,~Main dast-e-dua se uth gaya ke dua kuch be nahi uss ke siwa~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Khuli ankh tu iss soch main gum hoon~........,~Kessay beetay ga ik aur din tery baghair~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Haan Mujhy Rasm-E-Muhabat Ka Saleeqa Hi Nahi Mohsin~........,~Ja Kisi Aur Ka Honay Ki Ijaazat Hai Tujhay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Apni Annaa Ki Parchaiyon Se Ik Ibaarat Banti Hai~........,~Jitnay Buray Hum Hain Yaaro Utna Acha Koi Nahi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Log sadiyon ki khataon pe be khush bastay hain~.........,~Hum ko lamhon ki wafaon ne ujaara Mohsin~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aye Chand Tu Hi Bata MujhKo~........,~TujhKo MaloOm HoGa Afsana UsKa~........,~Har Aankh Se Aankh Milata Hai Tu~........,~Tu Ne Dekha Hoga Aashyana Uska~........,~Mera Dost Kis Haal Main Hai~........,~Kin Se Hai Milna Milana Uska~........,~Aye Chand Mere DOST Se Keh Dena~........,~Muntzir Hai Aaj Be Ek Dost Purana Uska~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Hain Sabhi Ko Hum Say Shikayatien~........,~Par Humien Kisi Say Gila Nahi~........,~Ye Asool Hum Ne Bana Liya~........,~Na Mila Karo Na Gila Karo~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Jab be jee main aye mere pass chali aati ho~........,~Aye shab-e-tanhai kya tera ghar baar nahi hai?~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ujhra Chehra Bikhri Zulfien Bay Jaan Ankhien~........,~Mujhe tO TUM Be Kisi Ki Chahat Ke Maqrooz Lagtay hO~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ik dukh ka samundar nazar aati hai ye dunya~........,~Ik shakhs magar iss main jazeeray ki tarhan hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ja aur koi zabt ki dunya talaash kar~........,~Aye ishq hum tu ab tere qabil nahi rahay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ye Duniya Aik Lamhay Main Tumhien Barbaad Kar Day Gi~........,~Mohabbat Agar Mil Be Jaye Tu Usay Mash'hoor Mat Karna~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~MOHABBAT main woh maqam be baray honslay ka tha~.........,~Main khud pe hans raha tha ZAMANY ke saath saath~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Jo Kuch Bun Na Par Saki Tu Daboo Dien Gay Safina (Kashti)~........,~Khuda Ki Kasam Minat-E-Toofan Na Karien Gay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Woh ik shab jali to ussay shama keh diya SaR-e-aaM dOsTo~........,~Hum barsoun se jal rahay hain koi tu khitaab do~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Iss Kari Dhop Main Jaltay Hoye Paon Ki Tarhan~........,~Tu Kisi Aur Ke Aangan Main Hai Chaun Ki Tarhan~........,~Tu To Waqif Hai Mere Jazbon Ki Saanchai Se~........,~Phir Kyun Khamosh Hai Pathar Ke Khudaon Ki Tarhan~........,~Main To Khushboo Ki Tarhan Saath Raha Hoon Tere~........,~Tu Bhatakta Raha Bechain Hawaon Ki Tarhan~........,~Woh Jo Barbaad Hoye Thay Wohi Badnaam Hoye~........,~Tu To Masoom Hi Raha Apni Adaon Ki Tarhan~........,~Gham To Ye Hai Ke Humien Koi Khushi Raas Na Ayi MOHSIN~........,~Zindagi Kaat Rahay Hain Hum Sazaon Ki Tarhan~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Gham-e-ashiqi say keh do ke raah-e-aam tak na pohnchay~........,~Mujhy khof hai ye tohmat kahien mery naam tak na pohnchay~........,~Main nazar say pi raha tha to ye dil ne bad'dua di~........,~Tera haath zindagi bhar kabhi jaam tak na pohnchay~........,~Jo nakaab-e-rukh utha di to ye qaid be laga di~........,~Uthay har nigah lekin koi baam tak na pohnchay~........,~Ye aadaa-e-beyniazi tujhy bewafa ho mubarak~........,~Magar aisi bey-rukhi kya ke salaam tak na pohnchy~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Tere shehar-e-Wafa ke logon ne~........,~Pehle pyar kia phir chhor diYa~........,~MuJhay sagar samaJh ke peetay raHay~........,~Jab Piyas BuJhi tab torr diya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Abb ke baar dekho detay hain kya faraib~........,~Woh phir say mil rahay hain bari saadgi ke saath~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kitny Anjaan Hain Sar-E-Shaam Hi So Jatay Hain~.........,~Meri Aankhon Se Meri Neend Churanay Walay~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Gazab Ki Dhoop Thi Tanhaiyon Ke Jangal Main~.........,~Kaien Shajhar Thay Magar Koi Saya Daar Na Tha~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Koi tu saawan aisa ho jo tere sang barsay~.........,~Tanha to meri aankhein har rooz barasti hain~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ye saray haseen chehray meri tasbeeh ke daanay hain~.........,~Nazar say ghirtay rehtay hain ibaadat hoti rehti hai~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Be-bas kar deta hai qanoon-e-mohabbat Warna~........,~Main tujhy itna chahon ke intehaa kar doon~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Bhool jana to rasam-e-zamana hai Mohsin~........,~Tum ne bhool kar kon sa kamal kar diya?~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ye zakham ishq ke kahan tak sambhal kar rakhoon~..........,~Ajeeb shakhs hai kuch de kar mangta be nahi~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Uss ke tabassum ki masoomiyat pe na ja aye Dil~........,~Bewafa log baray fankaar hua kartay hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Naram naram pholon ka russ nichor leti hain~.........,~Pathar ke dil hotay hain titliyon ke seenay main~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Hamnasheen kessay bataon jazba-e-ulfat kya hai~.........,~Khud bataye gi mohabbat ke mohabbat kya hai~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Mere Qatil Ko Pukaro Ke Main Zinda Hoon Abhi~........,~Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Ke Main Zinda Hoon Abhi~........,~Ye Shab-E-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say~........,~Jao So Jao Sitaro Ke Main Zinda Hoon Abhi~........,~Ye Pareshan Say Gaisu Dekhay Nahi Jatay~........,~Apni Zulfun Ko Sanwaro Ke Main Zinda Hoon Abhi~........,~Lakh Moujoun Main Ghira Hoon Abhi Dooba To Nahi~........,~Mujh Ko Sahil Say Pukaro Ke Main Zinda Hoon Abhi~........,~Qabar Say Aaj Be 'Mohsin' Ki Aati Hai Sada~........,~Tum Kahan Ho Mery Yaroo Ke Main Zinda Hoon Abhi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Suna hai woh dukh main hota hai tu mujhy yaad karta hai~........,~Abb main uss ke liye khushi ki dua karon ya gham ki~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<

About Me