Poetry Page 4

♥ ♥ ♥ ╔╦╦╦═╦╗╔═╦═╦══╦═╗♥ ♥ ♥
♥ ♥ ♥ ║║║║╩╣╚╣═╣║║║║║╩╣♥ ♥ ♥
♥ ♥ ♥ ╚══╩═╩═╩═╩═╩╩╩╩═╝♥ ♥ ♥

(¯`v´¯)
`*.¸ .*´
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸ .•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•.
~♥~Usman Is Here~♥~
(¯`♥´¯) (¯`♥´¯)
*`•.¸(¯`♥´¯)¸.•´ * *
♫ ♥ *`•.¸.•´*♥ ♫.¸¸.•´¯`♥









…….♥#########♥
…..♥#############♥
…♥###############♥
..♥#################♥………………♥###♥
..♥##################♥……….♥#########♥
….♥#################♥……♥#############♥
…….♥################♥..♥###############♥
………♥################♥################♥
………..♥###############################♥
…………..♥############################♥
…………….♥#########################♥
………………♥######################♥
………………..♥###################♥
………………….♥#################♥
……………………♥##############♥
………………………♥###########♥
………………………..♥#########♥
………………………….♥#######♥
……………………………♥#####♥
……………………………..♥###♥
……………………………….♥#♥
…………………………………♥
…………………………………♥
……………………………….♥
……………………………..♥
……………………………♥
…………………………♥
……………………….♥
…………………….♥
………………….♥
………………♥
………….♥
………♥
……♥
…..♥
……♥………………….♥…♥
……….♥………….♥…………♥
…………..♥…..♥………………♥
……………….♥………………..♥
…………….♥……♥…………..♥
…………..♥………….♥….♥
………….♥
………..♥
……….♥
………♥
………♥
……….♥
…………..♥
……………….♥
……………………..♥
………………………….♥
……………………………♥
……………………………♥
…………………………♥
…………………….♥
………………♥
………….♥
…….♥
…♥
.♥………………………..♥….♥
♥……………………..♥………..♥
.♥………………….♥…………….♥
..♥……………….♥………………♥
…♥………………………………♥
…..♥…………………………..♥
……..♥…………………….♥
………..♥……………….♥
…………..♥…………..♥
………………♥…….♥
…………………♥..♥
……………………♥

      

 


~Kal shab mujhy bay shak ki awaaz ne chunka diya~........,~Main ne kaha tun kon hai?~........,~Uss ne kaha AWAARGI~........,~Ye dard ki tanhaiyan~........,~Ye dasht ka viraan safar~........,~Hum log tu ukta gaye~........,~Apni suna AWAARGI~........,~Logo bhala uss shehar main~........,~Kessy jiyien gay hum jahan~........,~Ho jurm tanha sochna~........,~Lekin saza AWAARGI~........,~Ik ajnabi jhoonkay nay jab~........,~Pocha mere ghum ka sabab~........,~Sehra ki beeghi rait par~........,~Main ne likha AWAARGI~........,~Kal raat tanha chand ko~........,~Dekha tha main ne khawab main~........,~Mohsin mujhy raas aaye gi~........,~Shayad sadaa AWAARGI~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ye jo hum hijhar main deewar-o-dar ko dekhatay hain~........,~Kabhi sabaa ko kabhi darya ko dekhatay hain~........,~Woh aaye ghar main humaray Khuda ki qudrat~........,~Kabhi hum unn ko kabhi apnay ghar ko dekhatay hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Nikalna khuld say aadam ka suntay aaye hain hum lekin~........,~Bohat beabaroo ho kar tery kochay say hum niklay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aa ke meri jaan main qarar nahi hai~........,~Taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahi hai~........,~Detay hain jannat hayat-e-dahar ke badlay~........,~Nasha ba andaza-e-khumar nahi hai~........,~Giriya niklay hain teri bazm say mujh ko~........,~Haye ke ronay pe ikhtiyaar nahi hai~........,~Hum say abas hai guman-e-ranjish-e-khatir~........,~Khak main ushshaq ki gubaar nahi hai~........,~Dil say utha lutf-e-jalwa haye jani~........,~Gair-e-gul aina-e-bahaar nahi hai~........,~Qatl ka mere kya hai ahad tu baray~........,~Waye aghar ahad ustawaar nahi hai~........,~Tu ne qasam maikashi ki khai hai Ghalib~........,~Teri qasm ka kuch aietbaar nahi hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aina kyun na doon ke tamasha kahain jissay~........,~Essa kahan say laon ke tujh sa kahain jissay~........,~Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal main~........,~Guldasta-e-nigah suweda kahain jissay~........,~Phunka hai kis ne goshay mohabbat main aye Khuda~........,~Afsun-e-intizaar tamanna kahain jissay~........,~Sar par hujum-e-dard-e-gareebi say daaliye~........,~Woh ik musht-e-khak ke sehra kahain jissay~........,~Hai chashm-e-tar main hasrat-e-didar say nahi~........,~Shauq-e-inan gusekhta dariya kahain jissay~........,~Darkar hai shiguftan-e-gul haye aish ko~........,~Subh-e-bahaar panba-e-mina kahain jissay~........,~Ghalib bura na maan jo waiz bura kahain~........,~Essa be koi hai ke sab acha kahain jissay?~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Bohat sahi ghum-e-geti sharab kam kya hai~.......,~Ghulam-e-saaqi-e-kausar hoon mujh ko ghum kya hai~.......,~Tumhari tarz-o-rawish jantay hain hum kya hai~.......,~Raqeeb par hai aghar lutf tu sitam kya hai~.......,~Sukhan main khama-e-Ghalib ki atashfashani~.......,~Yaqeen hai hum ko be lekin abb uss main dam kya hai~.......,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Bas ke dushwar hai har kam ka asaan hona~........,~Aadmi ko be mayassar nahi insan hona~........,~Giriya chahay hai kharabi mere kashanay ki~........,~Dar-o-deewar say tapak hai bayaban hona~........,~Wah-e-deewangi-e-shauq ke har dam mujh ko~........,~Aap jana udhar aur aap hi hairan hona~........,~Jalwa azbas ke taqaza-e-nigah karta hai~........,~Jauhar-e-aina be chahay hai mizagan hona~........,~Ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat poch~........,~Eid-e-nazzara hai shamshir ka uriyan hona~........,~Lay gaye khak main hum daag-e-tamanna-e-nishat~........,~Tu ho aur aap basadrang-e-gulistan hona~........,~Ishrat-e-para-e-dil zakhm-e-tamannakhana~........,~Lazzat-e-rish-e-jigar garq-e-namakdan hona~........,~Ki mere qatl ke baad uss ne jafa say tauba~........,~Haye uss zodpasheman ka pasheman hona~........,~Haif uss char girah kapray ki qismat Ghalib~........,~Jis ki qismat main ho aashiq ka gareban hona~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Bazicha-e-atfal hai dunya mere agay~........,~Hota hai shab-o-roz tamasha mere agay~........,~Ik khail hai aurang-e-suleman mere nazdeek~........,~Ik baat hai ijaz-e-masiha mere agay~........,~Juz naam nahi surat-e-alam mujhy manzor~........,~Juz weham nahi hasti-e-ashiya mere agay~........,~Hota hai nihan gard main sehra mere hotay~........,~Ghista hai jabeen khak pe dariya mere agay~........,~Mat poch ke kya haal hai mera tere pichay~........,~Tu dekh ke kya rang hai tera mere agay~........,~Sach kehtay ho khudbeen-o-khudara hoon na kyun hoon~........,~Baitha hai but-e-aina sima mere agay~........,~Phir dekhiye andaaz-e-gulafshani-e-guftar~........,~Rakh day koi paimana-e-sahba mere agay~........,~Nafrat ka guman guzray hai main rashk say guzra~........,~Kyun kar kahon lo naam na uss ka mere agay~........,~Imaan mujhy rok hai jo khinchay hai mujhy kufr~........,~Kaba mere pichay hai kalisa mere agay~........,~Aashiq hoon pe mashuqfarebi hai mera kaam~........,~Majnun ko bura kehti hai laila mere agay~........,~Khush hotay hain par wasl main yun mar nahi jatay~........,~Aye shab-e-hijaran ki tamanna mere agay~........,~Hai maujzan ik qulzum-e-khun kash yehi ho~........,~Aata hai abhi dekhiye kya - kya mere agay~........,~Go haath ko jumbish nahi aankhon main tu dam hai~........,~Rehnay do abhi sagar-o-mina mere agay~........,~Hampesha-o-hammasharab-o-hamraz hai mera~........,~Ghalib ko bura kyun kaho acha mere agay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dunya main naye dost har dum milien gay~........,~Kahien ziada kahien kam milien gay~........,~Aietbaar zara soch kar karna aye Dost~........,~Mumkin nahi tumhien har jaga hum milien gay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Pyaar ik phool hai uss phool ki khushboo tum ho~.........,~Mera chehra meri aankhien mere ghesso tum ho~.........,~Door ho mujh say maghar paas nazar aatay ho~.........,~Mera jazba mera ehsaas nazar aatay ho~.........,~Zindagi ban ke jo chaya hai woh jadoo tum ho~.........,~Pyaar ik phool hai uss phool ki khushboo tum ho~.........,~Mera chehra meri aankhien mere ghesso tum ho~.........,~Tum mere paas nahi ho mujhy iss ka ghum hai~.........,~Tum khayalon main jo aaye yehi kya kam hai~.........,~Meri tanhai ka tapka hua aansoo tum ho~.........,~Pyaar ik phool hai uss phool ki khushboo tum ho~.........,~Mera chehra meri aankhien mere ghesso tum ho~.........,~Jab be tanhai main aahat si koi paati hoon~.........,~Ye samjh kar main hawaon say lipat jaati hoon~.........,~Kessay mere liye khoolay howay baazo tum ho~.........,~Pyaar ik phool hai uss phool ki khushboo tum ho~.........,~Mera chehra meri aankhien mere ghesso tum ho~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Garmi-e-hasrat-e-nakaam say jal jaatay hain~.........,~Hum charaghon ki tarhan shaam say jal jaatay hain~.........,~Bach nikaltay hain aghar aatish-e-sayaad say hum~.........,~Sholaa-e-aatish-e-gulfaam say jal jaatay hain~.........,~Khud numai tu nahi shewa-e-arbaab-e-wafa~.........,~Jin ko jalna ho woh araam say jal jaatay hain~.........,~Shamma jis aag main jalti hai numaish ke liye~.........,~Hum ussi aag main gum-naam say jal jaatay hain~.........,~Jab be aata hai tera naam mery naam ke saath~.........,~Jaanay kyon log meray naam say jal jaatay hain~.........,~Raabta behem pay humien kya na kahien gay dushman~.........,~Aashna jab tery paighaam say jal jaatay hain~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aankhon Main Nami Hansi Labon Par~........,~Kya Haal Hai Kya Dikhaa Rahay Ho~........,~Ban Jaayien Gay Zehar Peetay Peetay~........,~Ye Ashq Jo Peetay Ja Rahay Ho~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Mujh Par Ilzaam Hain Sabhi Tum Jin Par Khafa Hotay Ho~........,~Main Mujhrim Tu Nahi Kyun Mujh Ko Saza Detay Ho~........,~Gar Mohabbat Nahi Ikhlaaq Be Koi Cheez Hai Sanam~........,~Tum Har Baar Mujhy Nazroon Say Gira Detay Ho~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Har Wada-E-Wafa Ko Bhulanay Ka Shukriya~........,~Dewana Kar Ke Aankh Churanay Ka Shukriya~........,~Hum Jantay Thay Aap Ke Qabil Nahi Hain Hum~........,~Kuch Roz DiL Ki Aas Barhanay Ka Shukriya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Haseen rutoon ke woh mehaktay gulaab ru lamhay~........,~Ghelaf chasham main sambhal rakhay hain~........,~Tumhien dekhaien tu kessay woh hijhar ke mousam~........,~Jo apnay khoon-e-jighar say ujhal rakhay hain~........,~Jinhien samjh ke tu anjaan ban gaya tha kabhi~........,~Hanuz aankhoon main wohi sawaal rakhay hain~........,~Humien saza jo mili jurm be to essa tha~........,~Wafa ke silsily hum nay bahaal rakhay hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Zindagi jessi aik haseen shae ko chhand khwabon na kar diya barbaad~.........,~Kuch haseeno nay kar diya ghayal kuch sarabon na kar diya barbaad~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dil ki ye aarzoo thi koi dilruba milay~........,~Dekhien humien naseeb say abb apnay kya milay~........,~Abb tak tu jo be dost milay bewafa milay~........,~Hum ne udaasiyon main guzaari hai zindagi~........,~Lagta hai dar faraib bewafa say kabhi kabhi~........,~Essa na ho ke zakhm koi phir naya milay~........,~Abb tak tu jo be dost milay bewafa milay~........,~Dil ki ye aarzoo thi koi dilruba milay~........,~Kal tum juda howay thay jahan saath chhor kar~........,~Hum aaj tak kharay hain ussi dil ke moor par~........,~Hum ko iss intizaar ka kuch tu sila milay~........,~Dil ki ye aarzoo thi koi dilruba milay~........,~Abb tak tu jo be dost milay bewafa milay~........,~Dekhien humien naseeb say abb apnay kya milay~........,~Abb tak tu jo be dost milay bewafa milay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kaash ke tum nam aankhon say~.........,~Ek baar bas itna keh detay~.........,~Kya chhorr gaye thay paas mery~.........,~Aur abb kya lenay aaye ho~.........,~Main khamoshi say sun leta~.........,~Gham seh leta dukh chunn leta~.........,~Kuch dard ke aansoo ro leta~.........,~Tum say sharminda ho leta~.........,~Tum keh na sakay hum ro na sakay~.........,~Dil pehly jessay ho na sakay~.........,~Tum afssurda hum sharminda~.........,~Shab bhar dono so na sakay~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Yun Dosti Ke Naam Ko Ruswa Na Kijiye~........,~Tark-E-Ta'alluqaat Ka Charcha Na Kijiye~........,~Jurm-O-Sitam Ka Paas Be Ulfat Main Shart Hai~........,~Palkon Ko Aansuon Say Bhigoya Na Kijiye~........,~Essa Na Ho Umeed Say Rishta Hi Toot Jaaye~........,~Har Roz Mujh Say Wada-E-Farda Na Kijiye~........,~Hamdard Jis Ko Apna Samjhtay Rahay Hain Aap~........,~Uss Ka Hi Zindagi Main Bharosa Na Kijiye~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kahien Tanha Na Kar Day Tujhy Munfrid Rehnay Ka Shouq Faraz~.........,~Jab Din Dhalay Tu Kisi Say Haal-e-Dil Keh Diya Kar~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Tera na ho saka tu mar jaonga Faraz~.........,~Kitna khoobsurat woh jhooth bola tha tu ne~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Faraz Zulm Hai Itni Khud-Aitmadi Be~.........,~Ke Raah Be Thi Andheeri Aur Chiraag Be Na Liya~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Humien tum say pyaar kitna ye hum nahi jaantay~.......,~Maghar jee nahi saktay tumharay bina~.........,~Suna ghum judai ka uthatay hain loog~.........,~Janay zindagi kessay bitatay hain loog~.........,~Din be yahan tu lagay baras ke sama~.........,~Humien intizaar kitna ye hum nahi jaantay~.........,~Maghar jee nahi saktay tumharay bina~.........,~Tumhien koi aur dekhay tu jalta hai dil~.........,~Bari mushkilon say phir sambhalta hai dil~.........,~Kya kya jatan kartay hain tumhien kya pata~.........,~Ye dil beqaraar kitna ye hum nahi jaantay~.........,~Maghar jee nahi saktay tumharay bina~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Teri tarhan malaal mujhy be nahi raha~........,~Ja abb tera khayal mujhy be nahi raha~........,~Tu nay be mausam ki pazeerai chorr di~........,~Abb shauq-e-maah-e-visaal mujhy be nahi raha~........,~Mera jawab kya tha tujhy be khabar nahi~........,~Yaad abb tera sawal mujhy be nahi raha~........,~Jis baat ka khayal na tu nay kabhi kia~........,~Uss baat ka khayal mujhy be nahi raha~........,~Toora hai tu nay jab say mery dil ka aaina~........,~Andaza-e-jamaal mujhy be nahi raha~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kisi ko dekhay dil koi nawasanj-e-fugaan kyun ho~.........,~Na ho jab dil hi seenay main tu phir mooh main zabaan kyun ho~.........,~Qafas main mujh say rudaad-e-chaman kehatay na dar humdum~.........,~Giri hai jis pe kal bijli woh mera aashiyan kyun ho~.........,~Yehi hai aazmana tu satana kis ko kehtay hain~.........,~Adu ke holiye jab tum tu mera intihaan kyun ho~.........,~Wafa kessi kahan ka ishq jab sar phorana thehra~.........,~Tu phir aye sang dil tera hi sang-e-aastaan kyun ho~.........,~Nikaalna chahta hai kaam kya taanon say tu Ghalib~.........,~Tere be-meher kehnay say woh tujh pe meherbaan kyun ho~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aye Kaash Kahien Qudrat Ka Ye Nizaam Hua Karay~.........,~Tujhy Dekhnay Ke Siwa Na Mujhy Koi Kaam Hua Karay~.........,~Charcha Ho Saaray Shehar Main Tere Mere Pyaar Ka~.........,~Mujh Pe Teri Chahat Ka Ilzaam Hua Karay~.........,~Ishq Karon Essa Ke Ho Jaon Main Deewana~.........,~Koi Poochay Aarzu Tu Zubaan Pe Tera Naam Hua Karay~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kisi Larki Say Mat Kehna~..........,~Ke Uss Say Pyar Kartay Ho~..........,~Aghar Ik Bay Dehaani Main~..........,~Ye Iqraar Kar Baithay~..........,~Kisi Say Pyaar Kar Baithay~..........,~Tu Phir Wadoon Ki Doroon Main~..........,~Ulajh Kar Toot Jao Gay~..........,~Tumharay Pyaar Ka Uss Ko~..........,~Aghar Ehsaas Ho Jaye~..........,~Tu Ho Sakta Hai Tum Uss Ka~..........,~Rang-O-Roop Ban Jao~..........,~Mohabbat Ke Safar Main Shayad~..........,~Essa Moor Aa Jaye~..........,~Ke Tum Say Narazgi Ka~..........,~Barmila Izhaar Kar Baithay~..........,~Koi Inkaar Kar Baithay~..........,~Tu Ye Samjho Koi Sheesha~..........,~Koi Dil Toot Jaye Ga~..........,~Ke Inn Ke Dil Bohat Nazuk~..........,~Bohat Kamzoor Hotay Hain~..........,~Kisi Larki Ke Dil Ka Tootna Be Mout Hoti Hai~..........,~Kisi Larki Say Na Kehna~..........,~Ke Uss Say Pyaar Kartay Ho~..........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ye Nahi Ghum Ke Qasam Apni Bhulai Tum Nay~........,~Ghum Tu Ye Hai Ke Raqeebon Say Nibhai Tum Nay~........,~Koi Ranjish Thi Aghar Tum Ko Tu Mujh Say Kehtay~........,~Baat Apas Ki Kyun Sab Ko Batai Tum Nay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Zehanaton Ko Kahan Karb Say Farar Mila~.........,~Jissay Nigaah Milai Ussi Ka Intizaar Mila~.........,~Woh Koi Raah Ka Pathar Ho Yan Haseen Manzar~.........,~Jahan Say Raasta Thehara Wahien Mazaar Mila~.........,~Koi Pukaar Raha Tha Khuli Fizaon Say~.........,~Nazar Uthai Tu Chaaro Taraf Hisaar Mila~.........,~Har Ik Saans Na Jaanay Thi Justaju Kis Ki~.........,~Har Ik Dayaar Musafir Ko Bedayaar Mila~.........,~Ye Shehar Hai Ke Numaish Lagi Hui Hai Koi~.........,~Jo Aadami Be Milaa Ban Ke Ishtihaar Mila~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Abb Tu Uth Sakta Nahi Aankhon Say Baar-E-Intizaar~.........,~Kis Tarhan Kaat'tay Koi Lail-O-Nahaar-E-Intizaar~.........,~Unn Ki Ulfat Ka Yaqeen Ho Unn Ke Aanay Ki Umeed~.........,~Hoon Ye Dono Suratien Tab Hai Bahaar-E-Intizaar~.........,~Meri Aahien Na Raza Meri Duaien Na Qabool~.........,~Yaa Ilaahi Kya Karon Main Sharmsaar-E-Intizaar~.........,~Unn Ke Khat Ki Aarzu Hai Unn Ki Aamad Ka Khayaal~.........,~Kis Qadar Phaila Hua Hai Kaarobaar-E-Intizaar~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Bila Jawaaz Rakhien Khud Ko Beqaraar Be Kyun~.........,~Jo Tu Nahi Tu Phir Tera Intizaar Be Kyun~.........,~Akelay Pan Ka Safar Jab Mera Muqadar Hai~.........,~Tu Phir Aye Wada Shikan Teri Rehguzaar Be Kyun~.........,~Ussay Ganwa Ke Raha Abb Khizaon Ki Zad Main~.........,~Jo Woh Nahi Tu Phir Mausam-E-Bahaar Be Kyun~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~ISHQ wohi hai jo ho ik tarfa~........,~IZHAR-e-ishq tu khawahish ban jaati hai~........,~HAI aghar ishq tu aankhon main dekho~........,~ZUBAAN kholnay say ye numaish ban jaati hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh Ko~........,~Apni Nazron Main Basa Kar Na Giraana Mujh Ko~........,~Tum Ko Aankho Main Tasawur Ki Tarhan Rakhta Hoon~........,~Dil Main Dharkan Ki Tarhan Tum Be Basana Mujh Ko~........,~Baat Karnay Main Jo Mushkil Ho Tumhien Mehfil Main~........,~Main Samjh Jaon Ga Nazron Say Batana Mujh Ko~........,~Wada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho~........,~Khuwab Pura Jo Na Ho Woh Na Dikhana Mujh Ko~........,~Apnay Rishtay Ki Nazaakat Ka Bharam Rakh Lena~........,~Main Tu Aashiq Hoon Deewana Na Banana Mujh Ko~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Azmat-E-Zindagi Ko Baich Diya~........,~Hum Ne Apni Khushi Ko Baih Diya~........,~Chashm-E-Saaqi Ke Ik Ishaaray Pe~........,~Umar Ki Tishnagi Ko Baich Diya~........,~Rind Jaam-O-Subuu Pe Hansatay Hain~........,~Shaikh Ne Bandagi Ko Baich Diya~........,~Raah Guzaaron Pe Lut Gai Raadhaa~........,~Shaam Ne Bansuri Ko Baich Diya~........,~Jagamagaatay Hain Wehashaton Ke Dayaar~........,~Aqal Ne Aadami Ko Baich Diya~........,~Lab-O-Rukhsaar Ke Iwaaz Hum Ne~........,~Sitvat-E-Khusravi Ko Baich Diya~........,~Ishq Beharupiya Hai Aye Sagar~........,~Aap Ne Saadgi Ko Baich Diya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Jis Shaks Ke Baghair Guzara Na Ho Saka~.........,~Ye Kya Sitam Ke Woh Be Humara Na Ho Saka~.........,~Aankhoon Nay Jis Ke Waastay Sadiyon Safar Kia~.........,~Woh Yun Mila Ke Uss Ka Nazara Na Ho Saka~.........,~Main Nay Har Ik Rukh Pay Nigahien Bikhair Dien~.........,~Lekin Badal Koi Be Tumhara Na Ho Saka~.........,~Jo Raah-E-Guzar Ishq Main Pathar Banay Rahay~.........,~Unn Say Kisi Be Taur Kinara Na Ho Saka~.........,~Mujh Ko Kis Liye Shikwa Ho Gair Say~.........,~Khud Jab Main Apnay Dukh Ka Sahara Na Ho Saka~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dunya ki nazron main girna mere kis kaam aaya~........,~Apnon say bichar kar woh bewafa ghairon ke kaam aaya~........,~Main bhool chuka tha ke apnay hi bewafai kartay hain~........,~Dunya meri barbaad kar ke ussay zara be reham na aaya~........,~Aghar woh wafadaar hota tu yun bewafai na karta~........,~Mujhy uss ka intizaar raha par woh lout kar na aaya~........,~Zindagi tu qaafiro ke sang guzar hi jaaye gi~........,~Par jissay dost samjha woh dushmani karnay aaya~........,~Qatal hi karna tha tu samnay say karta~........,~Humdard ban kar kyun uss ne peeth main khanjar chalaya~........,~Dost bana kar phir be ussay mujh par pyar na aaya~........,~Kyun ki bewafai uss ne kyun ussay mujh par pyaar na aaya~........,~Nazron main uss ki abb sharm ke cheenti hai~........,~Abb tanhai nay sataya tu mere paas chala aaya~........,~Faqat mujhy uss ki zaroorat be kya hai ”ISHQ”~........,~Abb janaza mera dekh kar kyun ussay rona aaya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aankh ban jati hai sawan ki ghata shaam ke baad~.........,~Mujh say ho jata hai har koi khafa shaam ke baad~.........,~Chand jab roo ke sitaron say galay milta hai~.........,~Aik ajab rang ki hoti hai fiza shaam ke baad~.........,~Hum nay tanhai say pocha ke milo gi kab tak?~.........,~Uss nay be-chaini say foran kaha shaam ke baad~.........,~Maar deta hai bichar janay ka dohra ehsaas~.........,~Kash na ho koi kisi say juda shaam ke baad~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Juda Hona Hi Thehra Tu~.........,~Gilay Kessay Shikayat Kya~.........,~Juda Ho Jayien Chupke Say~.........,~Na Tum Bolo Na Main Bolon~.........,~Humaray Bool Parnay Say~.........,~Judai Phail Sakti Hai~.........,~Hawaon Main Fizaon Main~.........,~Judai Zaat Main Bhar Lien~.........,~Chalo Hum Iss Tarhan Kar Lien~.........,~Kisi Sunsaan Rastay Ke~.........,~Kisi Be Moor Par Dono~.........,~Juda Ho Jayien Chupke Say~.........,~Na Tum Bolo Na Main Bolon~.........,~Humaray Bool Parnay Say~.........,~Judai Phail Sakti Hai~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Woh jo muddaton say mila nahi~........,~Main be dhoondnay main thaka nahi~........,~Ussay dhoonda main nay gali gali~........,~Koi chorhi main nay jaga nahi~........,~Sab nay kaha ussay bhool ja~........,~Dil nay kaha woh bura nahi~........,~Bhula don ussay main be aghar~........,~Phir farq hum main raha nahi~........,~Milta nahi tu kya hua~........,~Mere dil say woh tu juda nahi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Asli nakli chehray dekhay~........,~Dil pay sau sau pehray dekhay~........,~Mere dukhtay dil say pocho~........,~Kya kya khawab sunehray dekhay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Na Janay Dhoondtay Ho Kya Meri Veeran Aankhon Main~........,~Chupa Rakhay Hain Hum Ne Tu Kaien Taufaan Aankhon Main~........,~Kahan Woh Shokhiyan Pehly Si Abb Kuch Be Nahi Baaqi~........,~Chalay Aaye Ho Tum Kya Khojnay Inn Be-jaan Aankhon Main~........,~Kisi Ka Haath Lay Kar Haath Main Jab Tum Milay Hum Say~........,~Tu Kessay Toot Ke Bikhra Tha Mera Maan Aankhon Main~........,~Na Samjho Chup Hain Tu Tum Say Koi Shikwa Nahi Baaqi~........,~Hum Apnay Dard Ki Nahi Rakhtay Koi Pehchaan Aankhon Main~........,~Milay Thay Baad Muddat Ke Humien Tum Ajnabi Ban Kar~........,~Tu Kessay Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankhon Main~........,~Nahi Abb Phir Say Koi Raabta Rakhnay Say Kuch Haasil~........,~Ke Abb Dafna Diye Hum Nay Sabhi Armaan Aankhon Main~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Batao Tum Mohabbat Ka Bhala Izhaar Kya Kartay~........,~Tumhien Ruswaiyon Ka Darr Tha Tum Iqraar Kya Kartay~........,~Dilon Main Hausla Aur Na Mausam Hi Muwafiq Tha~........,~Nadi Ke Tairnay Waalay Samandar Paar Kya Kartay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kya Kahain Hum Kessay Tujh Say Door Ho Gaye~.........,~Haalaat Say Kuch Khud Say Majhboor Ho Gaye~.........,~Mohhabbat Rula Deti Hai Kab Ye Maana Tha~.........,~Apnay Dil Ke Afsaanay Wohi Dastoor Ho Gaye~.........,~Manzil Jissay Samjha Bana Woh Meel Ka Pathar~.........,~Nai Manzil Naye Raastay Manzoor Ho Gaye~.........,~Hadh Say Barh Jaaye Jo Ghum Deta Nahi Dard~.........,~Muskura Rahay Hain Essay Hum Ranjhoor Ho Gaye~.........,~Dil Tera Reza Reza Hai Kessay Sambhalay Tujh Ko~.........,~Khudaya Hum Say Kessay Ye Qusoor Ho Gaye~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Phir Aaj Koi Ghazal Uss Ke Naam Na Ho Jaye~........,~Aaj Kahien Likhtay Likhtay Shaam Na Ho Jaye~........,~Kar Rahay Hain Intizaar Uss Ke Izhar-E-Mohabbat Ka~........,~Issi Intizaar Main Kahien Shaam Na Ho Jaye~........,~Nahi Letay Hain Uss Ka Naam Sar-E-Aam Iss Darr Say~........,~Kahien Naam Uss Ka Badnaam Na Ho Jaye~........,~Mangtay Hain Dua Jab Woh Yaad Aatay Hain~........,~Ke Judai Mere Pyar Ka Anjaam Na Ho Jaye~........,~Sochtay Hain Aksar Dartay Hain Tanhai Main~........,~Uss Ke Dil Main Kisi Aur Ka Mukaam Na Ho Jaye~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Meri Aankon Ke Samandar Main Jalan Kessi Hai~.........,~Phir Dil Ko Tarpanay Ki Lagan Kessi Hai~.........,~Barf Ke Roop Main Dhal Jayien Gay Rishtay~.........,~Mujh Say Pocho Mohabbat Ki Agan Kessi Hai~.........,~Abb Kisi Chhat Pe Charagon Ki Qatarien Be Nahi~.........,~Abb Tere Shehar Ki Galiyon Main Ghutan Kessi Hai~.........,~Main Tere Wisaal Ki Khuwahish Ko Na Marnay Doon Ga~.........,~Mausam-E-Hijhar Ke Lehjay Main Thakan Kessi Hai~.........,~Regzaron Main Jo Banti Rahi Kaanton Ki Rida~.........,~Uss Ki Majhboor Si Aankhon Main Kiran Kessi Hai~.........,~Mujhy Masoom Si Pagal Larki Pay Taras Ata Hai~.........,~Ussay Dekho Tu Mohabbat Main Magan Kessi Hai~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Mujhy Ye Ghalat Fehmi Thi~........,~Ke Mohabbat Dhair Sari Thi~........,~Dono Haathon Main Bhar Kar~........,~Tamaam Umar Sambhalon Ga~........,~Kabhi Khonay Nahi Doon Ga~........,~Mohabbat Khonay Ke Darr Say~........,~Muthiyan Beench Li Main Ne~........,~Maghar Jab Muthiyan Kholien~........,~Tu Dono Haath Khali Thay~........,~Kyun Ke Mohabbat Rait Jessi Thi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kal Raat Ik Mehfil Hui~........,~Mehfil Main Ik Baat Hui~........,~Ik Chand Mujhy Nazar Aaya~........,~Bas Aankhon Say Mulaqaat Hui~........,~Iss Chand Ki Naram Nigahon Say~........,~Iss Dil Ki Har Ik Baat Hui~........,~Iss Chand Ki Ghani Zulfon Main~........,~Kab Shaam Hui Kab Raat Hui~........,~Bas Yehi Ik Baat Hui~........,~Ik Naye Pyar Ki Shuruwaat Hui~........,~Kal Raat Ik Mehfil Hui~........,~Mehfil Main Ik Baat Hui~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Yun Mehfil Nahi Hoti Aur Nazaaray Nahi Hotay~.........,~Yun Chand Ke Pehlu Main Sitaray Nahi Hotay~.........,~Hum Iss Liye Kartay Hain Aap Ki Fikar~.........,~Kyun Ke Dil Ke Qareeb Saray Nahi Hotay~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kis Qadar Anokha Hai Zaabta Mohabbat Ka~........,~Kab Na Jaany Ho Jaye Mojza Mohabbat Ka~........,~Apni Zaat Se Be Woh Ajnabi Sa Lagta Hai~........,~Jis Ke Saath Ho Jaye Haadsa Mohabbat Ka~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Wohi takraar lafzoon ki~........,~Wohi andeshay furqat ke~........,~Wohi gumnaam si kasak~........,~Wohi har baat par ranjish~........,~Wohi har baat par larna~........,~Wohi likhna humaray naam ko bay-reham mojon par~........,~Wohi apni kitabon main gulabi titliyan rakhna~........,~Wohi bay-mani baaton main humara zikar lay aana~........,~Humien parday say chup kar dekhna aur muskura dena~........,~Wohi muskan dheemi si~........,~Wohi kuch bolti aankhien~........,~Wohi chup chaap sa lehja~........,~Wohi bechain si halchal~........,~Wohi saye say ghubrana~........,~Wohi sakhiyon say qatrana~........,~Wohi kehnay say kuch darna~........,~Wohi bay-waja uthlana~........,~Sab hi aasaar kehtay hain~........,~USSAY MUJH SAY MOHABBAT HAI~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Mere janay pe aye Jaana~........,~Pareshan Tum Nahi Hona~........,~Kabhi Chup Kar Nahi Rona~........,~Judai Zehar Hoti Hai~........,~Mujhy Maloom Hai Lekin~........,~Firaq-O-Hijhar Ka Mausam~........,~Yaqeenan Beet Jaye Ga~........,~Yaqeenan Wasl Ke Lamhay~........,~Dobara Laut Aayien Gay~........,~Wohi Shaamien Wohi Raatien~........,~Wohi Qissay Wohi Baatien~........,~Wohi Phir Dastaan Hogi~........,~Mohabbat Meherbaan Hogi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Sawaal Tu Hai Jawab Tu Hai~........,~Mohabbaton Ki Kitaab Tu Hai~........,~Be-sabat Jahaan Ke Rung Saray~........,~Meri Nazar Main Shabaab Tu Hai~........,~Ye Kainaat Hai Jis Say Roshan~........,~Aftab, Taray, Mehtaab Tu Hai~........,~Kabhi Tu Hota Hai Paas Mere~........,~Kabhi Chamakta Saraab Tu Hai~........,~Phool, Kaliyon Ka Khush-Rung Pairhien~........,~Khushbuon Ka Hijaab Tu Hai~........,~Tu Meri Khwahish Tu Meri Hasrat~........,~Meri Aankhon Ka Khawaab Tu Hai~........,~Nisaab-E-Zindagi Hai Ishq~........,~Meri Zindagi Ka Nisaab Tu Hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Roye Hai Bohat Tab Zara Qaraar Mila Hai~.........,~Iss Jahan Main Kissay Bhala Sacha Pyaar Mila Hai~.........,~Guzar Rahi Hai Zindagi Imtiehaan Ke Daur Say~.........,~Ik Khatam Hua Tu Doosra Tayaar Mila Hai~.........,~Mere Damaan Ko Khushiyon Ka Nahi Malaal~.........,~Gham Ka Khazana Jo Iss Ko Beeshumaar Mila Hai~.........,~Woh Kamnaaseeb Hain Jinhien Mehboob Mil Gaya~.........,~Main Khushnaseeb Hoon Mujhy Intizaar Mila Hai~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Main ne kaha ke mere liye kuch DUA kia karo~........,~Uss ne kaha ke DUA pe na takiya kia karo~........,~Main ne kaha ke zehan pe rehta hai bojh sa~........,~Uss ne kaha ke chhup ke kahien roya karo~........,~Main ne kaha ke tere khawaab jaga detay hain~........,~Uss ne kaha ke raat ko socha na karo~........,~Main ne kaha ke raat ko neend nahi aati~........,~Uss ne kaha ke sonay ki koshish kia karo~........,~Main ne kaha ke dost nahi dien gay saath mera~........,~Uss ne kaha ke waqt pe ye tajurba kia karo~........,~Main ne kaha ke dil main teri yaadien hain~........,~Uss ne kaha ke dil ko samjhaya karo~........,~Main ne kaha ke tere milnay ki umeed hai~........,~Uss ne kaha ke umeed na umeed be hoti hai~........,~Main ne kaha ke tumhari aankhien meri aankhien hoon gi~........,~Uss ne kaha ke chalo phir meri aankhon main raha karo~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Main Diya Hoon Toot'tay Mazaar Ka~..........,~Sar-E-Shaam Kis Ne Jala Diya~..........,~Teri Berukhi Ki Adaoon Ne~..........,~Mujhy Zara Zara Bana Diya~..........,~Nai Manzilon Par Pohanch Kar Be~..........,~Yehi Sochta Hoon Ke Kis Tarhan~..........,~Kin Rastoon Pe Milay Thay Hum~..........,~Kin Raston Ne Juda Kia~..........,~Ye Tu Apna Apna Naseeb Hai~..........,~Koi Mil Sakay Yan Na Mil Sakay~..........,~Na Ho Gham Zada Dil Meharbaan~..........,~Phir Kya Huwa Jo Bhula Diya~..........,~Mere Hum Safar Zara Soch Lay~..........,~Tere Rastoon Ka Khaloos Hoon~..........,~Tere Samnay Jo Bicha Diya~..........,~Rahay Umar Bhar Jissay Dhoondtay~..........,~Woh Mila Tu Ussay Ganwa Diya~..........,~Mere Hasraton Ke Mazaar Par~..........,~Mera Uss Say Aik Sawaal Hai~..........,~Ussay Rook Kar Ye Pochoon Main~..........,~Yahan Kis Ne Kis Ko Bhula Diya~..........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Toor kar ahad-e-karam naa-aashanaa ho jaaiye~........,~Banda parawar jaaiye acha khafa ho jaaiye~........,~Raah main miliye kabhi mujh say tu azaraah-e-sitam~........,~Honth apnay kaat kar foran juda ho jaaiye~........,~Ji main aata hai ke uss shokh-e-tagaaful kesh say~........,~Abb na miliye phir kabhi aur bewafa ho jaaiye~........,~Haye ray be-ikhtiyaari ye tu sab kuch ho magar~........,~Uss sarapa naaz say kyun kar khafa ho jaaiye~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Humaari dastaan poori suna'na namah’baar lekin~........,~Wahan say rukh palat dena jahan maathay pe baal aaye~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Tu ne chaha hai mujhy ye karam kya kam hai~........,~Tu pyar karta hai mujh say ye bharam kya kam hai~........,~Ik din ye bharam toot'tay ga mera~........,~Uff kismat kya ye sitam kya kam hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Rook lo qadam jee bhar ke dekh lo~........,~Humara tumhara saath bas yahien tak tha~........,~Manzil milay na milay abb humari kismat~........,~Ke zindagi ke saath safar bas yahien tak tha~........,~Tum chal nahi saktay iss say aagay ik qadam~........,~Ruk jao ke phoolon ka chaman yahien tak tha~........,~Aagay aa rahay hain gham mujh say milnay galay~........,~Ke apni khushiyon ka thikana bas yahien tak tha~........,~Uttho aur naye humraahi talaash karo~........,~Ke ye khuwaab suhana bas yahien tak tha~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ye daagh daagh ujaala ye shab gazida sahar~........,~Woh intizaar tha jis ka ye woh sahar tu nahi~........,~Ye woh sahar tu nahi jis ki aarzoo lay kar~........,~Chalay thay yaar ke mil jaye gi kahien na kahien~........,~Falak ke dasht main taaron ki akhiri manzil~........,~Kahien tu hoga shab-e-sust ghum ka saahil~........,~Kahien tu ja ke lagay ga safina-e-ghum-e-dil~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dil magar kam kisi say milta hai~........,~Aadmi, aadmi say milta hai~........,~Bhool jaata hoon main sitam uss ke~........,~Woh kuch iss saadgi say milta hai~........,~Aaj kya baat hai ke phoolon ka~........,~Rang teri hansi say milta hai~........,~Mil ke be jo kabhi nahi milta~........,~Toot kar dil ussi say milta hai~........,~Rooh ko be maza mohabbat ka~........,~Dil ki hum-saigi say milta hai~........,~Karobaar-e-jahaan sanwartay hain~........,~Hosh jab bay-khudi say milta hai~........,~Dil magar kam kisi say milta hai~........,~Aadmi, aadmi say milta hai~........,~Dil magar kam kisi say milta hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ajeeb Hijhar Parasti Thi Uss Ki Fitrat Main~........,~Shajhar Ke Toot'tay Pat'tay Talash Karta Tha~........,~Tamaam Raat Woh Parday Hata Ke Chaand Ke Saath~........,~Jo Kho Gaye Woh Lamhay Talaash Karta Tha~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ye dunya ik raaz hai~........,~Yahan sab kuch chupana parta hai~........,~Dil main chahay jitnay be gham hoon aye dost~........,~Magar mehfil main muskurana parta hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Nazar Khamosh Zubaan Chup Sadaa-E-Dil Marham~.........,~Kisi Ka Zikar Na Nikla Tumhari Baat Ke Baad~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ye Meri Wafa Ki Hain Wehshatien Mujhy Ikhtiar-E-Junoon Nahi~........,~Jahan Naam Hum Nay Suna Tera Wahien Sar Ko Apnay Jhuka Diya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Main Hoon Aur Afsurdagi Ki Aarzu Ghalib~.........,~Ke Dil Dekh Kar Tarz-E-Tapaak-E-Ehl-E-Dunya Jal Gaya~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ta’aluq Abb Yahan Kam Hain Mulaqaatien Ziada~........,~Hujoom-E-Shehar Main Har Shakhs Tanha Ho Gaya Hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Khamoshi Jurm Hai Agar Muunh Main Zubaan Ho~........,~Kuch Na Kehna Be Hai Zaalim Ki Himayat Karna~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Main Qaasid Kis Tarhan Bhaijon Main Khud Hi Tum Say Mil Lon Ga~.........,~Tumhien Jo Dekh Leta Hai Tumhara Ho Hi Jata Hai~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Unn ki taraf say tark-e-mulaqaat ho gai~..........,~Hum jiss say darr rahay thay wohi baat ho gai~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aina dekhnay main nai baat ho gai~.........,~Unn say hi aaj unn ki mulaqaat ho gai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Tay unn say rooz-e-hashr mulaqaat ho gai~.........,~Kitni si baat kitni bari baat ho gai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aaye hain woh mareez-e-mohabbat ko dekh kar~..........,~Aansou bata rahay hain koi baat ho gai~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dar par tha bazm-e-ghair main dono ki guftugu~..........,~Uthi idhar nigaah udhar baat ho gai~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kab tak qamar ho shaam ke waaday ka intizaar~........,~Suraj chupa charaagh jalay raat ho gai~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ik Pashemaan Si Hasrat Say Mujhy Sochta Hai~.........,~Abb Wohi Shehar Mohabbat Say Mujhy Sochta Hai~.........,~Main Tu Mehdood Say Lamhon Main Mila Tha Uss Ko~.........,~Phir Be Woh Kitni Wizahat Say Mujhy Sochta Hai~.........,~Jis Ne Socha Hi Na Tha Hijhar Ka Mumkin Hona~.........,~Dukh Main Dobi Howi Hairat Say Mujhy Sochta Hai~.........,~Garcha Abb Tark-E-Marasim Ko Bohat Dair Hoi~.........,~Abb Be Woh Meri Ijaazat Say Mujhy Sochta Hai~.........,~Kitnay Kush Feham Hai Woh Sakhs Ke Har Mausam Main~.........,~Ik Naye Rukh Naye Soorat Say Mujhy Sochta Hai~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Mohabbat Tarq Ki Main Nay Giraybaan Si Liya Main Nay~.........,~Zamana Abb Tu Kush Ho Zehar Ye Be Pi Liya Main Nay~.........,~Abb Zinda Hoon Lekin Sochta Rehta Hoon Khaloot Main~.........,~Ke Abb Tak Kis Tamana Ke Saharay Ji Liya Main Nay~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Jurm Siqrat Say Hat Kar Na Saza Do Hum Ko~.........,~Zehar Rakha Hai Tu Abb Aab-E-Baqa Do Hum Ko~.........,~Shorash-E-Ishq Main Hai Husn Barabar Ka Shareek~.........,~Soch Kar Jurm Tamana Ki Saza Do Hum Ko~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aap Apnay Raqeeb Hotay Hain~.........,~Ahl-E-Dil Be Ajeeb Hotay Hain~.........,~Hijar Ki Pur Khaloos Raaton Main~.........,~Aap Kitnay Qareeb Hotay Hain~.........,~Aap Apnay Raqeeb Hotay Hain~.........,~Ahl-E-Dil Be Ajeeb Hotay Hain~.........,~Ghardishien Ruk Gaien Zamanay Ki~.........,~Aaj Do Dil Qareeb Hotay Hain~.........,~Aap Apnay Raqeeb Hotay Hain~.........,~Ahl-E-Dil Be Ajeeb Hotay Hain~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Rooth gaya hai koi mujh ko mananay wala~........,~Aab nahi koi mere naaz uthanay wala~........,~Na jaanay kya dekh raha hai ye khula hua darwaza~........,~Shayad rasta bhool jaye koi jaanay wala~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ja Chukay Hain Sab Aur Wohi Khamoshi Chaayi Hai~........,~Pass Hain Har Aur Sannata Aur Tanhai Muskurai Hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Jis Kisi Ko Be Chaho Woh Bewafa Ho Jaata Hai~........,~Sar Aghar Jhukao Tu Sanam khuda Ho Jaata Hai~........,~Jab Talak Kaam Aatay Raho Humsafar Kehlaatay Raho~........,~Kaam Nikal Jaanay Par Humsafar Koi Doosra Ho Jaata Hai~........,~Gham Nahi Tha Hum Ko Kabhi Zamaanay Ki Ruswaiyon Ka~........,~Takleef Hoti Hai Jab Koi Apna Khafa Ho Jaata Hai~........,~Dil Ki Khalish Aksar Jaan Leva Ho Jaati Hai Lekin~........,~Dar-E-Dil Ik Hadh Ke Baad Dard-E-Dawa Ho Jaata Hai~........,~Hara Bhara Hai Gulshan-E-Yaar Ye Bahaar Ke Din Hain~........,~Khizan Aanay Par Dekho Ik Ik Pat'ta Kessay Juda Ho Jaata Hai~........,~Yehi Sachchai Hai Haqeeqat Hai Yehi Dastoor-E-Zindagi Hai~........,~Kuch Dair Miltay Hain Humraahi Phir Aadmi Tanha Ho Jaata Hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Hum laakh achay hain par log kharab kehtay hain~........,~Bigra hua hum ko nawaab kehtay hain~........,~Hum tu essay badnaam ho gaye hain~........,~Ke paani be piyien tu log sharaab kehtay hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Humary chahnay walay humien bhool gaye hain tu kya hua Saaqi~.........,~Jab mausam badaltay hain tu pat'tay jhar hi jaatay hain~..........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Yaad Aatay Hain Aaj Uff Gunaah Kya Kya Mohsin~.........,~Pehla Ye Ke Mohabbat Kar Li Aakhri Ye Ke Tujh Say Kar Li~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Mujhy justugu-e-ishq hai teri qurbaton ka sawaal hai~........,~Main hoon ishq say na-aashna mere doston ka khayal hai~........,~Mera qalm hai gawaah iss par meri shairy be daleel hai~........,~Meri saans hai jo chal rahi teri chahaton ka kamaal hai~........,~Meri nigaah say tun door hai dil-o-jaan say par tun qareeb hai~........,~Ye fark hai na wisaal hai teri shafqaton ka ye kamaal hai~........,~Tujhy zindagi main kya mila sirf ishq hi tu nahi zindagi~........,~Tu na khauf kar iss baat ka tere dushmano ki ye chaal hai~........,~Woh na mill saka tu kya hua kisi aur ka woh naseeb tha~........,~Ye ishq ki nahi haar dost teri mohabbaton ka zawaal hai~........,~Meri manzil hai door bohat par meri justugu ko dawaam hai~........,~Koi ranjh hai na malaal hai meri aashqi bay-misaal hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ishq Waalay Aankhon Ki Baat Samjh Letay Hain~........,~Sapno Main Mill Jayien Tu Mulaqaat Samjh Letay Hain~........,~Roota Tu Aasmaan Be Hai Kisi Ke Pyaar Main~........,~Par Na Janay Kyun Loog Ussay Barsaat Samjh Letay Hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kahien milay tu ussay ye kehna~........,~Faseel-e-nafrat gira raha hoon~........,~Gaye dinon ko bhula raha hoon~........,~Woh apnay wadon say phir gaya hai~........,~Main apnay waday nibha raha hoon~........,~Kahien milay tu ussay ye kehna~........,~Na dil main koi malaal rakhay~........,~Hamesha apna khayal rakhay~........,~Woh saaray ghum apnay mujh ko de day~........,~Tamaam khushiyan sambhaal rakhay~........,~Kahien milay tu ussay ye kehna~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Nooch ke shakhon ke pat'ton say khushk pat'ton ke libaas~........,~Zard rut ke banch rut ko be-labasi day gaya~........,~Lay gaya mohsin woh mujh say abar baanta aasman~........,~Uss ke badlay main zameen sadiyon ki payasi day gaya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Jis ko main ne de di apni ye zindagi~........,~Woh shakhs hi mera qaatil nikla~........,~Wafaparasti main na koi kami ki~........,~Inn wafaon say na kuch haasil nikla~........,~Ishq, mohabbat, qasmien, waaday~........,~Inn lafzon ka asar uss pe baatil nikla~........,~Hum tu taufaan say dartay rahay lekin~........,~Jis ne duboya mujhy woh saahil nikla~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Hua hai jurm-e-mohabbat tu mujh say aik hi baar~........,~Magar saza woh mujhy kishtwaar deta hai~........,~Main sakht-go ka karon zikr kis tarhan Mohsin~........,~Woh narm-kho be dukh beshumar deta hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Nahi zindagi say koi gila ke tha khawab jessa hi silsila~........,~Kabhi teergi ka asar howa nahi kabhi chaandni say be darr gaye~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Tu Iss Qadar Mujhy Apnay Qareeb Lagta Hai~........,~Tujhy Alag Sa Jo Sochon Tu Ajeeb Lagta Hai~........,~Hadood-E-Zaat Say Bahar Nikal Ke Dekh Zara~........,~Na Koi Gair Na Koi Raqeeb Lagta Hai~........,~Jissay Na Husn Say Matlab Na Ishq Say Sarokaar~........,~Woh Shakhs Mujh Ko Bohat Badnaseeb Lagta Hai~........,~Ye Dosti Ye Marasim Ye Chahatien Ye Khaloos,~........,~Kabhi Kabhi Ye Sab Kuch Ajeeb Lagta Hai~........,~Ufaq Pe Door Chamakta Hua Koi Taara~........,~Mujhy Charag-E-Dayaar-E-Habeeb Lagta Hai~........,~Na Jaanay Kab Koi Tufaan Aaye Ga Yaaro~........,~Buland Mauj Say Saahil Qareeb Lagta Hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Tumharay shehar ka mausam bara suhana lagay~........,~Main ik shaam chura lon aghar bura na lagay~........,~Tumharay bas main aghar ho tu bhool jao humien~........,~Tumhien bhoolanay main shayad mujhy zamanaa lagay~........,~Humaray pyar say jalnay lagi hai ye dunya~........,~Dua karo kisi dushman ki bad-dua na lagay~........,~Na jaanay kya hai uss ki bebaak aankhon main~........,~Woh nazrien chhupa ke be jaaye tu bewafa lagay~........,~Jo doobana hai tu itanay sakoon say doobo~........,~Ke aas paas ki leharon ko be pata na lagay~........,~Ho iss adaa say mere saath bewafai kar~........,~Ke tere baad mujhy koi bewafa na lagay~........,~Woh phool jo mere daaman say ho gaye mansoob~........,~Khuda karay unhien bazaar ki hawa na lagay~........,~Tum aankh moond ke pi jao zindagi Dost~........,~Ke ik ghoont main shayad ye bad-maza na lagay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Har shama bujhi rafta rafta har khawaab lauta dheere dheere~........,~Sheesha na sahi pathar be na tha dil toot gaya dheere dheere~........,~Barason main maraasim banatay hain lamhon main bhala kya toot'tien gay~........,~Tu mujh say bichharna chahay tu deewaar uthaa dheere dheere~........,~Ehsaas hua barbaadi ka jab saaray ghar main dhool urri~........,~Aai hai humaray aangan main patjhar ki hawa dheere dheere~........,~Dil kessay jala kis waqt jala hum ko be pata aakhir main chala~........,~Phailaa hai dhuaan chup ke chup ke sulagi hai chita dheere dheere~........,~Woh haath paraaye ho be gaye abb door ka rishta hai Dost~........,~Aati hai meri tanhai main khushboo-e-hina dheere dheere~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aaj phir say mere kanoo main teri sargoshi hai~........,~Shayad ke tu ne aadhi neend main pukara hoga~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Apni barbaadi pe kitnay khush thay hum Faraz~........,~Dost dushman ka nikal aaya hai apna aashna~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Unn say nibhta nahi koi rishta~........,~Dost dushman bana ke dekh liya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Chand ko sitaron say aur mujhy tum say mohabbat hai~........,~Phoolon ko baharon say aur mujhy tum say mohabbat hai~........,~Mehfil main jo milna nighahien jhuka lena~........,~Koi samjh na paye ke mujhy tum say mohabbat hai~........,~Abb tere hijhar main bus ik kaam hai aasman takna~........,~Tum sitaron pe likh dena mujhy tum say mohabbat hai~........,~Hai humien ehsaas tum ko be hum say pyaar hai lekin~........,~Ye mere ru–ba–ru kehna mujhy tum say mohabbat hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Labon Pay Naam Rakhnay Say~........,~Dilon Main Yaad Karnay Say~........,~Har Ik Dharkan Har Ik Tarpan~........,~Kisi Ke Naam Karnay Say~........,~Koi Apna Nahi Banta~........,~Tamaam Umar Ki Khushiyan~........,~Mohabbat Ki Sabhi Ghariyan~........,~Kisi Ko Daan Karnay Say~........,~Ke Uss Pay Maan Karnay Say~........,~Koi Apna Nahi Banta~........,~Woh Pehly Pyar Ki Baatien~........,~Rafaqat Ki Sabhi Raatien~........,~Woh Chahat Ki Sabhi Rasmien~........,~Mohabbat Ki Sabhi Qasmien~........,~Hamesha Yaad Rakhnay Say~........,~Koi Apna Nahi Banta~........,~Kisi Tanha Akeli Raah-Guzar Par~........,~Purany Say Kisi Boorhay Shajhar Par~........,~Pathar Say Koi Dil Banany Say~........,~Aur Uss Main Apna Aur Kisi Ka Naam Sajanay Say~........,~Koi Apna Nahi Banta~........,~Ke Jab Aankhien Hi Mar Jaayien~........,~Tu Phir Sapna Nahi Banta~........,~Ye Jeewan Daan Kar Jaayien~........,~Tu Be Apna Nahi Banta~........,~Koi Apna Nahi Banta~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kisi ki shakal main abb ke qaraar day dena~........,~Mery Khuda mujhy abb ke bahar day dena~........,~Sakoon ki shakal main aghar maut hi zaroori hai~........,~Yehi sakoon humien aik baar day dena~........,~Tum apnay qurb ki parchhaiyan na do jo aghar~........,~Humaray dil ki khalish ko qaraar day dena~........,~Ye roz roz ka uthh-ta nahi ghamon ka udhar~........,~Dukh’n ka qarz humien aik baar day dena~........,~Mery naseeb ki sab kainat lay ke sanam~........,~Tumhien qasam hai faqat aietbaar day dena~........,~JAB APNAY AAP KO MAZLOOM KAR SAKON SAABIT~........,~SAZA-E-MAUT HUMIEN BAAR BAAR DAY DENA~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Thehar jao ke hairaani tu jaaye~........,~Tumhari shakal pehchaani tu jaaye~........,~Shab-e-gham tun hi mehmaan ban ke aa ja~........,~Humaray ghar ki veeraani tu jaaye~........,~Zara khul kar be ro lenay do hum ko~........,~Ki dil ki aag tak paani tu jaaye~........,~Bala say toor daalo aaino ko~........,~Kisi soorat ye hairaani tu jaaye~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Zindagi tujh ko mananay niklay~........,~Hum be kis darja deewanay niklay~........,~Kuch tu dushman thay mukhaalif-saf main~........,~Kuch mere dost puranay niklay~........,~Nazar andaaz kia hai uss nay~........,~Khud say milnay ke bahanay niklay~........,~Be-basaarat hai ye basti yaaro~........,~Aaina kis ko dikhanay niklay~........,~Inn andheeron main jiyo gay kab tak~........,~Koi tu shama jalanay niklay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Thokar lagi tu apnay muqadar pe ja gira~........,~Phir yun hua ke aaina pathar pe ja gira~........,~Ehsaas-e-farz jab hua neend aa gai~........,~Chalna tha pul-e-saraat pe bistar pe ja gira~........,~Baazi mohabbat ki jahaalat ne jeet li~........,~Woh ban gaya khateeb jo mimber pe ja gira~........,~Khushboo qasoor-waar nahi iss ko chhor do~........,~Main phool toortay howay kaanton pe ja gira~........,~Sehraaon main liye phira IQBAL paani ki justuju~........,~Jab pyaas marr gai tu samandar main ja gira~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Woh dasht-e-khamoshi main~........,~Ungliyon main sipiyan pehnay~........,~Kisi sukhay samandar ki~........,~Aadhuri piyaas ki baatien~........,~Bohat chup chaap sunta hai~........,~Bohat khamosh rehta hai~........,~Ussay ye kon samjhaye~........,~Khushi ke ik aansoo say~........,~Samandar bhar be jaatay hain~........,~Bohat khamosh rehnay say ~........,~Taluq mar be jaatay hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Main ne unn ko ik salaam likh bheja~........,~Haal-e-dil tamaam likh bheja~........,~Main ne pocha tumharay honth kessay hain~........,~Unnho ne jaam likh bheja~........,~Main ne pocha tumharay baal kessay hain~........,~Unnho ne qudrat ka inaam likh bheja~........,~Main ne pocha kab hogi mulaqaat~........,~Unnho ne qayamat ki shaam likh bheja~........,~Main ne pocha itna tarpatay kyun ho~........,~Unnho ne pyaar ka imtihaan likh bheja~........,~Main ne pocha tumhien nafrat kis say hai~........,~Uss zaalim ne “MERA” hi naam likh bheja~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Iss dil ki haalat batana nahi aata~........,~Kisi ko essay tarpana nahi aata~........,~Sun'na chahtay hain ik baar aawaz aap ki~........,~Magar baat karnay ka bahana nahi aata~........,~Unhien pyaar karna nahi aata~........,~Aur Humien pyaar ke siwa kuch nahi aata~........,~Jeenay ke sirf ye do hi raastay hain~........,~Ik unhien nahi aata aur ik humien nahi aata~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aa baant lain sary dard-o-aalam~........,~Kuch tum rakh lo kuch hum rakh lain~........,~Abb ponch lo apnay ashq sanam~........,~Kuch tum rakh lo kuch hum rakh lain~........,~Hum saath rahien aur saath chalien~........,~Hum saath jiyien aur saath marien~........,~Iss raah-e-wafa pe apnay qadam~........,~Kuch tum rakh lo kuch hum rakh lain~........,~Mana ke dukhon say tum ho bharay aur hum be khali haath nahi~........,~Ye zulm-o-sitam tumhien meri qasam~........,~Kuch tum rakh lo kuch hum rakh lain~........,~Be-dard zamanay waalay jo kuch kehtay hain so kehnay do~........,~Be-loos tamnaon ka barham~........,~Kuch tum rakh lo kuch hum rakh lain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Sheeshay ki tarhan toot ke girnay nahi deta~........,~Ye zabt mera mujh ko bikharnay nahi deta~........,~Rehnay nahi deta mujhy palkon ke kinaray~........,~Aankhon ke samandar main utarnay nahi deta~........,~Hai naam-e-mohabbat say adawat ussay lekin~........,~Dum mujh ko be mohabbat ka woh bharnay nahi deta~........,~Milta hai har baar naye bhais badal kar~........,~Ik shaks mujhy khud say bicharnay nahi deta~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Woh naam tha badal gaya~........,~Main shaam tha dhal gaya~........,~Woh nazar thi jhuk gai~........,~Main tehreer tha mit gaya~........,~Woh shaama thi pighal gai~........,~Main parwana tha jal gaya~........,~Woh ashq tha beh gaya~........,~Main dard tha seh gaya~........,~Woh chand tha chup gaya~........,~Main baadal tha baras gaya~........,~Woh taufaan tha guzar gaya~........,~Main gulshan tha bikhar gaya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Bohat Israar Posheeda Hai Iss Tanha Pasandi Main~........,~Ye Mat Samjho Ke Deewanay Jahaandeeda Nahi Hotay~........,~Tajub Kya Hai Aye IQBAL Jo Dunya Tujh Say Na Khush Hai~........,~Bohat Say Log Dunya Pasandeeda Nahi Hotay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ik Khawahish Sarhanay Rakh Do Na~........,~Aaj Mujh Pe Inayat Kar Do Na~........,~Zara Chupkay Say Khamoshi Say~........,~Tum Izhar-E-Mohabbat Kar Do Na~........,~Khud Ko Kar Ke Deewana Sa~........,~Mera Pyaar Amar Tum Kar Do Na~........,~Main Pyaas Main Dooba Sehra Hoon~........,~Tum Mujh Ko Samandar Kar Do Na~........,~Main Yun Hi Phirta Hoon Dar-Ba-Dar~........,~Tum Khud Ko Manzil Kar Do Na~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Main daroon wichri poonjh wango~.........,~Rehni aan teri udeekan wich~.........,~Jay roolna e tay rool v ja~.........,~Enjh jhootha lara lai da nai~.........,~Tenu ki dasaan tun jaanda nai~........,~Aye pyaar di gal tabeeba way~........,~Jerra zakhm dilbar yaar dayway~........,~Uss zakhm tay marham lai da nai~........,~Jay mill paiye kadi raawan wich~.........,~Haal ik dojay da poch laiye~.........,~Muk phair ke apnay sajna tun~.........,~Enjh kolon di lang jai da nai~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Hum Be Payaasay Hain Ye Saaqi Ko Bata Be Na Sakay~..........,~Saamnay Jaam Tha Aur Jaam Utha Be Na Sakay~..........,~Kaash Hum Ghairat-E-Mehfil Ke Na Maaray Hotay~..........,~Waqt Karta Jo Wafa Aap Humaray Hotay~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Baarish hui tu pholon ke tan chak ho gaye~........,~Mausam ke haath bheeg ke saffak ho gaye~........,~Badal ko kya khabar ke baarish ki chah main~........,~Kitnay buland-o-bala shajar khak ho gaye~........,~Jugnu ko din ke waqt pakarnay ki zid karien~........,~Bachay humaray ahad ke chalak ho gaye~........,~Lehra rahi hai barf ki chadar hata ke ghaas~........,~Suraj ki shah pe tinak be bebak ho gaye~........,~Suraj dimag log be iblag-e-fikr main~........,~Zulf-e-shab-e-firaq ke pechak ho gaye~........,~Jab be gareeb-e-shehar say kuch guftagu hui~........,~Lehajay hawa-e-shaam ke namnaak ho gaye~........,~Sahil pe jitnay abguzida thay sab ke sab~........,~Dariya ke rukh badaltay hi tairaak ho gaye~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Zubaan sukhan ko sukhan bankpan ko tarsay ga~........,~Sukhankada meri tarz-e-sukhan ko tarsay ga~........,~Naye pyalay sahi tere daur main saaqi~........,~Ye daur meri sharab-e-kohan ko tarsay ga~........,~Mujhy tu khair watan choor kr aman na mili~........,~Watan be mujh say gareeb-ul-watan ko tarsay ga~........,~Unnhi ke dam say farozaan hain millaton ke charaagh~........,~Zamana sohbat-e-arbab-e-fan ko tarsay ga~........,~Badal sako tu badal do ye baaghban warna~........,~Ye baagh saya-e-sard-o-saman ko tarsay ga~........,~Hawa-e-zulm yehi hai tu dekhna ik din~........,~Zameen paani ko suraj kiran ko tarsay ga~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Woh dil nawaaz hai nazar shanaas nahi~........,~Mera ilajh mere charaghar ke paas nahi~........,~Tarap rahay hain zubaan par kaien sawaal magar~........,~Mere liye koi shayan-e-iltamaas nahi~........,~Tere ujalon main be dil kanp kanp uthta hai~........,~Mere mizaaj ko asudagi be raas nahi~........,~Kabhi kabhi jo tere qurb main guzray thay~........,~Aab unn dinon ka tasawur be mere paas nahi~........,~Guzar rahay hain ajab marhalon say dida-o-dil~........,~Sahar ki aas tu hai zindagi ki aas nahi~........,~Mujhy ye dar hai ke teri arzu na mit jaye~........,~Bohat dinon say tabiyat meri udaas nahi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Tere milnay ko bekal ho gaye hain~........,~Magar ye log pagal ho gaye hain~........,~Bahaarien lek aye thay jahan tum~........,~Woh ghar sunsaan jangal ho gaye hain~........,~Yahan tak barh gaye aalam-e-hasti~........,~Ke dil ke haunsalay shal ho gaye hain~........,~Kahan tak taab laye natawan dil~........,~Ke sadmay abb musalsal ho gaye hain~........,~Nigaah-e-yaas ko neend a rahi hai~........,~Musarda purashk bojhal ho gaye hain~........,~Unnhien sadiyon na bhulay ga zamana~........,~Yahan jo haadsay kal ho gaye hain~........,~Jinhien hum dekh kar jeetay thay Nasir~........,~Woh log aankhon say ojhal ho gaye hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Safar-e-manzil-e-shab yaad nahi~........,~Log rukhsat howay kab yaad nahi~........,~Dil main har waqt chubhan rehti thi~........,~Thi mujhy kis ki talab yaad nahi~........,~Woh sitara thi ke shabnam thi ke phool~........,~Ik surat thi ajab yaad nahi~........,~Essa uljha hoon gam-e-dunya main~........,~Ik be khwab-e-tarab yaad nahi~........,~Bhultay jaatay hain maazi ke dayar~........,~Yaad ayien be tu sab yaad nahi~........,~Ye haqeeqat hai ke ahbab ko hum~........,~Yaad hi kab thay ke abb yaad nahi~........,~Yaad hai sair-e-charagan Nasir~........,~Dil ke bujhnay ka sabab yaad nahi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Niyat-e-shooq bhar na jaye kahien~........,~Tu be dil say utar na jaye kahien~........,~Aaj dekha hai tujhy dair ke baad~........,~Aaj ka din guzar na jaye kahien~........,~Na mila kar udaas logon say~........,~Husn tera bikhar na jaye kahien~........,~Aarzu hai ke tu yahan aye~........,~Aur phir umr bhar na jaye kahien~........,~Jee jalata hoon aur ye sochta hoon~........,~Rayegan ye hunar na jaye kahien~........,~Aao kuch dair ro hi lien Nasir~........,~Phir ye dariya utar na jaye kahien~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Naye kapray badal kar jaoun kahan aur baal banaoun kis ke liye~........,~Woh shakhs tu shehar hi chhor gaya abb khak uraoun kis ke liye~........,~Jis dhup ki dil ko thandak thi woh dhup ussi ke saath gai~........,~Inn jalti bujhti galiyon main abb khak uraoun kis ke liye~........,~Woh shehar main tha tu uss ke liye auron say milna parta tha~........,~Aab essay wessay logon ke main naaz uthaoun kis ke liye~........,~Aab shehar main iss ka badal hi nahi koi wessa jaan-e-gazal hi nahi~........,~Aewaan-e-gazal main lafzon ke guldaan sajaoun kis ke liye~........,~Muddat say koi aya na gaya sunsaan pari hai ghar ki faza~........,~Inn khali kamron main Nasir abb shamma jalaoun kis ke liye~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Nasir kya kehta phirta hai kuch na suno tu behtar hai~........,~Deewana hai deewanay ke mun na lago tu behtar hai~........,~Kal jo tha woh aaj nahi jo aaj hai kal mit jaye ga~........,~Rukhi-sukhi jo mil jaye shukar karo tu behtar hai~........,~Kal ye taab-o-tawaan na rahien gi thanda ho jaye ga lahu~........,~Naam-e-Khuda ho jawaan abhi kuch kar guzro tu behtar hai~........,~Kya janay kya rut badlay halaat ke koi theek nahi~........,~Abb ke safar main tum be humaray saath chalo tu behtar hai~........,~Kapray badal kar baal bana kar kahan chalay ho kis ke liye~........,~Raat bohat kaali hai Nasir ghar main raho tu behtar hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kuch tu ehsaas-e-ziyan tha pehlay~........,~Dil ka ye haal kahan tha pehlay~........,~Abb tu manzil be hai khud garm-e-safar~........,~Har qadam sang-e-nishaan tha pehlay~........,~Safar-e-shook ke farsang na pooch~........,~Waqt beqaid-e-makaan tha pehlay~........,~Ye alag baat ke gham raas hai abb~........,~Iss main andesha-e-jaan tha pehlay~........,~Yun na ghabraye howay phirtay thay~........,~Dil ajab kunj-e-amaan tha pehlay~........,~Abb be tu paas nahi hai lekin~........,~Iss qadar door kahan tha pehlay~........,~Dhairay daalay hain bagolon ne jahaan~........,~Uss taraf chashm-e-rawaan tha pehlay~........,~Abb woh dariya na basti na woh log~........,~Kya khabar kon kahan tha pehlay~........,~Har kharaba ye sada deta hai~........,~Main be abaad makaan tha pehlay~........,~Kya say kya ho gai dunya pyaaray~........,~Tu wahien par hai jahaan tha pehlay~........,~Hum ne abaad kia mulk-e-sukhan~........,~Kessa sunsaan saman tha pehlay~........,~Hum ne bakhshi hai khamoshi ko zubaan~........,~Dard majboor-e-fugan tha pehlay~........,~Hum ne roshan kia mamur-e-gham~........,~Warna har simt dhuan tha pehlay~........,~Gham ne phir dil ko jagaya Nasir~........,~Khana barbaad kahan tha pehlay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kuch yaadgar-e-shehar-e-sitamgar hi lay chalien~........,~Aye hain iss gali main tu pathar hi lay chalien~........,~Yun kis tarhan kat'tay ga kari dhoop ka safar~........,~Sar par khayal-e-yaar ki chadar hi lay chalien~........,~Ranj-e-safar ki koi nishani tu paas ho~........,~Thori si khak-e-kucha-e-dilbar hi lay chalien~........,~Ye keh ke chairti hai humien dilgiraftagi~........,~Ghabra gaye hain aap tu bahar hi lay chalien~........,~Iss shehar-e-becharag main jaye gi tu kahan~........,~Aa aye shab-e-firaaq tujhy ghar hi lay chalien~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kitna kaam karien gay~.........,~Abb araam karien gay~.........,~Tere diye howay dukh~.........,~Tere naam karien gay~.........,~Ahal-e-dard hi akhir~.........,~Khushiyan aam karien gay~.........,~Kon bacha hai jissay woh~.........,~Zair-e-daam karien gay~.........,~Nookari chhor ke Nasir~.........,~Apna kaam karien gay~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kisi kali ne be dekha na aankh bhar ke mujhy~.........,~Guzar gai jars-e-gul udaas kar ke mujhy~.........,~Main so raha tha kisi yaad ke shabistan main~.........,~Jaga ke chhor gaye qafilay shehar ke mujhy~.........,~Main ro raha tha muqaddar ki sakht raahon main~.........,~Urra ke lay gaya jaadu teri nazar ka mujhy~.........,~Main teri dard ki tugyaniyon main doob gaya~.........,~Pukartay rahay taray ubhar ubhar ke mujhy~.........,~Tere firaq ki raatien kabhi na bhulien gi~.........,~Mazay milay inhein raaton main umr bhar ke mujhy~.........,~Zara si dair theharnay day aye gam-e-dunya~.........,~Bula raha hai koi baam say utar ke mujhy~.........,~Phir aaj ayi thi ik mauj-e-hawa-e-tarab~.........,~Suna gai hai fasanay idhar-udhar ke mujhy~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kon iss raah say guzarta hai~.........,~Dil yun hi intizaar karta hai~.........,~Dekh kar be na dekhnay walay~.........,~Dil tujhy dekh-dekh darta hai~.........,~Shehar-e-gul main kati hai sari raat~.........,~Dekhiye din kahan guzarta hai~.........,~Dhyan ki siriyon pe pichlay pehar~.........,~Koi chup ke say paon dharta hai~.........,~Dil tu mera udaas hai Nasir~.........,~Shehar kyun sayien-sayien karta hai~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Hoti hai tere naam say wehshat kabhi kabhi~........,~Barham hui hai yun be tabiyat kabhi kabhi~........,~Aye dil kissay naseeb ye taufiq-e-iztiraab~........,~Milti hai zindagi main ye raahat kabhi kabhi~........,~Tere karam say aye alam-e-husn-e-afrien~........,~Dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi kabhi~........,~Dil ko kahan naseeb ye taufiq-e-iztiraab~........,~Milti hai zindagi main ye raahat kabhi kabhi~........,~Josh-e-junoon main dard ki tugyaniyon ke saath~........,~Ashkon main dhal gai teri soorat kabhi kabhi~........,~Tere qareeb reh ke be dil mutmin na tha~........,~Guzri hai mujh pe be ye qayamat kabhi kabhi~........,~Kuch apna hosh tha na tumhara khayal tha~........,~Yun be guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi~........,~Aye dost hum ne tark-e-muhabbat ke bawajood~........,~Mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Girifta-dil hain bohat aaj tere deewanay~........,~Khuda karay koi tere siwa na pehchanay~........,~Miti miti si umeedien thakay thakay say khayal~........,~Bujhay bujhay say nigahon main gham ke afsanay~........,~Hazaar shukar ke hum ne zubaan say kuch na kaha~........,~Ye aur baat ke pocha na ahal-e-dunya ne~........,~Baqadar-e-tashnalabi pursish-e-wafa na hui~........,~Chalak ke raah gaye teri nazar ke paimanay~........,~Khayal aa gaya mayoos rahguzaron ka~........,~Palat ke aa gaye manzil say tere deewanay~........,~Kahan hai tu ke tere intizaar main aye dost~........,~Tamaam raat sulagatay rahay dil ke viranay~........,~Umeed-e-pursish-e-gham kis say kijiye Nasir~........,~Jo mere dil pe guzarti hai koi kya janay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dil main ik lehar si uthi hai abhi~.........,~Koi taza hawa chali hai abhi~.........,~Shoor barpa hai khana-e-dil main~.........,~Koi diwaar si giri hai abhi~.........,~Kuch tu nazuk mizaj hain hum be~.........,~Aur ye chhot be nai hai abhi~.........,~Bhari dunya main ji nahi lagta~.........,~Janay kis cheez ki kami hai abhi~.........,~Tu shareek-e-sukhan nahi hai tu kya~.........,~Hum-sukhan teri khamoshi hai abhi~.........,~Yaad ke be-nishan jazeeron say~.........,~Teri awaaz aa rahi hai abhi~.........,~Shehar ke becharag galiyon main~.........,~Zindagi tujh ko dhondti hai abhi~.........,~So gaye log uss haweli ke~.........,~Ik khirki magar khuli hai abhi~.........,~Tum tu yaro abhi say uth baithay~.........,~Shehar main raat jaagti hai abhi~.........,~Waqt acha be aye ga Nasir~.........,~Gham na kar zindagi pari hai abhi~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ye jo deewanay say do char nazar aatay hain~........,~Inn main kuch sahib-e-asrar nazar aatay hain~........,~Teri mehfil ka bharam rakhtay hain so jaatay hain~........,~Warna ye log tu bedaar nazar aatay hain~........,~Door tak koi sitara hai na koi jugnu~........,~Marg-e-umeed ke asar nazar aatay hain~........,~Mere daman main shararon ke siwa kuch be nahi~........,~Aap phoolon ke khareedar nazar aatay hain~........,~Kal jissay chu nahi sakti thi farishton ki nazar~........,~Aaj woh raunaq-e-bazaar nazar aatay hain~........,~Hashr main kon gawahi meri day ga Sagar~........,~Sab tumharay hi tarafdaar nazar aatay hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahi~.........,~Mere nagmaat ko andaz-e-nawa yaad nahi~.........,~Main ne palkon say dar-e-yaar pe dastak di hai~.........,~Main woh sahil hoon jissay koi sada yaad nahi~.........,~Main ne jin ke liye raahon main bichaya tha lahu~.........,~Hum say kehtay hain wohi ahd-e-wafa yaad nahi~.........,~Kessay bhar ain sar-e-sham kisi ki aankhien~.........,~Kessay tharraye charagon ki ziya yaad nahi~.........,~Sirf dhundhlai sitaron ki chamak dekhi hai~.........,~Kab hua kon hua kis say khafa yaad nahi~.........,~Zindagi jabr-e-musalasal ki tarhan kat'ti hai~.........,~Jaanay kis jurm ki pai hai saza yaad nahi~.........,~Aao ik sajda karien alam-e-madhoshi main~.........,~Kehte hain ke Sagar ko Khuda yaad nahi~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ik wada hai kisi ka jo wafa hota nahi~........,~Marmari taaron bhari raaton main kya hota nahi~........,~Ji main ata hai ulat dain unn ke chehray say naqaab~........,~Haunsala kartay hain lekin haunsala hota nahi~........,~Shama jis ki aabru par jaan day day jhoom kar~........,~Woh patanga jal tu jata hai fana hota nahi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ik muddat hui ik zamana hua~........,~Khaak-e-gulshan main jab aashiyana hua~........,~Zulf-e-barham ki jab say shanasai hui~........,~Zindagi ka chalan mujremana hua~........,~Phool jaltay rahay chand hansta raha~........,~Aarzu ka muqammal fasana hua~........,~Daag dil ke shehanshah ke sikay banay~........,~Dil ka muflis-kada jab khazana hua~........,~Rehbar ne palat kar na dekha kabhi~........,~Rahr-o-rastay ka nishana hua~........,~Hum jahan be gaye zauq-e-sajda liye~........,~Har jaga aap ka aastana hua~........,~Dekh mizarab say khoon tapaknay laga~........,~Saaz ka tar marg-e-tarana hua~........,~Pehlay hoti thi koi wafa-parawari~........,~Abb tu Sagar ye qissa purana hua~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dukh dard ki saugaat hai dunya teri kya hai~.........,~Aashkon say bhari raat hai dunya teri kya hai~.........,~Kuch log yahan noor-e-sahar dhondh rahay hain~.........,~Tareek si ik raat hai dunya teri kya hai~.........,~Paband-e-mashiyat hai tanaffus be nazar be~.........,~Ik jazya-e-lamhaat hai dunya teri kya hai~.........,~Taqdeer ke chehray ki shikan dekh raha hoon~.........,~Aina-e-halaat hai dunya teri kya hai~.........,~Majrooh-e-taqaddus hai taqaddus ki haqeeqat~.........,~Rudaad-e-kharabat hai dunya teri kya hai~.........,~Sagar main chalkatay hain samawat ke israar~.........,~Saaqi ki karamat hai dunya teri kya hai~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Chupaye dil main ghamon ka jahaan baithay hain~.........,~Tumhari bazm main hum bayzuban baithay hain~.........,~Ye aur baat ke manzil pe hum pohanch na sakay~.........,~Magar ye kam hai ke rahon ko chhan baithay hain~.........,~Fugaan hai dard hai soz-o-firaaq-o-daag-e-aalam~.........,~Abhi tu ghar main bohat mehrbaan baithay hain~.........,~Abb aur gardish-e-taqdeer kya sataye gi~.........,~Luta ke ishq main naam-o-nishan baithay hain~.........,~Woh ik lafz-e-mohabbat hi dil ka dushman hai~.........,~Jissay shariyat-e-ehsaas maan baithay hain~.........,~Hai maykadon ki baharon say dosti Sagar~.........,~Barhaye had-e-yaqeen-o-gumaan baithay hain~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Bhooli hui sada hoon mujhy yaad kijiye~.........,~Tum say kahien mila hoon mujhy yaad kijiye~.........,~Manzil nahi hoon khizar nahi rahzaan nahi~.........,~Manzil ka raanta hoon mujhy yaad kijiye~.........,~Meri nigaah-e-shook say har gul hai dewta~.........,~Main ishq ka khuda hoon mujhy yaad kijiye~.........,~Nagmon ki ibtida thi kabhi mere naam say~.........,~Ashkon ki intiha hoon mujhy yaad kijiye~.........,~Gum-sum khari hain donon jahan ki haqeeqatien~.........,~Main unn say keh raha hoon mujhy yaad kijiye~.........,~Sagar kisi ke husn-e-tagaful shar ki~.........,~Behki hui ada hoon mujhy yaad kijiye~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Bargashta-e-yazdan say kuch bhool hui hai~........,~Bhatkay howay insan say kuch bhool hui hai~........,~Ta hadd-e-nazar sholay hi sholay hain chaman main~........,~Phoolon ke nigehbaan say kuch bhool hui hai~........,~Jis ahad main lut jaye faqeeron ki kamai~........,~Uss ahad ke sultan say kuch bhool hui hai~........,~Hanstay hain meri surat-e-maftun pe shagufay~........,~Mere dil-e-nadan say kuch bhool hui hai~........,~Huroon ki talab aur may-o-sagar say hai nafrat~........,~Zahid tere irfan say kuch bhool hui hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Tere pyar main ruswa ho kar jaye kahan deewanay log~.........,~Janay kya kya poch rahay hain ye janay pehchanay log~.........,~Jessay tumhien hum ne chaha tha kon bhala yun chahay ga~.........,~Mana aur bohat ayien gay tum say pyar jatanay log~.........,~Kessay dukhon ke mausam aye kessi aag lagi yaaro~.........,~Abb seharaon say letay hain phoolon ke nazranay log~.........,~Kal maatam beqeemat hoga aaj inn ki tauqeer karo~.........,~Dekho khoon-e-jigar say kya kya likhtay hain afasanay log~.........,~Jaantay hain ye ishq musalsal rog hai ah-o-zari ka~.........,~Phir be uss ke kochay main jaatay hain umr gawanay log~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kuch ishq tha kuch majboori thi so main ne jeewan waar diya~........,~Main kessa zinda aadmi tha ik shakhs ne mujh ko maar diya~........,~Ye saja sajaya ghar saaqi meri zaat nahi mera haal nahi~........,~Aye kaash kabhi tum jaan sako jo uss sukh ne azaar diya~........,~Main khuli hui ik sachai mujhy jaananay walay jantay hain~........,~Main ne kin logon say nafrat ki aur kin logon say pyar kia~........,~Woh ishq bohat mushkil tha magar asaan na tha yun jeena be~........,~Uss ishq ne zinda rehnay ka mujhy zarf diya pindaar diya~........,~Ik sabz shakh gulaab ki thi ik dunya apnay pyaar ki tha~........,~Woh ik bahaar jo ayi nahi uss ke liye sab kuch haar diya~........,~Main rota hoon aur aasman say taaray toot'tatay dekhta hoon~........,~Unn logon par jin logon ne mere logon ko azaar diya~........,~Woh yaar hoon yan mehboob mere yan kabhi kabhi milnay walay~........,~Ik lazzat sab ke milnay main woh zakhm diya yan pyaar diya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dayar-e-dil ki raat main chiraagh sa jala gaya~.........,~Mila nahi tu kya hua woh shaql tu dikha gaya~.........,~Judaiyon ke zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye~.........,~Tujhy be neend aa gai mujhy be sabar aa gaya~.........,~Ye subha ki safediyan ye dopehar ki zardiyan~.........,~Abb ainay main dekhta hoon main kahan chala gaya~.........,~Pukarti hain fursatien kahan gai woh sohbatien~.........,~Zameen nigal gai unhien yan aasman kha gaya~.........,~Woh dosti tu khair abb naseeb-e-dushmanan hui~.........,~Woh choti choti ranjishon ka lutf be chala gaya~.........,~Ye kis khushi ki rait par ghamon ko neend aa gai~.........,~Woh lehar kis taraf gai ye main kahan sama gaya~.........,~Gaye dinon ki laash par paray raho gay kab talak~.........,~Utho amalkasho utho ke afataab sar pe aa gaya~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Araish-e-khayal be ho dilkusha be ho~.........,~Woh dard abb kahan jissay jee chahta be ho~.........,~Ye kya ke rooz ik sa gham ik si umeed~.........,~Iss ranj-e-bekhumaar ki abb intiha be ho~.........,~Ye kya ke ik taur say guzray tamaam umr~.........,~Jee chahta hai abb koi tere siwa be ho~.........,~Too'tay kabhi tu khawab-e-shab-o-rooz ka tilism~.........,~Itnay hujoom main koi chehra naya be ho~.........,~Deewangi-e-shook ko ye dhun hai inn dinon~.........,~Ghar be ho aur be-dar-o-deewar sa be ho~.........,~Juz dil koi makaan nahi dahar main jahan~.........,~Raahzan ka khauf be na rahay dar khula be ho~.........,~Har zarra ik mahmil-e-ibrat hai dasht ka~.........,~Lekin kissay dikhaon koi dekhta be ho~.........,~Har shay pukarti hai paas-e-parda-e-sukoot~.........,~Lekin kissay sunaon koi hamnawa be ho~.........,~Fursat main sun shaguftagi-e-guncha ki sada~.........,~Ye woh sukhan nahi jo kisi ne kaha be ho~.........,~Baitha hai ik shakhs mere paas dair say~.........,~Koi bhala-sa ho tu humien dekhta be ho~.........,~Bazm-e-sukhan be ho sukhan-e-garm ke liye~.........,~Taus bolta ho tu jangal hara be ho~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Akhm-e-tanhai main khushbu-e-hina kis ki thi~........,~Saya deewar pe mera tha sada kis ki thi~........,~Uss ki raftaar say lipti rahi meri aankhien~........,~Uss ne mur kar be na dekha ke wafa kis ki thi~........,~Waqt ki tarhan dabay paon ye kon aya hai~........,~Main aandhera jissay samjha woh qaba kis ki thi~........,~Aansuon say hi sahi bhar gaya daman mera~........,~Haath tu main ne uthaye thay dua kis ki thi~........,~Meri aahon ki zubaan koi samajhta kessay~........,~Zindagi itni dukhi mere siwa kis ki thi~........,~Aag say dosti uss ki thi jala ghar mera~........,~Di gai kis ko saza aur khata kis ki thi~........,~Main ne binaiyan bo kar be aandhere kaat'tay~........,~Kis ke bas main thi zameen abr-o-hawa kis ki thi~........,~Chhor di kis liye tu ne Muzaffar dunya~........,~Justaju si tujhy har waqt bata kis ki thi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Shoola hoon bharaknay ki guzarish nahi karta~.........,~Sach munh say nikal jata hai koshish nahi karta~.........,~Girti hui deewar ka humdard hoon lekin~.........,~Charhtay howay suraj ki parastish nahi karta~.........,~Maathay ke paseenay ki mehak aye tu dekhien~.........,~Woh khoon mere jism main gardish nahi karta~.........,~Humdardi-e-ahbaab say darta hoon Muzaffar~.........,~Main zakhm tu rakhta hoon numaish nahi karta~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Meri zindagi kisi aur ki mere naam ka koi aur hai~........,~Mera aks hai sar-e-aina pasay aina koi aur hai~........,~Meri dharkanon main hai chap si ye judai be hai milaap si~........,~Mujhy kya pata mere dil bata mere sath kya koi aur hai~........,~Na gaye dinon ko khabar meri na shareek-e-haal nazar teri~........,~Tere dais main mere bhais main koi aur tha koi aur hai~........,~Woh meri taraf nigran rahay mera dhyan janay kahan rahay~........,~Meri aankh main kaien suratien mujhy chahta koi aur hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Maana ke musht-e-khak say barh kar nahi hoon main~........,~Lekin hawa ke raham-o-karam par nahi hoon main~........,~Insan hoon dharaktay howay dil pe haath rakh~........,~Yun doob kar na dekh samandar nahi hoon main~........,~Chehray pe mal raha hoon siyahi naseeb ki~........,~Aina haath main hai sikandar nahi hoon main~........,~Ghalib teri zameen main likhi tu hai ghazal~........,~Tere kad-e-sukhan ke barabar nahi hoon main~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kya bhala mujh ko parakhnay ka nateeja nikla~.........,~Zakhm-e-dil aap ki nazron say be gehra nikla~.........,~Toor kar dekh liya aina-e-dil tu ne~.........,~Teri surat ke siwa aur bata kya nikla~.........,~Tishnagi jam gai pathar ki tarhan honton par~.........,~Doob kar tere dariya me main pyasa nikla~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Zinda rahien tu kya hai jo mar jayien hum tu kya~.........,~Dunya main khamoshi say guzar jayien hum tu kya~.........,~Hasti hi apni kya hai zamanay ke samnay~.........,~Ik khawab hain jahan main bikhar jayien hum tu kya~.........,~Abb kon muntazir hai humaray liye wahan~.........,~Shaam aa gai hai laut ke ghar jayien hum tu kya~.........,~Dil ki khalish tu saath rahay gi tamaam umr~.........,~Dariya-e-gham ke paar utar jayien hum tu kya~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Uss simt mujh ko yaar ne janay nahi diya~.........,~Ik aur shehar-e-yaar main anay nahi diya~.........,~Kuch aur waqt chahtay thay ke sochien tere liye~.........,~Tu ne woh waqt hum ko zamanay nahi diya~.........,~Manzil hai iss mehak ki kahan kis chaman main hai~.........,~Iss ka pata safar main hawa ne nahi diya~.........,~Roka ana ne khawish-e-besood say mujhy~.........,~Uss bhut ko apna haal sunanay nahi diya~.........,~Hai jis ke baad ahad-e-zawaal-ashna Munir~.........,~Itna kamaal hum ko Khuda ne nahi diya~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Phool thay baadal be tha aur woh haseen surat be thi~.........,~Dil main lekin aur hi ik shaql ki hasrat be thi~.........,~Jo hawa main ghar banaye kash koi dekhta~.........,~Dasht main rehtay thay par tameer ki adat be thi~.........,~Keh gaya main samnay uss ke jo dil ka mudda~.........,~Kuch tu mausam be ajab tha kuch meri himmat be thi~.........,~Ajnabi shehron main rehtay umr saari kat gai~.........,~Go zara se faslay par ghar ki har raahat be thi~.........,~Kya qayamat hai Munir abb yaad be aatay nahi~.........,~Woh puranay aashna jin say humien ulfat be thi~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Gham ka woh zoor abb mere andar nahi raha~........,~Iss umar me main itna samarwar nahi raha~........,~Iss ghar main jo kashish thi gai unn dinon ke saath~........,~Iss ghar ka saya abb mere sar par nahi raha~........,~Woh husn-e-naubahar abaad shooq jism sun~........,~Rehna tha uss ko saath mere par nahi raha~........,~Mujh main hi kuch kami thi ke behtar main unn say tha~........,~Main shehar main kisi ke barabar nahi raha~........,~Rehbar ko unn ke hal ke ho kis tarhan khabar~........,~Logon ke darmiyan woh akar nahi raha~........,~Wapas na ja wahan ke tere shehar main Munir~........,~Jo jis jaga pe tha woh wahan par nahi raha~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Chaman main rang-e-bahaar utra tu main ne dekha~........,~Nazar say dil ka gubaar utra tu main ne dekha~........,~Main neem shab azma ke hasrat ko dekhta tha~........,~Chaman main woh husn zaar utra tu main ne dekha~........,~Khumar main thi woh chehra kuch aur lag raha tha~........,~Dam-e-sahar jab khumar utra tu main ne dekha~........,~Gali ke bahar tamaam manzil badal gaye thay~........,~Jo saya ik ku-e-yaar utra tu main ne dekha~........,~Ik aur dariya ka samna tha Munir mujh ko~........,~Main ik dariya ke paar utra tu main ne dekha~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Bechain bohat phirna ghabaraye howay rehna~.......,~Ik aag si jazbon ki bahakaye howay rehna~.......,~Chalkaye howay chalana khushbu-e-begani ki~.......,~Ik baag sa tha apna mahkaye howay rehna~.......,~Iss husn ka shewa hai jab ishq nazar aye~.......,~Parday main chalay jana sharmaye howay rehna~.......,~Ik sham si kar rakhna kajal ke karishmay say~.......,~Ik chand sa aankhon main chamkaye howay rehna~.......,~Aadat hi bana li hai tum ne tu Munir apni~.......,~Jis shehar main be rehna uktaye howay rehna~.......,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Roya karien gay aap be pehron issi tarhan~.........,~Atka kahien jo aap ka dil be meri tarhan~.........,~Na tab hijhar main hai na araam wasl main~.........,~Kambakht dil ko chain nahi hai kisi tarhan~.........,~Gar chup rahien tu gham-e-hijhran say chhut jayien~.........,~Kehtay tu hain bhalay ke woh lekin buri tarhan~.........,~Na jaye wan banay hai na bin jaye chain hai~.........,~Kya kijiye humien tu hai mushkil sabhi tarhan~.........,~Lagti hain gaaliyan be teri mujhy kya bhali~.........,~Qurban tere phir mujhy keh lay issi tarhan~.........,~Hoon janbalab butan-e-sitamgar ke haath say~.........,~Kya sab jahan main jeetay hain Momin issi tarhan~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Nawak andaaz jidhar dida-e-janan hoon gay~........,~Neem-bismil kaien hoon gay kaien bejaan hoon gay~........,~Tab-e-nazara nahi aina kya dekhnay doon~........,~Aur ban jayien gay tasveer jo hairan hoon gay~........,~Tu kahan jaye gi kuch apna thikana kar lay~........,~Hum tu kal khawab-e-aadam main shab-e-hijhran hoon gay~........,~Phir bahaar ayi wohi dasht-e-nawardi ho gi~........,~Phir wohi paon wohi khar-e-muglaan hoon gay~........,~Nasiha dil main tu itna tu samajh apnay ke hum~........,~Laakh nadaan howay kya tujh say be nadaan hoon gay~........,~Ik hum hain ke howay essay pasheman ke bas~........,~Ik woh hain ke jinhien chah ke arman hoon gay~........,~Minnat-e-hazrat-e-isa na uthayien gay kabhi~........,~Zindagi ke liye sharminda-e-ehsaan hoon gay~........,~Umr tu saari kati ishq-e-butan main Momin~........,~Abb akhiri waqt main kya khaak musalaman hoon gay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Jalta hoon hijhar-e-shaheed-o-yaad-e-sharab main~.........,~Shooq-e-sawab ne mujhy dala azaab main~.........,~Kehtay hain tum ko hosh nahi iztaraab main~.........,~Saray gilay tamaam howay ik jawab main~.........,~Phaili shameem-e-yaar mere ashk-e-surkh say~.........,~Dil ko gazab fishar hua pech-o-taab main~.........,~Rehtay hain jama kucha-e-janan main khas-o-aam~.........,~Abaad ik ghar hai jahan-e-kharab main~.........,~Badnaam mere giriya-e-ruswa say ho chuk~.........,~Abb uzar kya raha nigah-e-behijaab main~.........,~Matlab ki justaju ne ye kya haal kar diya~.........,~Hasrat be nahi dil-e-nakamayaab main~.........,~Nakamiyon say kam raha umr bhar humien~.........,~Peeri main yas hai jo hawas thi shabab main~.........,~Kya jalway yaad aye ke apni khabar nahi~.........,~Be-bada mast hoon main shab-e-mahtaab main~.........,~Paiham sajood pa-e-sanam par dam-e-wida~.........,~Momin Khuda ko bhool gaye iztaraab main~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Darr tu mujhy kis ka hai ke main kuch nahi kehta~........,~Par haal ye afshan hai ke main kuch nahi kehta~........,~Naseeh ye gila hai ke main kuch nahi kehta~........,~Tu kab meri sunta hai ke main kuch nahi kehta~........,~Kuch gair say honthon main kahay hai pe jo pocho~........,~Tu wahien mukarta hai ke main kuch nahi kehta~........,~Naseeh ko jo chahon tu abhi theek bana don~........,~Par khauf Khuda ka hai ke main kuch nahi kehta~........,~Chup ke say tere milnay ka ghar walon main tere~........,~Iss waastay charcha hai ke main kuch nahi kehta~........,~Aye charagaro qabil-e-darman nahi ye dard~........,~Warna mujhy sauda hai ke main kuch nahi kehta~........,~Har waqt hai dushnam har ik baat pe taana~........,~Phir iss pe be kehta hai ke main kuch nahi kehta~........,~Momin ba-Khuda sihaar bayani ka jabhi tak~........,~Har ik ko dawa hai ke main kuch nahi kehta~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dekhna qismat ke aap apnay pe rashk aa jaye hai~........,~Main ussay dekhon bhala kab mujh say dekha jaye hai~........,~Haath dho dil say yehi garmi gar andeshay main hai~........,~Abgina tundi-e-sahaba say pighala jaye hai~........,~Gair ko yarab woh kyun kar mana-e-gustakhi karay~........,~Gar haya be uss ko ati hai tu sharma jaye hai~........,~Shook ko ye laat ke hardam nala khenchay jaiye~........,~Dil ke woh halaat ke dam lenay say ghabara jaye hai~........,~Door chashm-e-baad teri bazm-e-tarab say wah wah~........,~Nagma ho jata hai waan gar nala mera jaye hai~........,~Garchay hai tarz-e-tagaful pardadar-e-raaz-e-ishq~........,~Par hum essay khoye jaatay hain ke woh pa jaye hai~........,~Uss ki bazmaraiyan sunkar dil-e-ranjoor yan~........,~Misl-e-naqsh-e-mudda-e-gair baitha jaye hai~........,~Ho ke aashiq woh parirukh aur nazuk ban gaya~........,~Rang khulta jaye hai jitna ke urata jaye hai~........,~Naqsh ko uss ke musawwir par be kya kya naaz hai~........,~Khenchta hai jis qadar utna hi khinchta jaye hai~........,~Saya mera mujh say misl-e-dud bhagay hai Asad~........,~Paas mujh atishba-jaan ke kis say thehra jaye hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dayam para hua tere dar par nahi hoon main~.........,~Khak essi zindagi pe ke pathar nahi hoon main~.........,~Kyun gardish-e-mudam say ghabra na jaye dil~.........,~Insan hoon pyala-o-sagar nahi hoon main~.........,~Ya Rab zamana mujh ko mitata hai kis liye~.........,~Lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hoon main~.........,~Had chahiye saza main uqubat ke waastay~.........,~Aakhir gunahgar hoon kafir nahi hoon main~.........,~Kis waastay azeez nahi jaantay mujhy~.........,~Laal-o-zumarud-o-zaar-o-gauhar nahi hoon main~.........,~Rakhtay ho tum qadam meri aankhon say kyun daraig~.........,~Rutbay main mahr-o-maah say kamtar nahi hoon main~.........,~Kartay ho mujh ko mana-e-qadambos kis liye~.........,~Kya aasman ke be barabar nahi hoon main~.........,~Ghalib wazifakhwar ho do shaah ko dua~.........,~Woh din gaye ke kehtay thay naukar nahi hoon main~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dard minnat kashay-dawa na hua~.........,~Main na acha hua bura na hua~.........,~Jama kartay ho kyun raqeebon ko~.........,~Ik tamasha hua gila na hua~.........,~Hum kahan qismat azmanay jayien~.........,~Tu hi jab khanjar azma na hua~.........,~Kitnay shirin hain tere lab ke raqeeb~.........,~Galiyan khak bemaza na hua~.........,~Hai khabar garm unn ke anay ki~.........,~Aaj hi ghar main boriya na hua~.........,~Kya woh namard ki khudai thi~.........,~Bandagi main mera bhala na hua~.........,~Jaan di - di hui ussi ki thi~.........,~Haq tu yun hai ke haq ada na hua~.........,~Zakhm gar dab gaya lahu na thama~.........,~Kaam gar ruk gaya rawa na hua~.........,~Rahzani hai ke dilsitanay hai~.........,~Leek dil dilsitaan rawa na hua~.........,~Kuch tu parhiye ke log kehtay hain~.........,~Aaj Ghalib gazalsara na hua~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aah ko chahiye ik umr asar honay tak~.........,~Kon jeeta hai teri zulf ke sar honay tak~.........,~Dam har mauj main hai halqa-e-sadkam-e-nahang~.........,~Dekhien kya guzare hai qatray pe gauhar honay tak~.........,~Aashiqi sabr-talab aur tamanna betaab~.........,~Dil ka kya rang karon khoon-e-jigar honay tak~.........,~Hum ne mana ke taghaful na karo gay lekin~.........,~Khaak ho jayien gay hum tum ko khabar honay tak~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aarzuien hazaar rakhtay hain~........,~Tu be hum dil ko maar rakhtay hain~........,~Barq kam haunsla hai hum be tu~........,~Dil ik beqaraar rakhtay hain~........,~Gair hai muraad-e-inayat hai~........,~Hum be tu tum say pyar rakhtay hain~........,~Na nigaah na payaam na wada~........,~Naam ko hum be yaar rakhtay hain~........,~Hum say khush zam-zama kahan yun tu~........,~Lab-o-lahja hazaar rakhtay hain~........,~Chotay dil ke hain butan mash'hoor~........,~Bas yehi aietbaar rakhtay hain~........,~Phir be kartay hain Mir sahib ishq~........,~Hain jawaan ikhtiyar rakhtay hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Andheron say hui na rihai tamaam shab~........,~Mujh dil jalay ko neend na ayi tamaam shab~........,~Chamak chali gai thi sitaron ki subha tak~........,~Ke aasman say didabarai tamaam shab~........,~Jab main ne shuru qissa kia aankhien khol dien~........,~Yaqeeni thi mujh ko chashm numai tamaam shab~........,~Waqt-e-siyaah ne dair main kal yawari si ki~........,~Thi dushmanon say inn ki larai tamaam shab~........,~Taaray say teri palkon pe qatray thay ashk ke~........,~Day rahay hain Mir dikhai tamaam shab~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Pochtay ho tu suno kessay basar hoti hai~...........,~Raat khairat ke sadqay ki sahar hoti hai~...........,~Sans bharnay ko tu jeena nahi kehtay ya Rab~...........,~Dil hi dukhta hai na abb asteen tar hoti hai~...........,~Jessay jaagi hui aankhon main chubhien kanch ke khawab~...........,~Raat iss tarhan deewano ki basar hoti hai~...........,~Gham hi dushman hai mera gham hi ko dil dhoondta hai~...........,~Ik lamhay ki judai be aghar hoti hai~...........,~Ik markaz ki talash ik bhatakti khushboo~...........,~Kabhi manzil kabhi tamheed-e-safar hoti hai~...........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Hum magub-e-guman thay pehlay~.........,~Phir wahien hain ke jahan thay pehlay~.........,~Khwahishien jhurriyan ban kar ubhrien~.........,~Zakhm seenay main nihaan thay pehlay~.........,~Abb tu har baat pe ro detay hain~.........,~Waqif-e-sud-o-ziyan thay pehlay~.........,~Dil say jessay koi kaanta nikla~.........,~Ashk aankhon say rawaan thay pehlay~.........,~Abb faqat anjuman arai hain~.........,~Aietabaar-e-dil-o-jaan thay pehlay~.........,~Dosh pe sar hai ke hai barf jami~.........,~Hum tu sholon ki zubaan thay pehlay~.........,~Abb tu har taza sitam hai tasleem~.........,~Haadsay dil pe garan thay pehlay~.........,~Meri humzaad hai tanhai meri~.........,~Essay rishtay be kahan thay pehlay~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Jag main akar idhar udhar dekha~.........,~Tu hi aaya nazar jidhar dekha~.........,~Jaan say ho gaye badan khali~.........,~Jis taraf tu ne aankh bhar ke dekha~.........,~Nala fariyaad aah-o-zari~.........,~Aap say ho saka so kar dekha~.........,~Unn labon ne ki na masihai~.........,~Hum ne sau-sau tarhan say mar dekha~.........,~Zoor aashiq mizaj hai koi~.........,~Dard ko qisa-e-mukhtasar dekha~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Apnay tain tu har ghari gham hai aalam hai daag hai~.........,~Yaad karay humien kabhi kab ye tujhy dimaag hai~.........,~Jee ki khushi nahi giro sabz-o-gul ke haath kuch~.........,~Dil ho shagufta jis jaga woh hi chaman hai baag hai~.........,~Kis ki ye chashm-e-mast ne bazm ko yun chunka diya~.........,~Masl-e-habab sar nagun sharam say har ayaag hai~.........,~Jalatay hi jaltay subha tak guzri ussay tamaam shab~.........,~Dil hai ke shola hai koi shama hai yan chiragh hai~.........,~Paiyien kis jaga bata aye but-e-bewafa tujhy~.........,~Umr-e-guzashta ki tarhan gham hi sada suraag hai~.........,~Sair-e-bahar-o-baag say hum ko muaf kijiye~.........,~Uss ke khayal-e-zulf say dard kissay faraag hai~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Zara si dair ko aaye thay khawab aankhon main~........,~Phir uss ke baad musalsal azaab aankhon main~........,~Woh jis ke naam ki nisbat say roshan tha wajood~........,~Khatak raha hai wohi aftaab aankhon main~........,~Jinhien mata-e-dil-o-jaan samajh rahay thay hum~........,~Woh ainay be howay behijab aankhon main~........,~Ajab tarhan ka hai mausam ke khak urti hai~........,~Woh din be thay ke khilay thay gulaab aankhon main~........,~Meri ghazal teri wehshaton ki khair ki hai~........,~Bohat dinon say bohat iztarab aankhon main~........,~Na janay kessi qayamat ka peshkhema hai~........,~Ye uljhanay teri be-intasaab aankhon main~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Khawab ki tarhan bikhar janay ko ji chahta hai~........,~Essi tanhai ke mar janay ko ji chahta hai~........,~Ghar ki wehshat say larzta hoon magar janay kyun~........,~Shaam hoti hai to ghar janay ko ji chahta hai~........,~Doob jaon tu koi mauj nishan tak na bataye~........,~Essi nadi main utar janay ko ji chahta hai~........,~Kabhi mil jaye tu rastay ki thakan jaag paray~........,~Essi manzil say guzar janay ko ji chahta hai~........,~Wohi paiman jo kabhi ji ko khush aya tha bohat~........,~Ussi paiman say mukar janay ko ji chahta hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Teri guftagu main hai jo chashni jo tere labon main halawatien~........,~Na saroor woh fasl-e-bahaar main na gulon main latafatien~........,~Kahan reh gaien teri nigahatien woh saba kidar ko nikal gai~........,~Teri ahaton ko taras gaien mere jism-o-jaan ki sama'atien~........,~Tere ang ang main loch hai mere dil ke sooz-o-gadaaz ka~........,~Mere khoon-e-dil say raqam huien tere rang-o-bu ki hikayatien~........,~Meri chashm-e-gham dil-e-muztarib gham-e-aarzu gham-e-justaju~........,~Liye phir raha hoon nagar nagar kisi meharban ki amanatien~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ye kya muqaam hai woh nazaray kahan gaye~........,~Woh phool kya howay woh sitaray kahan gaye~........,~Yaran-e-bazm-e-jurrat-e-rindana kya hui~........,~Unn mast ankhariyon ke isharay kahan gaye~........,~Ik aur daur ka woh taqaza kidar gaya~........,~Umray howay woh hosh ke dharay kahan gaye~........,~Uth uth ke baith chuki gard raah ki~........,~Yaaro qafilay thakay haaray kahan gaye~........,~Betaab tere dard say thay charagar Hafeez~........,~Kya janiye woh dard ke maaray kahan gaye~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Koi chara nahi dua ke siwa~.........,~Koi sunta nahi Khuda ke siwa~.........,~Mujh say kya ho saka wafa ke siwa~.........,~Mujh ko milta be kya saza ke siwa~.........,~Dil sabhi kuch zuban par laya~.........,~Ik faqat arz-e-mudda ke siwa~.........,~Barsar-e-sahil-e-muqaam yahan~.........,~Kon ubhra hai nakhuda ke siwa~.........,~Dil sabhi kuch zuban par laya~.........,~Ik faqat arz-e-mudda ke siwa~.........,~Doston ke ye mukhali sana tir~.........,~Kuch nahi meri hi khata ke siwa~.........,~Ye Hafeez ah ah par akhir~.........,~Kya kahien dost wah wah ke siwa~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Khoon ban kar munasib nahi dil bahay~.........,~Dil nahi maanta kon dil say kahay~.........,~Teri dunya main aaye bohat din rahay~.........,~Sukh ye paya ke hum ne bohat dukh sahay~.........,~Bulbulien gul ke aansu nahi chahtien~.........,~Unn ko apnay hi margoob hain chehchahay~.........,~Aalam-e-naza main sun raha hoon main kya~.........,~Ye azizon ki chikhien hain yan qehqahay~.........,~Iss naye husn ki be adaon pe hum~.........,~Mar mitien gay bashartay ke zinda rahay~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Mohabbat karnay walaye kam na hoon gay~.........,~Teri mehfil main lekin hum na hoon gay~.........,~Zamanay bhar ke gham yan ik tera gham~.........,~Ye gham hoga tu kitnay gham na hoon gay~.........,~Dilon ki uljhanien barti rahien gi~.........,~Aghar kuch mashwaray baham na hoon gay~.........,~Aghar tu ittefaqan mil be jaye~.........,~Teri furqat ke sadmien kam na hoon gay~.........,~Hafeez unn say main jitna badguman hoon~.........,~Woh mujh say iss qadar barham na hoon gay~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dil main abb yun tere bhoolay howay gham aatay hain~.........,~Jessay bichray howay kabhi main sanam aatay hain~.........,~Ik ik kar ke howay jaatay hain taaray roshan~.........,~Meri manzil ki taraf tere qadam aatay hain~.........,~Raqs-e-may taiz karo saaz ki lay taiz karo~.........,~Su-e-maikhana safiran-e-haram aatay hain~.........,~Kuch hum ko nahi ehsan uthanay ka dimaag~.........,~Woh tu jab aatay hain mael-ba-karam aatay hain~.........,~Aur kuch dair na guzaray shab-e-furqat say kaho~.........,~Dil be kam dukhta hai woh yaad be kam aatay hain~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Bohat mila na mila zindagi say gham kya hai~........,~Mata-e-dard baham hai tubesh-o-kam kya hai~........,~Hum ik umr say waqif hain abb na samjhao~........,~Ke lutf kya hai mere meharban sitam kya hai~........,~Karay na jag main alaw tu shair kis maqsad~........,~Karay na shehar main jal-thal tu chashm-e-nam kya hai~........,~Ajal ke haath koi aa raha hai parwana~........,~Na janay aaj ke fehrist main raqam kya hai~........,~Sajao bazm ghazal gao jam taza karo~........,~Bohat sahi gham-e-geti sharab kam kya hai~........,~Lihaz main koi kuch door sath chalta hai~........,~Wagarna dahar main abb khizr ka bharam kya hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Takra hi gai meri nazar unn ki nazar say~........,~Dhona hi para hath mujhy qalb-o-jigar say~........,~Izhar-e-mohabbat na kia bas issi dar say~........,~Essa na ho gir jaon kahien unn ki nazar say~........,~Aye zauq-e-talab josh-e-junoon ye tu bata day~........,~Jana hai kahan aur hum aye hain kidar say~........,~Fayyaz abb aya hai junoon josh pe apna~........,~Hansta hai zamana main guzarta hoon jidar say~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Na tum mere na dil mera na jaan-e-natavan meri~.........,~Tasavur main be aa sakti nahi majbooriyan meri~.........,~Na tum aye na chain aya na maut ayi shab-e-wada~.........,~Dil-e-muztar tha main tha aur thi betabiyan meri~.........,~Abas nadaniyon par aap apni naaz kartay hain~.........,~Abhi dekhi kahan hain aap ne nadaniyan meri~.........,~Ye manzil ye haseen manzil jawani naam hai jis ka~.........,~Yahan say aur agay barhna aye umr-e-rawaan meri~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kam nahi meri zindagi ke liye~........,~Chain mil jaye do ghari ke liye~........,~Aye dil-e-zaar kon hai tera~........,~Kyun tarapta hai yun kisi ke liye~........,~Kitnay saman kar liye paida~........,~Itni choti si zindagi ke liye~........,~Essa Faiyyaz gham ne ghera hai~........,~Lab taras hi gaye hansi ke liye~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kaien badnamiyan hoti kaien ilzaam sar jatay~.........,~Magar aye kaash hum dono humien dono pe mar jatay~.........,~Aghar tum khawaab hotay tu tumhien aankhon main rakh letay~.........,~Na goya neend say phir jaagtay hat'ta ke marr jatay~.........,~Aghar hum roshni hotay tu phir ehsaas ki lau say~.........,~Zameen ko chhor detay mill ke dono chand par jatay~.........,~Aghar tum phool hotay tu tumhari khushboo main rehtay~.........,~Samandar ki tarhan hotay tu hum tum main utar jatay~.........,~Humaray khal-o-khadd kessay hain ye abb tak nahi dekha~.........,~Aghar tum aaina hotay tu hum kitnay sanwar jatay~.........,~Aghar sooraj hi hotay tu phir apni dhoop ki surat~.........,~Wajood-e-yaar ki dharti pe SHAHI hum bikhar jatay~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Uzar aanay main be hai aur bhulatay be nahi~.........,~Bais-e-tark-e-mulaqaat batatay be nahi~.........,~Khoob parda hai ke chilman say lagay baithay hain~.........,~Saaf chupatay be nahi samanay aatay be nahi~.........,~Ho chuka qata ta’lluq tu jafayin kyun hoon~.........,~Jin ko matlab nahi rehta woh satatay be nahi~.........,~Zist say tang ho aye Daag tu jeetay kyun ho~.........,~Jaan pyari be nahi jaan say jaatay be nahi~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Unn ke ik jaan-nisaar hum be hain~.........,~Hain jahan sau-hazaar hum be hain~.........,~Tum be bechain hum be hain bechain~.........,~Tum be ho beqaraar hum be hain~.........,~Aye falaq keh tu kya irada hai~.........,~Aish ke khvastagar hum be hain~.........,~Shehar khali kiye dukan kessi~.........,~Ik hi wada-khawaar hum be hain~.........,~Sharm samajhay tere tagaful ko~.........,~Waah kya hoshiyar hum be hain~.........,~Tum aghar apni khu ke ho mashooq~.........,~Apnay matlab ke yaar hum be hain~.........,~Jis ne chaha phansa liya hum ko~.........,~Dil-baron ke shikaar hum be hain~.........,~Kon sa dil hai jis main daag nahi~.........,~Ishq ke yaadgar hum be hain~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Sitam hi karna jafa hi karna nigah-e-lutf kabhi na karna~.........,~Tumhien qasam hai humaray sar ki humaray haq main kami na karna~.........,~Kahan ka aana kahan ka jana woh jantay hi nahi ye rasmien karna~.........,~Wahan hai waday ki be ye surat kabhi tu karna kabhi na karna~.........,~Humari mayyat pe tum jo aana tu chaar aansu baha ke jana~.........,~Zara rahay paas-e-abaru be kahien humari hansi na karna~.........,~Woh ik humara tariq-e-ulfat ki dushmanon say be mil ke chalna~.........,~Ye ik sheva tera sitamagar ke dost say dosti na karna~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Rasm-e-ulfat sikha gaya koi~........,~Dil ki dunya pe cha gaya koi~........,~Ta qayamat kisi tarhan na bujhy~........,~Aag essi laga gaya koi~........,~Dil ki dunya ujaar si kyun hai~........,~Kya yahan say chala gaya koi~........,~Waqt-e-rukhsat galay laga kar Daag~........,~Hansatay hansatay rula gaya koi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ranj ki jab guftagu honay lagi~........,~Aap say tum tum say tu honay lagi~........,~Chahiye paigamabar dono taraf~........,~Lutf kya jab du-ba-du honay lagi~........,~Meri rusawai ki naubat aa gai~........,~Unn ki shohrat qu-ba-qu honay lagi~........,~Nazar bar gai hai iss qadar~........,~Aarzu ki aarzu honay lagi~........,~Abb tu mil kar dekhiye kya rang ho~........,~Phir humari justaju honay lagi~........,~Daag itraye howay phiratay hain aap~........,~Shayad unn ki abaru honay lagi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Parday parday main ataab achay nahi~.........,~Essay andaaz-e-hijaab achay nahi~.........,~Maykaday main ho gaye chup-chaap kyun~.........,~Aaj kuch mast-e-sharaab achay nahi~.........,~Aye falak kya hai zamanay ki bisaat~.........,~Dam-ba-dam ke inqalaab achay nahi~.........,~Zazm-e-vaiz be-sharaan achay nahi~.........,~Essay jalasay be-sharaab achay nahi~.........,~Tauba kar lien hum may-o-mashooq say~.........,~Be-maza hain ye sawaab achay nahi~.........,~Ik najumi Daag say kehta tha aaj~.........,~Aap ke din aye janab achay nahi~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Na rawa kahiye na saza kahiye~........,~Kahiye kahiye mujhy bura kahiye~........,~Dil main rakhnay ki baat hai gham-e-ishq~........,~Iss ko hargiz na barmala kahiye~........,~Woh mujhy qatl kar ke kehtay hain~........,~Manta hi na tha ye kya kahiye~........,~Aa gai aap ko masihai~........,~Marnay walon ko marhaba kahiye~........,~Hosh uranay lagay raqeebon ke~........,~Daag ko aur bewafa kahiye~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Mohabbat main karay kya kuch kisi say ho nahi sakta~........,~Mera marna be tu meri khushi say ho nahi sakta~........,~Na rona hai tareeqay ka na hansna hai saleeqay ka~........,~Pareshani main koi kaam jee say ho nahi sakta~........,~Khuda jab dost hai aye Daag kya dushman say andesha~........,~Humara kuch kisi ki dushmani say ho nahi sakta~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Khatir say yan lihaaz say main maan tu gaya~.........,~Jhoothi qasam say aap ka imaan tu gaya~.........,~Dil lay ke muft kehtay hain kuch kaam ka nahi~.........,~Ulti shikayatien rahi ehsaan tu gaya~.........,~Abb shay-e-raaz-e-ishq go zillatien hui~.........,~Lekin ussay jat'ta tu diya jaan tu gaya~.........,~Dekha hai butkaday main jo aye shiekh kuch na kuch~.........,~Imaan ki tu ye hai ke imaan tu gaya~.........,~Darta hoon dekh kar dil-e-be-arazu ko main~.........,~Sunsaan ghar ye kyun na ho mehmaan tu gaya~.........,~Go namabar say khush na hua par hazaar shukar~.........,~Mujh ko woh mere naam say pehchan tu gaya~.........,~Hosh-o-havas-o-tab-o-tavan Daag ja chuk~.........,~Abb hum be janay walay hain samaan tu gaya~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kabhi ki hai hawas kabhi ku-e-butan ki hai~........,~Mujh ko khabar nahi meri mitti kahan ki hai~........,~Kuch taazgi ho lazzat-e-azar ke liye~........,~Har dam mujhy talash naye aasman ki hai~........,~Hasrat baras rahi hai mere mazaar say~........,~Kehtay hain sab ye qabar kisi naujawan ki hai~........,~Qasid ki guftagu say tasalli ho kis tarhan~........,~Chipti nahi woh jo teri zuban ki hai~........,~Sun kar mera fasana-e-gham uss ne ye kaha~........,~Ho jaye jhooth sach yehi khubi bayaan ki hai~........,~Kyun kar na aye khuld say adam zameen par~........,~Mauzun wahien woh khoob hai jo shay jahaan ki hai~........,~Urdu hai jis ka naam humien jantay hain Daag~........,~hindustan main dhum humari zuban ki hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Har baar maangti hai naya chashm-e-yaar dil~........,~Ik dil ke kis tarhan say banaon hazaar dil~........,~Pocha jo uss ne talib-e-rooz-e-jaza hai kon~........,~Nikla meri zuban say be-ikhtiyar dil~........,~Kartay ho ahad-e-wasl tu itna rahay khayal~........,~Paimaan say ziada hai napayadar dil~........,~Uss ne kaha hai sabar paray ga raqeeb ka~........,~Lay aur beqaraar hua aye beqaraar dil~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Gazab kia tere waday pe aietabar kia~.........,~Tamaam raat qayamat ka intizaar kia~.........,~Hansa hansa ke shab-e-wasl ashk-baar kia~.........,~Tasalliyan mujhy de-de ke beqaraar kia~.........,~Hum essay mahv-e-nazara na thay jo hoosh aata~.........,~Magar tumhaaye tagaful ne hoshiyar kia~.........,~Fasana-e-shab-e-gham unn ko ik kahani thi~.........,~Kuch aietabar kia aur kuch na-aietabar kia~.........,~Ye kis ne jalwa humaray sar-e-mazaar kia~.........,~Ke dil say shoor utha haye beqaraar kia~.........,~Tarap phir aye dil-e-nadan ke gair kehtay hain~.........,~Aakhir kuch na bani sabar ikhtiyar kia~.........,~Bhula bhula ke jataya hai unn ko raaz-e-nihaan~.........,~Chipa chipa ke mohabbat ko ashkaar kia~.........,~Tumhien tu wada-e-deedar hum say karna tha~.........,~Ye kya kia ke jahan ko umeedwaar kia~.........,~Ye dil ko tab kahan hai ke ho malandesh~.........,~Unho ne wada kia hum ne aietabar kia~.........,~Na poch dil ki haqeeqat magar ye kehtay hain~.........,~Woh beqaraar rahay jis ne beqaraar kia~.........,~Kuch agay davar-e-mahashar say hai umeed mujhy~.........,~Kuch aap ne mere kehnay ka aietabar kia~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Gham say kahien najaat milay chain payien hum~........,~Dil khoon main nahaye tu ganga nahayien hum~........,~Jannat main jayien hum ke jahannum main jayien hum~........,~Mil jaye tu kahien na kahien tujh ko payien hum~........,~Mumkin hai ye ke waday pe apnay woh aa be jaye~........,~Mushkil ye hai ke aap main uss waqt aayien hum~........,~Naraz ho Khuda tu karien bandagi say khush~........,~Mashooq rooth jaye tu kyun kar manayien hum~........,~Sar doston ke kaat kar rakhay hain samanay~........,~Gairon say pochtay hain qasam kis ki khayien hum~........,~Saunpa tumhien Khuda ko chalay hum tu na-muraad~........,~Kuch parh ke bakhshna jo kabhi yaad aayien hum~........,~Ye jaan tum na lo gay aghar aap jaye gi~........,~Iss bewafa ki khair kahan tak manayien hum~........,~Hum-saye jagatay rahay naalon say raat bhar~........,~Soye howay naseeb ko kyun kar jagayien hum~........,~Tu bhoolanay ki cheez nahi khoob yaad rakh~........,~Aye Daag kis tarhan tujhy dil say bhoolayien hum~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dil gaya tum ne liya hum kya karien~........,~Janay wali cheez ka gham kya karien~........,~Puray hoon gay apnay armaan kis tarhan~........,~Shooq behad waqt hai kam kya karien~........,~Baksh dien pyar ki gustakhiyan~........,~Dil hi qaboo main nahi hum kya karien~........,~Tund khu hai kab sunay woh dil ki baat~........,~Aur be baraham ko baraham kya karien~........,~Ik sagar par hai apni zindagi~........,~Rafta rafta iss say be kam kya karien~........,~Kar chukay sab apni-apni hikmatien~........,~Dam nikalta hai aye mere humdam kya karien~........,~Dil ne sikha shewa-e-begaanagi~........,~Essay namuharim ko muharim kya karien~........,~Maamala hai aaj husn-o-ishq ka~........,~Dekhiye woh kya karien hum kya karien~........,~Keh rahay hain ahal-e-sifarish mujh say Daag~........,~Teri qismat hai buri hum kya karien~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ajab apna haal hota jo visal-e-yaar hota~........,~Kabhi jaan sadqay hoti kabhi dil nisaar hota~........,~Na maza hai dushmani main na hai lutf dosti main~........,~Koi gair gair hota koi yaar yaar hota~........,~Ye maza tha dillagi ka ke barabar aag lagti~........,~Na tumhien qaraar hota na humien qaraar hota~........,~Tere waaday par sitamagar abhi aur sabar kartay~........,~Agar apni zindagi ka humien aietabar hota~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Yan mujhy afsar-e-shaha na banaya hota~........,~Yan mera taaj gadaya na banaya hota~........,~Khaksari ke liye garchay banaya tha mujhy~........,~Kaash khak-e-dar-e-janan na banaya hota~........,~Nasha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko~........,~Umr ka tang na paimana banaya hota~........,~Apna deewana banaya mujhy hota tu ne~........,~Kyun khirdmand banaya na banaya hota~........,~Shola-e-husn chaman main na dikhaya uss ne~........,~Warna bulbul ko be parwana banaya hota~........,~Rooz-e-mamura-e-dunya main kharabi hai Zafar~........,~Essi basti say tu virana banaya hota~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Woh behisab jo pi ke kal sharab aaya~........,~Agarchay mast tha main par mujhy hijaab aaya~........,~Idhar khayal mere dil main zulf ka guzra~........,~Udhar woh khata hua dil main pech-o-taab aaya~........,~Khayal kis ka samaya hai dida-o-dil main~........,~Na dil ko chain mujhy aur na shab ko khawab aaya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon~.........,~Jo kisi ke kaam na aa sakay main woh ik musht-e-gubaar hoon~.........,~Na tu main kisi ka habib hoon na tu main kisi ka raqeeb hoon~.........,~Jo bigar gaya woh naseeb hoon jo ujar gaya woh dayaar hoon~.........,~Mera rang-roop bigar gaya mera yaar mujh say bichar gaya~.........,~Jo chaman fizaan main ujar gaya main ussi ki fasl-e-bahaar hoon~.........,~Parhay fateha koi aaye kyun koi chaar phool charhaye kyun~.........,~Koi aik shama jalaye kyun main woh bekasi ka mazaar hoon~.........,~Main nahi hoon nagma-e-janfishan mujhy sun ke koi karay ga kya~.........,~Main baray barog ki hoon sada main baray dukh ki pukaar hoon~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Khulta nahi hai haal kisi par kahay bagair~........,~Par dil ki jaan letay hain dilbar kahay bagair~........,~Main kyun kar kahon tum aao ke dil ki kashish say woh~........,~Aayien gay dooray aap mere ghar kahay bagair~........,~Kya taab kya majaal humari ke bosa lien~........,~Lab ko tumharay lab say milkar kahay bagair~........,~Bedard tu sunay na sunay dard-e-dil~........,~Rehta nahi hai aashiq-e-muztar kahay bagair~........,~Taqdeer ke siwa nahi milta kahien say be~........,~Dilawata aye Zafar hai muqaddar kahay bagair~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Hum ne dunya main aa ke kya dekha~..........,~Dekha jo kuch so khawab sa dekha~..........,~Hai tu insan khaak ka putla~..........,~Lay ke paani ka bul-bula dekha~..........,~Khoob dekha jahan ke khuban ko~..........,~Ik tujh sa na dosara dekha~..........,~Ik dam par hawa na bandh habab~..........,~Dam ko dam bhar main yan hawa dekha~..........,~Na howay teri khaak-e-pa hum ne~..........,~Khaak main aap ko mila dekha~..........,~Abb na dijiye Zafar kisi ko dil~..........,~Ke jissay dekha bewafa dekha~..........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dil ki meri beqarari mujh say kuch pocho nahi~........,~Shab ki meri ah-o-zari mujh say kuch pocho nahi~........,~Baar-e-gham say mujh pe rooz-e-hijar main ik ik ghari~........,~Kya kahon hai kessi bhari mujh say kuch pocho nahi~........,~Meri surat hi say bas maloom kar lo hum-damo~........,~Tum haqeeqat meri sari mujh say kuch pocho nahi~........,~Shaam say ta-subha jo bistar pe tum bin raat ko~........,~Main ne ki akhtar-shumari mujh say kuch pocho nahi~........,~Aye Zafar jo haal hai mera karon ga gar bayan~........,~Hogi unn ki sharm-sari mujh say kuch pocho nahi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Zindagi ke melay main~.........,~Khvahishon ke relay main~.........,~Tum say kya kahien jana~.........,~Iss qadar jhamelay main~.........,~Waqt ki rawani hai~.........,~Bakht ki girani hai~.........,~Sakht bezamini hai~.........,~Sakht lamakani hai~.........,~Hijar ke samandar main~.........,~Takht aur takhtay ki~.........,~Ik hi kahani hai~.........,~Tum ko jo sunani hai~.........,~Baat go zara si hai~.........,~Baat umr bhar ki hai~.........,~Umr bhar ki baatien kab~.........,~Do ghari main hoti hain~.........,~Dard ke samandar main~.........,~Anginat jazeeray hain~.........,~Beshumar moti hain~.........,~Aankh ke darichay main~.........,~Tum ne jo sajaya tha~.........,~Baat uss diye ki hai~.........,~Baat uss gilay ki hai~.........,~Jo lahu ki khilwat main~.........,~Chor ban ke ata hai~.........,~Lafz ke fasilon par~.........,~Toot toot jata hai~.........,~Zindagi say lambi hai~.........,~Baat raat jagay ki hai~.........,~Rastay main kessay ho~.........,~Baat takhliye ki hai~.........,~Takhliye ki baaton main~.........,~Guftagu izafi hai~.........,~Pyar karnay walon ko~.........,~Ik nigah kafi hai~.........,~Ho saky tu sun jao~.........,~Ik din akelay main~.........,~Tum say kya kahien jana~.........,~Iss qadar jhamelay main~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kisi ki aankh jo purnam nahi hai~........,~Na samjho ye ke uss ko gham nahi hai~........,~Sawaad-e-dard main tanha khara hoon~........,~Palat jaon magar mausam nahi hai~........,~Samajh main kuch nahi aata kisi ki~........,~Agarchay guftagu mubham nahi hai~........,~Sulagta kyun nahi tareek jangal~........,~Talab ki lau aghar maddham nahi hai~........,~Ye basti hai sitam parwar digan ki~........,~Yahan koi kisi say kam nahi hai~........,~Kinara dosara dariya ka jessay~........,~Woh sathi hai magar mahram nahi hai~........,~Dilon ki rohani bujhnay na dena~........,~Wajood-e-tiragi mahkam nahi hai~........,~Main tum ko chah kar pachta raha hoon~........,~Koi iss zakhm ka marham nahi hai~........,~Jo koi sun sakay Amjad tu suna dena~........,~Ba-juz ik baaz gasht-e-gham nahi hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Khud apnay liye baith ke sochien gay kisi din~........,~Yun hai ke tujhy bhool ke dekhien gay kisi din~........,~Bhatakay howay phirtay hain kaien lafz jo dil main~........,~Dunya ne diya waqt tu likkhien gay kisi din~........,~Hil jayien gay ik baar tu arshon ke dar-o-bam~........,~Ye khaknasheen log jo bolien gay kisi din~........,~Apas ki kisi baat ka milta hi nahi waqt~........,~Har baat ye kahien hain ke baithien gay kisi din~........,~Aye jaan teri yaad ke be-naam parinday~........,~Shakhon pe mere dard ki utrien gay kisi din~........,~Jaati hai kisi jheel ki gehrai kahan tak~........,~Aankhon main teri doob ke dekhien gay kisi din~........,~Khushboo say bhari shaam main jugnu ke qalam say~........,~Ik nazm tere wastay likkhien gay kisi din~........,~Soyien gay teri aankh ki khilwat main kisi raat~........,~Saye main teri zulf ke jagien gay kisi din~........,~Khushboo ki tarhan asl-e-saba khak numa say~........,~Galiyon say tere shehar ki guzrien gay kisi din~........,~Amjad hai yehi abb ke kafan bandh ke sar say~........,~Uss shehar-e-sitamgar main jayien gay kisi din~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Jo utar ke zina-e-shaam say teri chashm-e-khush main sama gaye~.........,~Wohi jaltay bujhtay say mahar-o-maah mere bam-o-dar ko saja gaye~.........,~Ye ajeeb khail hai ishq ka main ne aap dekha ye mojaza~.........,~Woh jo lafz mere gumaan main thay woh teri zuban par aa gaye~.........,~Woh jo geet tum ne suna nahi meri umar bhar ka riyaaz tha~.........,~Mere dard ki thi dastan jissay tum hansi main ura gaye~.........,~Woh charag-e-jaan kabhi jis ki lau ne kisi hawa say nigun hui~.........,~Teri bewafai ke waswasay ussay chupke chupke bujha gaye~.........,Woh tha chand shaam-e-visaal ka ke tha roop tere jamaal ka~.........,~Meri rooh say meri aankh tak kisi roshani main naha gaye~.........,~Ye jo bandagan-e-niyaaz hai ye tamaam hai woh lashkari~.........,~Jinhien zindagi ne aman na di tu tere hazoor main aa gaye~.........,~Teri berukhi ke dayaar main main hawa ke sath hawa hua~.........,~Tere ainay ki talash main mere khawaab chehra ganwa gaye~.........,~Tere waswaon ke fishar main tera sharar-e-rang ujar gaya~.........,~Meri khawahishon ke gubaar main mere maah-o-saal-e-wafa gaye~.........,~Woh ajeeb phool say lafz thay tere honth jin say mehak uthay~.........,~Mere dasht-e-khawab main door tak koi bagh jessay laga gaye~.........,~Meri umr say na simat sakay mere dil main itnay sawaal thay~.........,~Tere paas jitnay jawaab thay teri ik nigaah main aa gaye~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dil ke dariya ko kisi rooz utar jana hai~.........,~Itna besimt na chal laut ke ghar jana hai~.........,~Uss tak aati hai tu har cheez thehar jaati hai~.........,~Jissay pana hi ussay asal main mar jana hai~.........,~Bool ayi shaam-e-safar rang-e-rihai kya hai~.........,~Dil ko rukana hai ke taaron main thehar jana hai~.........,~Kon ubharatay howay mahataab ka rasta rokay~.........,~Uss ko har taur su-e-dasht-e-sahar jana hai~.........,~Main khila hoon tu issi khaak main milna hai mujhy~.........,~Woh tu khushbo hai ussay aglay nagar jana hai~.........,~Woh tere husn ka jadu ho ke mera gham-e-dil~.........,~Har musafir ko issi ghaat utar jana hai~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Chehray pe mere zulf ko phailao kisi din~........,~Kya rooz garajatay ho baras jao kisi din~........,~Raazon ki tarhan utaro mere dil main kisi shab~........,~Dastak pe mere haath ki khul jao kisi din~........,~Paeron ki tarhan husn ki baarish main naha lon~........,~Baadal ki tarhan jhoom ke ghir aao kisi din~........,~Khushboo ki tarhan guzro mere dil ki gali say~........,~Phoolon ki tarhan mujh pe bikhar jao kisi din~........,~Phir haath ko khairat milay band-e-qaba ki~........,~Phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohrao kisi din~........,~Guzarien jo mere ghar say tu ruk jayien sitaray~........,~Iss tarhan meri raat ko chamkao kisi din~........,~Main apni har ik sans ussi raat ko day don~........,~Sar rakh ke mere seenay pe so jao kisi din~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Chand ke saath kai dard puranay niklay~.........,~Kitnay gham thay jo tere gham ke bahanay niklay~.........,~Fasl-e gul ayi phir ik baar asiran-e-wafa~.........,~Apnay hi khoon ke dariya main nahanay niklay~.........,~Hijar ki choot ajab sang-shikan hoti hai~.........,~Dil ki befaiz zameenon say khazanay niklay~.........,~Umr guzri hai shab-e-tar main aankhien maltay~.........,~Kis ufaq say mera khursheed na janay niklay~.........,~Ku-e-qatil main chalay jessay shaheedon ka jaloos~.........,~Khawab yun beeghti aankhon ko sajanay niklay~.........,~Dil ne ik eent say tameer kia taj mahal~.........,~Tu ne ik baat kahi laakh fasanay niklay~.........,~Dasht-e tanhai-e-hijran main khara sochta hoon~.........,~Haye kya log mera saath nibhanay niklay~.........,~Main ne Amjad ussay bewaasta dekha hi nahi~.........,~Woh tu khushboo main be ahat ke bahanay niklay~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Bheer main ik ajnabi ka samana acha laga~........,~Sab say chup kar woh kisi ka dekhna acha laga~........,~Surmai aankhon ke neechay phool say khilnay lagay~........,~Kehtay kehtay kuch kisi ka sochna acha laga~........,~Baat tu kuch be nahi thi lekin uss ka ik dam~........,~Haath ko honton pe rakh kar rokna acha laga~........,~Chaye main cheeni milana uss ghari bhaya bohat~........,~Zer-e lab woh muskurata shukriya acha laga~........,~Dil main kitnay ahad bandhay thay bhoolanay ke ussay~........,~Woh mila tu sab iraday torna acha laga~........,~Bay irada lams ki woh sansani pyari lagi~........,~Kam tawajjo aankh ka woh dekhna acha laga~........,~Neem shab ki khamoshi main bheegti sarkon pe kal~........,~Teri yaadon ke jalo main ghumna acha laga~........,~Uss udu-e-jaan ko Amjad main bura kessay kahon~........,~Jab be aya samnay woh bewafa acha laga~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Tere ishq ki intiha chahta hoon~........,~Meri saadgi dekh kya chahta hoon~........,~Sitam ho ke ho wada-e-behijabi~........,~Koi baat sabar azma chahta hoon~........,~Ye jannat mubarak rahay zahidon ko~........,~Ke main aap ka samna chahta hoon~........,~Koi dam ka mehman hoon aye ahl-e-mehfil~........,~Chirag-e-sahar hoon bujha chahta hoon~........,~Bhari bazm main raaz ki baat keh di~........,~Bara be-adab hoon saza chahta hoon~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Sitaron say agay jahan aur be hain~........,~Abhi ishq ke imtihan aur be hain~........,~Tahi zindagi say nahi ye fazayien~........,~Yahan saikaron karawan aur be hain~........,~Kanat na kar alam-e-rang-o-bu par~........,~Chaman aur be aashiyan aur be hain~........,~Agar kho gaya ik nasheman tu kya gham~........,~Maqamat-e-ah-o-fugaan aur be hain~........,~Yun shahin hai parwaz hai kam tera~........,~Tere samnay aasman aur be hain~........,~Issi rooz-o-shab main ulajh kar na reh ja~........,~Ke tere zameen-o-makaan aur be hain~........,~Gaye din ke tanha tha main anjuman main~........,~Yahan abb mere raazadan aur be hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Baray zoor-o-shoor say chal raha hai kaar-o-baar-e-mohabbat~........,~Kahien chahatien bik rahi hain kahien log badal rahay hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Sakhtiyan karta hoon dil par gair say gafil hoon main~........,~Hai kya achi kahi zalim hoon main jahil hoon main~........,~Hai meri zillat hi kuch meri sharafat ki daleel~........,~Jis ki gaflat ko malak rotay hain woh gafil hoon main~........,~Bazm-e-hasti apni araish pe tu nazan na ho~........,~Tun tu ik tasveer hai mehfil ki aur mehfil hoon main~........,~Dhundhata phirta hoon aye Iqbal apnay aap ko~........,~Aap hi goya musafir aap hi manzil hoon main~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Nahi minnat-kash-e-tab-e-shanidan dastan meri~........,~Khamoshi guftagu hai bezubani hai zuban meri~........,~Ye dastoor-e-zuban-bandi hai kessi teri mehfil main~........,~Yahan tu baat karnay ko tarasti hai zuban meri~........,~Uthaye kuch waraq lala ne kuch nargis ne kuch gul ne~........,~Chaman main har taraf bikhri hui hai daastan meri~........,~Urra li kumariyon ne tutiyon ne andlibon ne~........,~Chaman waalon ne mil kar loot li tarz-e-fugaan meri~........,~Tapak aye shama aansoo ban ke parwanay ki aankhon say~........,~Sarapa dard hoon hasrat bhari hai dastan meri~........,~Ilahi phir maza kya hai yahan dunya main rehnay ka~........,~Hayaat-e-jawidan meri na marg-e-nagahan meri~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Khird ke paas khabar ke siwa kuch aur nahi~........,~Tera ilaj nazar ke siwa kuch aur nahi~........,~Har muqaam say aagay muqaam hai tera~........,~Hayaat zauq-e-safar ke siwa kuch aur nahi~........,~Rangon main gardish-e-khoon hai agar tu kya hasil~........,~Hayaat sooz-e-jigar ke siwa kuch aur nahi~........,~Urus-e-lala munasib nahi hai mujh say hijaab~........,~Ke main nasim-e-sahar ke siwa kuch aur nahi~........,~Jissay qasad samajhtay hain tajran-e-firang~........,~Woh shay mata-e-hunar ke siwa kuch aur nahi~........,~Giranbaha hai tu hifz-e-khudi say hai warna~........,~Gauhar main ab-e-gauhar ke siwa kuch aur nahi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Jinhien main dhoondhta tha aasmanon main zameenon main~........,~Woh niklay mere zulmat-e-khana-e-dil ke makeenon main~........,~Maheenay wasl ke ghariyon ki soorat urtay jaatay hain~........,~Magar ghariyan judai ki guzarti hain maheenon main~........,~Mujhy rokay ga tu aye nakhuda kya garq honay say~........,~Ke jin ko doobna hai doob jaatay hain safeenon main~........,~Jala sakti hai shaam-e-kushta ko mauj-e-nafas unn ki~........,~Ilahi kya chupa hota hai ahal-e-dil ke seenon main~........,~Tamanna dard-e-dil ki ho tu kar khidmat faqeeron ki~........,~Nahi milta ye gauhar badshahon ke khazeenon main~........,~Mohabbat ke liye dil dhoondh koi tootnay wala~........,~Ye woh may hai jissay rakhtay hain nazuk aabgeenon main~........,~Bura samajhon unhien mujh say tu essa ho nahi sakta~........,~Ke main khud be tu hoon Iqbal apnay nuktacheenon main~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Zist azar hui jaati hai~........,~Sans talwaar hui jaati hai~........,~Jism bekaar hua jaata hai~........,~Rooh bedaar hui jaati hai~........,~Kaan say dil main utarati nahi baat~........,~Aur guftaar hui jaati hai~........,~Dhal ke nikli hai haqeeqat jab say~........,~Kuch purasraar hui jaati hai~........,~Abb tu har zakhm ki munband kali~........,~Lab-e-izhaar hui jaati hai~........,~Phool hi phool hain har simt Dost~........,~Raah dushwar hui jaati hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Woh koi aur na tha channd khushk pat'tay thay~.........,~Shajar say toot ke jo fasl-e-gul pe roye thay~.........,~Abhi abhi tumhien socha tu kuch na yaad aya~.........,~Abhi abhi tu hum ik-dosaray say bichray thay~.........,~Tumharay baad chaman par jab ik nazar daali~.........,~Kali kali main khizan ke chiragh jalatay thay~.........,~Tamaam umr wafa ke gunahgar rahay~.........,~Ye aur baat ke hum adami tu achay thay~.........,~Shab-e-khamosh ko tanhai ne zuban day di~.........,~Pehar goonjatay thay dasht sansanatay thay~.........,~Woh ik baar maray jin ko tha hayat se pyar~.........,~Jo zindagi say gurezan thay rooz martay thay~.........,~Naye khayal abb aatay hain dhal ke zehan main~.........,~Humaray dil main kabhi khait lehlahatay thay~.........,~Ye irtiqa ka chalan hai ke har zamanay main~.........,~Puranay log naye admi say dartay thay~.........,~Dost jo be mulaqaat thi adhoori thi~.........,~Ke ik chehray ke peechay hazaar chehray thay~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Sham ko subha-e-chaman yaad ayi~........,~Kisi ki khushbu-e-badan yaad ayi~........,~Jab khayalon main koi moor aya~........,~Tere gesu ki shikan yaad ayi~........,~Yaad aaye tere paikar ke khutut~........,~Apni kotahi-e-fan yaad ayi~........,~Chand jab door ufaq par dooba~........,~Tere lehjay ki thakan yaad ayi~........,~Din shuaon say ulajhtay guzara~........,~Raat ayi tu kiran yaad ayi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Maron tu main kisi chehray main rang bhar jaon~........,~Dost kaash yehi ik kaam kar jaon~........,~Ye dasht-e-tark-e-mohabbat ye tere qurb ki pyaas~........,~Jo izan ho to teri yaad say guzar jaon~........,~Mera wajood meri rooh ko pukarta hai~........,~Teri taraf be chalon tu thehar thehar jaon~........,~Tere jamaal ka parao hai sab haseeno par~........,~Kahan kahan tujhy dhoondon kidar kidar jaon~........,~Main zinda tha ke tera intizaar khatam na ho~........,~Jo tu mila hai tu abb sochta hoon mar jaon~........,~Ye sochta hoon ke main butparast kyun na hua~........,~Tujhy qareeb jo paon to khud say dar jaon~........,~Kisi chaman main bas iss khauf say guzar na hua~........,~Kisi kali pe na bhulay say paon dhar jaon~........,~Ye jee main aati hai takhliq-e-fan ke lamhon main~........,~Khoon ban ke rag-e-sang main utar jaon~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Tum meri aankh ke tewar na bhula pao gay~........,~Unkahi baat ko samjho gay tu yaad aaon ga~........,~Hum ne khushyon ki tarhan dukh be ikathay dekhay~........,~Safah-e-zist ko palto gay tu yaad aaon ga~........,~Issi andaaz main hotay thay mukhatib mujh say~........,~Khat kisi aur ko likho gay tu yaad aaon ga~........,~Sard raaton ke mehkatay howay sanaton main~........,~Jab kisi phool ko chumo gay tu yaad aaon ga~........,~Abb tere ashk main honthon say chura leta hoon~........,~Haath say khud inhien poncho gay tu yaad aaon ga~........,~Shaal pehnaye ga abb koi Decembar main tumhien~........,~Baarishon main kabhi bheego gay tu yaad aaon ga~........,~Aaj tum mehfil-e-yaran pe ho magroor bohat~........,~Jab kabhi toot ke bikhro gay tu yaad aaon ga~........,~Had say aayien gay jeewan main tu tum ho ke nidhaal~........,~Kisi deewar ko thamo gay tu yaad aaon ga~........,~Iss main shamil hai meri bakht ki tareeki be~........,~Tum siyah rang jo pehno gay tu yaad aaon ga~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Bedili say hansnay ko khush-dili na samjha jaye~........,~Gham say jaltay chehray ko roshni na samjha jaye~........,~Gaha gaha wehshat main ghar ki simt jata hoon~........,~Iss ko dasht-e-hairat say wapsi na samjha jaye~........,~Laakh khushguman dunya bahimi tal'luq ko~........,~Dosti kahien lekin dosti na samjha jaye~........,~Hum tu bas ye kehtay hain rooz jeenay marnay ko~........,~Aap chahien kuch samjhien zindagi na samjha jaye~........,~Khaak karnay walon ki kya ajeeb khawahish thi~........,~Khaak honay walon ko khaak hi na samjha jaye~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aziz itna hi rakho ke jee sambhal jaye~........,~Abb iss qadar be na chaho ke dam nikal jaye~........,~Milay hain yun tu bohat aao abb milien yun be~........,~Ke rooh garmi-e-anfas say pighal jaye~........,~Mohabbaton main ajab hai dilon ko dharka sa~........,~Ke janay kon kahan rasta badal jaye~........,~Rahay woh dil jo tamanna-e-taza tar main rahay~........,~Khusha woh umr jo khawabon hi main behal jaye~........,~Main woh charagh-e-sar-e-rahguzar-e-dunya hoon~........,~Jo apni zaat ki tanhaiyon main jal jaye~........,~Har ik lehja yehi aarzo yehi hasrat~........,~Jo aag dil main hai woh shair main be dhal jaye~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Abb ke barsaat ki rut aur be bharkili hai~.......,~Jism say aag nikalti hai qaba gili hai~.......,~Sochta hoon ke abb anjam-e-safar kya hoga~.......,~Log be kanch ke hain raah be pathrili hai~.......,~Shiddat-e-karb main tu hansna karb hai mera~.......,~Haath hi sakht hain zanjeer kahan dhili hai~.......,~Gard aankhon main sahi daag tu chehray pe nahi~.......,~Lafz dhundhalay hain magar fikar tu chamkili hai~.......,~Ghol deta hai samaat main woh mitha lehja~.......,~Kis ko maloom ke ye qind be zehrili hai~.......,~Pehlay rag-rag say meri khoon nichora uss ne~.......,~Abb ye kehta hai ke rangat hi meri pili hai~.......,~Mujh ko be-rang hi na karday kahien rang itnay~.......,~Sabz mausam hai hawa surkh fiza nili hai~.......,~Meri parwaaz kisi ko nahi bhati tu na bhaye~.......,~Kya karon zehan Muzaffar mera jibraili hai~.......,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aah ye barani raat~.........,~Minh, hawa, tufaan, raqs-e-sayeqaat~.........,~Shash-jahaat par tirgi umari hui~.........,~Ik sanatay main bazm-e-hadsaat~.........,~Aur meri khirki ke neechay~.........,~Kanpatay peron ke paat~.........,~Char su awara hain~.........,~Bhulay bisray waqayaat~.........,~Jhakkaron ke shor main~.........,~Janay kitni door say~.........,~Sun raha hoon teri baat~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Asar uss ko zara nahi hota~........,~Ranj rahat faza nahi hota~........,~Tum humaray kisi tarhan na howay~........,~Warna dunya main kya nahi hota~........,~Narasai say dam ruk tu ruk~........,~Main kisi say khafa nahi hota~........,~Tum mere paas hotay ho goya~........,~Jab koi doosra nahi hota~........,~Haal-e-dil yaar ko likhon kyun kar~........,~Haath dil say juda nahi hota~........,~Kyun sunay arz-e-muztarib aye Momin~........,~Sanam aakhir Khuda nahi hota~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kabhi phir milien gay tu pochna~........,~Abhi kya kahain abhi kya sunayien~........,~Ke sar-e-fasil-e-sukut-e-jaan~........,~Kuf-e-rooz-o-shab pe sharar numa~........,~Woh jo harf jarf charagh tha~........,~Ussay kis hawa ne bujha diya~........,~Kabhi lab hilien gay tu pochna~........,~Sar-e-sahar-e-ahad-e-wisaal-e-dil~........,~Woh jo nikahaton ka hujoom tha~........,~Ussay dast-e-mauj-e-firaq ne~........,~Tah-e-khak kab say mila diya~........,~Kabhi gul khilien gay tu pochna~........,~Abhi kya kahain abhi kya sunayien~........,~Yun hi khawahishon ke fishaar main~........,~Kabhi be-sabab kabhi be-khalal~........,~Kahan kon kis say bichar gaya~........,~Kissay kis ne kessay ganwa diya~........,~Kabhi phir milien gay tu pochna~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Blapa koi iss dasht main aaya hoga~........,~Warna aandhi main diya kis ne jalaya hoga~........,~Zaray zaray pe jaray hoon gay kunwaray sajday~........,~Ik ik but ko Khuda uss ne banaya hoga~........,~Pyaas jaltay howay kanton ki bujhai hogi~........,~Ristay paani ko hatheli pe sajaya hoga~........,~Mil gaya hoga agar koi sunehari pathar~........,~Apna toot'ta hua dil yaad tu aaya hoga~........,~Khoon ke chintay kahien poch na lien rehron say~........,~Kis ne viranay ko gulzaar banaya hoga~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Imar hain tu abb dam-e-issa kahan say aye~........,~Uss dil main dard-e-shooq-o-tamana kahan say aye~........,~Bekar shara-e-lafz-o-maani say faida~........,~Jab tu nahi tu shehar main tujh sa kahan say aye~........,~Har chashm sang-e-khizb-o-adawat say surkh hai~........,~Abb admi ko zindagi karna kahan say aye~........,~Wehshat hawas ki chaat gai khak-e-jism ko~........,~Be-dar gharon main shaqal ka saya kahan say aye~........,~Jar say ukhar gaye tu badalati ruton say kya~........,~Be-aab ainon main sarapa kahan say aye~........,~Saayon pe aitamad say ukta gaya hai ji~........,~Tufan main zindagi ka bharosa kahan say aye~........,~Gham ke thapearay lay gaye nagin say lambay baal~........,~Raaton main jangalon ka woh saya kahan say aye~........,~Naheed faishanon ne chupaye hain aieb be~........,~Chashmain na hoon tu aankh ka parda kahan say aye~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aghar yun hi ye dil satata rahay ga~........,~Tu ik din mera ji hi jata rahay ga~........,~Main jata hoon dil ko tere paas choray~........,~Meri yaad tujh ko dilata rahay ga~........,~Gali say teri dil ko lay tu chala hoon~........,~Main pohanchon ga jab tak ye aata rahay ga~........,~Qafas main koi tum say aye hum-safiron~........,~Khabar kal ki hum ko sunata rahay ga~........,~Khafa ho ke aye Dard mar tu chala tun~........,~Kahan tak gham apna chupata rahay ga~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aur tu koi bas na chalay ga hijhar ke dard ke maron ka~.........,~Subha ka hona dubhar kar dien rasta rook sitaron ka~.........,~Jhoothay sikon main be utha detay hain aksar sacha maal~.........,~Shaklien dekh ke sauda karna kaam hai inn banjaron ka~.........,~Apni zuban say kuch na kahain gay chup hi rahain gay aashiq log~.........,~Tum say tu itna ho sakta hai pocho haal becharon ka~.........,~Ik zara si baat thi jis ka charcha pohancha gali gali~.........,~Hum gumnamon ne phir be ehsaan na mana yaaron ka~.........,~Dard ka kehna chikh utho dil ka taqaza waza nibhao~.........,~Sab kuch sehna chup chup rehna kaam hai izzatdaron ka~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Kabhi kitabon main phool rakhna~........,~Kabhi darakhton pe naam likhna~........,~Humien be hai yaad aaj tak woh~........,~Nazar say harf-e-salaam likhna~........,~Woh chand chehray woh behki baatien~........,~Sulagtay din thay mehakti raatien~........,~Woh chotay chotay say kagzon par~........,~Mohabbaton ke payaam likhna~........,~Gulaab chehron say dil lagana~........,~Woh chupke chupke nazar milana~........,~Woh arzuon ke khawab bun'na~........,~Woh qissa-e-natamaam likhna~........,~Mere nagar ki haseen fizao~........,~Kahien jo unn ke nishaan pao~........,~Tu pochna ye kahan basay ho~........,~Kahan hain unn ka qayaam likhna~........,~Gai ruton main Dost humara~........,~Bas ik hi tu ye mashgala tha~........,~Kisi ke chehray ko subha kehna~........,~Kisi ki zulfon ko shaam likhna~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Abb wohi harf-e-junoon sab ki zuban thehri hai~..........,~Jo be chal nikli hai woh baat kahan thehri hai~..........,~Aaj tak shaikh ke ikram main jo shay thi haraam~..........,~Abb wohi dushman-e-din rahat-e-jaan thehri hai~..........,~Hai khabar garm ke phirta hai gurayzan naseeh~..........,~Guftagu aaj sar-e-ku-e-butan thehri hai~..........,~Hai wohi ariz-e-laila wohi shirian ka dahaan~..........,~Nigah-e-shooq ghari bhar ko yahan thehri hai~..........,~Wasl ki shab thi tu kis darja subak guzri hai~..........,~Hijhar ki shab hai tu kya sakht garan guzri hai~..........,~Bikhri ik baar tu haath ayi kab mauj-e-shamim~..........,~Dil say nikli hai tu kab lab pe fugaan thehri hai~..........,~Dast-e-sayyad be ajiz hai kaf-e-gulchin be~..........,~Bu-e-gul thehri na bul-bul ki zuban thehri hai~..........,~Aatay aatay yun hi dam bhar ko ruk hogi bahaar~..........,~Jaatay jaatay yun hi pal bhar ko khizan thehri hai~..........,~Hum ne jo tarz-e-fugaan ki hai qafas main ijaad~..........,~Faiz gulshan main woh tarz-e-bayaan thehri hai~..........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aaj janay ki zid na karo~........,~Yun hi pehlu main baithay raho~........,~Haye mar jayien gay hum tu laut jayien gay~........,~Essi baatien kia na karo~........,~Tum hi socho zara kyun na rokien tumhien~........,~Jaan jaati hai jab uth ke jatay ho tum~........,~Tum ko apni kasam jaan-e-jaan~........,~Baat itni meri maan lo~........,~Waqt ki qaid main zindagi hai magar~........,~Channd ghariyan yehi hain jo azaad hain~........,~Inn ko kho kar abhi jaan-e-jaan~........,~Umr bhar na tarastay raho~........,~Kitna masum-o-rangeen hai ye sama~........,~Husn aur ishq ki aaj meraj hai~........,~Kal ki kis ko khabar jaan-e-jaan~........,~Rook lo aaj ki raat ko~........,~Gesuon ki shikan hai abhi shabnami~........,~Aur palkon ke saye be mad'hosh hain~........,~Husn-e-mausam ko jaan-e-jaan~........,~Bekhudi main na rusva karo~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aafat ki shokhiyan hain tumhari nigaah main~........,~Mehshar ke fitnay khailtay hain jalwa-gaah main~........,~Woh dushmani say dekhtay hain dekhtay tu hain~........,~Main shaad hoon ke hoon tu kisi ki nigaah main~........,~Aati baat baat mujhy yaad baar baar~........,~Kehta hoon door door ke qasid say raah main~........,~Iss tauba par hai naaz mujhy zahid iss qadar~........,~Jo toot kar shareek hoon haal-e-tabaah main~........,~Mushtaq iss ada ke bohat dard-mand thay~........,~Aye Daag tum tu baith gaye ik aah main~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dil pe kartay hain dimagon pe asar kartay hain~........,~Hum ajab log hain zehnon main safar kartay hain~........,~Jab sarapay pe kahien uss ke nazar kartay hain~........,~Mir sahab ki tarhan umar basar kartay hain~........,~Bandishien hum ko kisi haal gawara hi nahi~........,~Hum tu woh log hain deewar ko dar kartay hain~........,~Waqt ki taiz kharami humien kya rokay gi~........,~Janbish-e-kalk say sadiyon ka safar kartay hain~........,~Naqsh-e-pa apna kahien raah main hota hi nahi~........,~Sar say kartay hain mohim jab koi sar kartay hain~........,~Hum nasheen khoob hai ye mehfil-e-yaran ke yahan~........,~Woh saliqa hai ke aiebon ko hunar kartay hain~........,~Kya kahain haal tera aye mutamaddin dunya~........,~Janwar be nahi kartay jo bashar kartay hain~........,~Hum ko dushman ki be taqleef gawara na hui~........,~Log ehbaab say be sarf-e-nazar kartay hain~........,~Marqadon pe tu charagan hai shab-o-rooz magar~........,~Umar kuch log andheron main basar kartay hain~........,~Tazkara mir ka Galib ki zuban tak aya~........,~Aietaraf-e-hunar arbab-e-hunar kartay hain~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Baat karni mujhy mushkil kabhi essi tu na thi~........,~Jessi abb hai teri mehfil kabhi essi tu na thi~........,~Lay gaya chheen ke kon aaj tera sabar-o-qarar~........,~Beqarari tujhy aye dil kabhi essi tu na thi~........,~Chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin~........,~Jessay abb ho gai qatil kabhi essi tu na thi~........,~Unn ki aankhon ne Khuda janay kya kia jaadu~........,~Ke tabiyat meri mael kabhi essi tu na thi~........,~Aks-e-rukh-e-yaar ne kis say hai tujhy chamkaya~........,~Tab tujh main maah-e-kamil kabhi essi tu na thi~........,~Kya sabab tu jo bigarta hai Zafar say har baar~........,~Khu teri hur-e-shamail kabhi essi tu na thi~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Su-e-maikada na jaatay tu kuch aur baat hoti~........,~Woh nigaah say pilatay tu kuch aur baat hoti~........,~Go hawa-e-gulistaan ne mere dil ki laaj rakh li~........,~Woh naqab khud uthatay tu kuch aur baat hoti~........,~Ye baja kali ne khil kar kia gulistaan muat'tar~........,~Magar aap muskuratay tu kuch aur baat hoti~........,~Ye khulay khulay say gesu inhien laakh tu sanwaray~........,~Mere haath say sanwaratay tu kuch aur baat hoti~........,~Go haram ke rastay say woh pohanch gaye Khuda tak~........,~Teri rahguzar say jaatay tu kuch aur baat hoti~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Haq wafa ka jo hum jatanay lagay~.......,~Aap kuch keh ke muskuranay lagay~.......,~Hum ko jeena paray ga furqat main~.......,~Woh aghar himat azmanay lagay~.......,~Dar hai meri zuban na khul jaye~.......,~Abb woh baatien bohat bananay lagay~.......,~Jaan bachti nazar nahi aati~.......,~Gair ulfat bohat jatanay lagay~.......,~Tum ko karna paray ga uzr-e-jafa~.......,~Hum aghar dard-e-dil sunanay lagay~.......,~Bohat mushkil hai shewa-e-taslim~.......,~Hum be akhir ko jee churanay lagay~.......,~Waqt-e-rukhsat tha sakht Hali par~.......,~Hum be baithay thay jab woh jaanay lagay~.......,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Hai justaju ke khoob say hai khoobtar kahan~.......,~Abb dekhiye theharti hai ja kar nazar kahan~.......,~Ya Rab iss ikhtilaat ka anjam ho bakhair~.......,~Tha uss ko hum say rabt magar iss qadar kahan~.......,~Ik umr chahiye ke gawara ho naish-e-ishq~.......,~Rakhi hai aaj lazat-e-zakhm-e-jigar kahan~.......,~Hum jis pe mar rahay hain woh hai baat hi kuch aur~.......,~Aalam main tujh say laakh sahi tu magar kahan~.......,~Hoti nahi qabool dua tark-e-ishq ki~.......,~Dil chahta na ho tu zuban main asar kahan~.......,~Hali nishat nagma-o-may dhoondhtay ho abb~.......,~Aaye ho waqt-e-subha rahay raat bhar kahan~.......,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dhoom thi apni parasai ki~.........,~Ki be aur kis say ashnai ki~.........,~Kyun barhtay ho ikhtilaat bohat~.........,~Hum main taaqat nahi judai ki~.........,~Munh kahan tak chupao gay hum say~.........,~Hum ko aadat hai khudnumai ki~.........,~Lag main hai lagao ki baatien~.........,~Sulah main chair hai larai ki~.........,~Dil be pehlu main ho tu yahan~.........,~Kis say rakhiye umeed dil rubai ki~.........,~Na mila koi garat-e-imaan~.........,~Raah gai sharm parasai ki~.........,~Maut ki tarhan jis say dartay thay~.........,~Saat aa pohanchi uss judai ki~.........,~Zinda phirnay ki hai hawas Hali~.........,~Intaha hai ye behayai ki~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aagay baray na qissa-e-ishq-e-butan say hum~.........,~Sab kuch kaha magar na khulay raazdan say hum~.........,~Abb bhaagtay hain saya-e-ishq-e-butan say hum~.........,~Kuch dil say hain daray howay kuch aasman say hum~.........,~Hanstay hain uss ke giriya-e-beikhtiyar par~.........,~Bhoolay hain baat keh ke koi razadan say hum~.........,~Abb shooq say bigar ke baatien kia karo~.........,~Kuch pa gaye hain aap ki tarz-e-bayan say hum~.........,~Jannat main tu nahi agar ye zakhm-e-teg-e-ishq~.........,~Badlien gay tujh ko zindagi-e-jawidan say hum~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Lab-e-khamosh say afsha hoga~........,~Raaz har rang main ruswa hoga~........,~Dil ke sehra main chali sard hawa~........,~Abr gulzaar pe barsa hoga~........,~Tum nahi thay tu sar-e-bam-e-khayal~........,~Yaad ka koi sitara hoga~........,~Kis tawaqqo pe kisi ko dekhaien~........,~Koi tum say be haseen kya hoga~........,~Zinat-e-halqa-e-agosh bano~........,~Door baitho gay tu charcha hoga~........,~Zulmat-e-shab main be sharmatay ho~........,~Dard chamkay ga tu phir kya hoga~........,~Jis be fankar ka shahkar ho tum~........,~Uss ne sadiyon tumhien socha hoga~........,~Kis qadar karb say chatkhay hai kali~........,~Shakh say gul koi toot'ta hoga~........,~Umr bhar roye faqat iss dhun main~........,~Raat beeti tu ujhala hoga~........,~Saari dunya humien pehchanati hai~........,~Koi hum sa be na tanha hoga~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Jab tera hukm mila tark muhabbat kar di~........,~Dil magar iss pe woh dharka ke qayamat kar di~........,~Tujh say kis tarhan main izhar-e-tamana karta~........,~Lafz sujha tu mani ne bagawat kar di~........,~Main tu samjha tha ke laut aatay hain jaanay waalay~........,~Tu ne ja kar tu judai meri qismat kar di~........,~Mujh ko dushman ke iradon pe be pyaar aata hai~........,~Teri ulfat ne mohabbat meri aadat kar di~........,~Poch baitha hoon main tujh say tere kochay ka pata~........,~Teri haalat ne kessi teri soorat kar di~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Gul tera rang chura laaye hain gulzaro main~........,~Jal raha hoon bhari barsaat ki bauchharo main~........,~Mujh say katra ke nikal ja magar aye jaan-e-haya~........,~Dil ki lau dekh raha hoon tere rukhsaron main~........,~Husn-e-begana-e-ehasas-e-jamaal acha hai~........,~Gunchay khiltay hain tu bik jaatay hain bazaron main~........,~Zikr kartay hain tera mujh say baunavan-e-jafa~........,~Charagar phool piro laaye hain talwaron main~........,~Zakhm chup sakatay hain lekin mujhy fun ki saugandh~........,~Gham ki daulat be hai shamil mere shahakaron main~........,~Mujh ko nafrat say nahi pyar say masloob karo~........,~Main tu shamil hoon mohabbat ke gunahgaron main~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ajnabi khauf fizaon main basa ho jessay~.........,~Shehar ka shehar hi aseeb zada ho jessay~.........,~Raat ke pichlay pehar aati hain awazien si~.........,~Door sahra main koi chikh raha ho jessay~.........,~Dar-o-deewaar pe chai hai udaasi essi~.........,~Aaj har ghar say janaza sa utha ho jessay~.........,~Muskurata hoon pa-e-khatir-e-ahabab magar~.........,~Dukh tu chehray ki lakeeron pe saja ho jessay~.........,~Abb aghar doob gaya be tu maron ga na Kamal~.........,~Behtay paani pe mera naam likha ho jessay~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Shayad abhi hai rakh main koi sharar be~........,~Kyun warna intizar be hai iztirar be~........,~Dhyan aa gaya hai marg-e-dil-e-namuraad ka~........,~Milanay ko mil gaya hai sakon be qarar be~........,~Abb dhundhanay chalay ho musafar ko dosto~........,~Hadd-e-nigah tak na raha jab gubaar be~........,~Har aastan pe nasiyafarsa hain aaj woh~........,~Ko kal na kar sakay thay tera intizar be~........,~Ik raah ruk gai tu thithak kyun gai Ada~........,~Aabad bastiyan hain paharon ke paar be~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Har ik harf-e-arazu ko dastan kiye howay~........,~Zamana ho gaya hai unn ko mehmaan kiye howay~........,~Saroor-e-aish talkhi-e-hayaat ne bhula diya~........,~Dil-e-hazin hai bekasi ko hijhar-e-jaan kiye howay~........,~Kali kali ko gulistan kiye howay woh ayien gay~........,~Woh ayien gay kali kali ko gulistaan kiye howay~........,~Sukun-e-dil ki rahaton ko unn say maang loon~........,~Sukun-e-dil ki rahaton ko bekaran kiye howay~........,~Woh ayien gay tu ayien gay janoon-e-shooq ubharanay~........,~Woh jayien gay tu jayien gay tabahiyan kiye howay~........,~Main unn ki be nigaah say chhupa ke unn ko dekh loon~........,~Ke unn say be hai aaj rashk bad-guman kiye howay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aakhiri tees azmanay ko~........,~Jee tu chaha tha muskuranay ko~........,~Yaad itni be sakht jaan tu nahi~........,~Ik gharaunda raha hai dahanay ko~........,~Sangrezon main dhal gaye aansuo~........,~Log hansatay rahay dikhanay ko~........,~Zakhm-e-nagma be lau tu deta hai~........,~Ik diya reh gaya jalanay ko~........,~Jalanay waalay tu jal bujhy aakhir~........,~Kon deta khabar zamanay ko~........,~Kitnay majhboor ho gaye hoon gay~........,~Unkahi baat munh pe laanay ko~........,~Khul ke hansana tu sab ko aata hai~........,~Log tarasatay rahay ik bahanay ko~........,~Reza reza bikhar gaya insan~........,~Dil ki viraniyan jatanay ko~........,~Hasraton ki panahgahon main~........,~Kya thikanay hain sar chhupanay ko~........,~Hath kanton say kar liye zakhmi~........,~Phool baalon main ik sajanay ko~........,~Raaz ki baat ye hai Ada~........,~Ye khilonay hain toot jaanay ko~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Dil hai ainaa-e-hairat say do-chaar aaj ki raat~.........,~Gham-e-dauran main hai aks-e-gham-e-yaar aaj ki raat~.........,~Aatish-e-gul ko daaman say hawa deti hai~.........,~Didani hai ravish-e-mauj-e-bahaar aaj ki raat~.........,~Aaj ki raat ka mehmaan hai malbuus-e-hareer~.........,~Iss chaman-zaar main ugtay hain sharar aaj ki raat~.........,~Main ne farhaad ki aagosh main shiriain dekhi~.........,~Main ne parvez ko dekha sar-e-daar aaj ki raat~.........,~Jo chaman sarf-e-khizaan hain woh bulatay hain mujhy~.........,~Mujhy fursat nahi aye jaan-e-bahaar aaj ki raat~.........,~Dar-e-yazadain pe be jhukatii nahi ain iss waqt jabiain~.........,~Mujh say aankhien na lara aaj ki raat~.........,~Mashaal-e-sher ka laya hoon charhava Abid~.........,~Jagamagatay hain shaheedon ke mazaar aaj ki raat~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ye aarzu thi tujhy gul ke ru-ba-ru kartay~.........,~Hum aur bul bul-e-betaab guftagu kartay~.........,~Payaam bar na mayassar hua tu khoob hua~.........,~Zuban-e-gair se kya shar ki aarzu kartay~.........,~Meri tarhan say maah-o-mahar be hain awara~.........,~Kisi habib ko ye be hain justaju kartay~.........,~Jo dekhtay teri zanjeer-e-zulf ka aalam~.........,~Aseer honay ke aazad aarzu kartay~.........,~Na pooch aalam-e-baragashta taali-e-Aatish~.........,~Barasati aag main jo baraan ki aarzu kartay~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Raat ko raat bhar dekhta reh gaya~........,~Bewafa say wafa maangta reh gaya~........,~Aasman yun zameen par gira aur woh~........,~Uss ke ghar ka pata pochta reh gaya~........,~Shook jalnay ka kab say hua tha ussay~........,~Raakh main aag ko dhoondhta reh gaya~........,~Saari dunya nazar saamnay aa gayi~........,~Haath main taash thay khailta reh gaya~........,~Khawaab chubhanay lagay aankh main iss qadar~........,~Toot'tay shishon ko woh joorta reh gaya~........,~Chalnay walay uthay aur subha chal diye~........,~Ik woh baith kar sochta reh gaya~........,~Paani say dosti be kari thi kabhi~........,~Barf ki tarhan woh tairata reh gaya~........,~Raat ko raat bhar dekhta reh gaya~........,~Bewafa say wafa maangta reh gaya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Tum ne be thukra hi diya hai~........,~Dunya say be door howay~........,~Apni anna ke saray sheeshay~........,~Aakhir chikna choor howay~........,~Hum ne jin par ghazlien sochien~........,~Unn ko chaha logon ne~........,~Hum kitnay badnaam howay thay~........,~Woh kitnay mash'hoor howay~........,~Tark-e-wafa ki saari kasmien~........,~Unn ko dekh ke toot gaiyien~........,~Unn ka naaz salamat thehra~........,~Hum hi zara majhboor howay~........,~Aik ghari ko ruk kar pocha~........,~Uss ne tu tehwaar maghar~........,~Baki umr na murr kar dekha~........,~Hum essay maghroor howay~........,~Abb ke unn ki bazm main janay ka~........,~Mohsin gar izan milay~........,~Zakhm hi unn ki nazar guzarain~........,~Ashk tu na manzoor howay~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Paida Raah-E-Khaloos Main Dushwaariyan Na Kar~.........,~Chahat Nahi Tu Hum Say Ada-Kaariyan Na Kar~.........,~Lafzon Say Khailnay Ki Zaroorat Nahi Tujhy~.........,~Saada Dilon Ke Sath Ye Fankaariyan Na Kar~.........,~Jin Say Nahi Lagao Unhien Munh Be Na Laga~.........,~Be-Waja Har Dukan Say Khareedaariyan Na Kar~.........,~Tu Shakh-E-Gul Hai Koi Amr-bail Tu Nahi~.........,~Wabasta Har Shajar Say Wafadaariyan Na Kar~.........,~Taza Hai Dil Pe Daagh Agar Pehli Mohabbat Ka~.........,~Phir Doosri Shikast Ki Tayaariyan Na Kar~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Phirtay Hain Saath Saath Tamaam Raat Magar~.........,~Uss Ko Chand Mujhy Awaara Kehti Hai Dunya~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Ye dunya matlab ki hai tum kis mukhlis ki baat kartay ho jaani~........,~Log janaza parhnay aatay hain tu woh be apnay sawaab ki khatir~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Yehi dastoor-e-ulfat hai naami aankhien main lay kar be~.........,~Mujhy ye kehna parta hai ke mera haal acha hai~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Iss Dunya Main Kon Saari Zindagi Saath Day Ga Dost~........,~Log Tu Apnay Haathon Say Dafna Kar Bhool Jaatay Hain Ke Qabar Konsi Hai~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Uss Ke Liye Tu Main Ne Yahan Tak Duaien Kien~.........,~Meri Tarhan Say Koi Ussay Chahta Be Ho~.........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Samajh Jata Hoon Lekin Dair Say Main Dao Paich Uss Ke~........,~Woh Baazi Jeet Jata Hai Mere Chalaak Honay Tak~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Saaqia aik jaam peenay say jannatien larkhara ke miltien hain~........,~Laala-o-gul qalaam kartay hain rehmatien muskura ke miltien hain~........,~Main talkhi-e-hayaat say ghabra ke pi gaya~........,Gham ki siyaah raat say ghabra ke pi gaya~........,~Chalkay howay thay jaam parishan thi zulf-e-yaar~........,~Kuch essay khaadsaat say ghabra ke pi gaya~........,~Gham ki siyaah raat say ghabra ke pi gaya~........,~Main talkhi-e-hayaat say ghabra ke pi gaya~........,~Main aadmi hoon koi farishta nahi huzoor~........,~Main aaj apni zaat say ghabra ke pi gaya~........,~Main talkhi-e-hayaat say ghabra ke pi gaya~........,Gham ki siyaah raat say ghabra ke pi gaya~........,~Itna daqeeq shai koi kessay samjh sakay~........,~Yazdaan ke waaqiyaat say ghabra ke pi gaya~........,~Gham ki siyaah raat say ghabra ke pi gaya~........,~Main talkhi-e-hayaat say ghabra ke pi gaya~........,~Kaantay tu khair kaantay hain inn say gilla hi kya~........,~Phoolon ki waardaat say ghabra ke pi gaya~........,~Gham ki siyaah raat say ghabra ke pi gaya~........,~Main talkhi-e-hayaat say ghabra ke pi gaya~........,~Sagar woh keh rahay thay ke pi lijiye huzoor~........,~Unn ki guzaarshaad say ghabra ke pi gaya~........,~Gham ki siyaah raat say ghabra ke pi gaya~........,~Main talkhi-e-hayaat say ghabra ke pi gaya~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<


~Aab dekh ke jee ghabrata hai~........,~Sawaan ki suhani raaton ko~........,~Piya choor gaye dil toor gaye~........,~Aab aag lagay barsaaton ko~........,~Aye jaan-e-mohabbat jaan-e-ghazal~........,~Aao tu tumhari nazar karain~........,~Aankhon main sajaye baithay hain~........,~Hum pyar bhari soghaaton ko~........,~Yun pyaar ki kasmien kha kha kar~........,~Kyun jhoothi tasali detay ho~........,~Bus rehnay do hum jaan gaye~........,~Sarkaar tumhari baaton ko~........,~Maska hua aanchal shaanon pe~........,~Ye zulf ki lat uljhi uljhi~........,~Aankhon ki khumaari kehti hai~........,~Rehtay ho kahien tum raaton ko~........,~Zulfon ko hawa main lehrana~........,~Hans hans ke tumhara balkhana~........,~Aandaaz hain sub dil lenay ke~........,~Hum jaan gaye inn ghaaton ko~........,~Bay-dard haseenon ki khatir~........,~Kyun hotay ho badnaam fana~........,~Safaat sitamghar kya samjhay~........,~Hum dil waalon ki baaton ko~........,~Aab dekh ke jee ghabrata hai~........,~Sawaan ki suhani raaton ko~........,~Piya choor gaye dil toor gaye~........,~Aab aag lagay barsaaton ko~........,


<-U--O-N-L-Y--U-<-<-<

About Me